• Learnwithrazzak

    29 Jan 2017

    Hard Disk Defragmentation Kya Hai,Iss Ka Kya Faida Hai Aur Kese Use Kare

    What Is Disk Defragmentation:

    Hello friends meri taraf se sub users ko salam. Aaj hum baat kare ge keh disk defragmentation kya hai, kese kaam karta hai, iss ko use karne ka kya faida hai aur apne hard drive ko q fragment karna chahye. 


    Disk Defregmentation Microsoft windows mein aik utilty hai hai yani windows mein built in tool hai jis ko computer ki speed ko fast karne ke liye istmaal kia jata hai. Ye aik aisa tool hai jo hamari hard disk drive ke andar mojood files ko rearrange karta hai aur hamare computer ko fast banata hai. Disk Defragment ki madad se system ke start up time ko bhi fast banaya jata hai yani iss ko use karne ke baad hamara pc tezi se start ho jata hai. Iss ke aur bhi bohat se faide hein jo me apko iss post ke end pe batao ga.





    How Disk Defragmentation Works:

    To chalye ab baat karte hein keh ye kaam kese karta hai. Aakhir iss ke peeche kya logic hai. Dosto apko pata ho ga hamari hard drive dekhne mein to bohat small hoti hai lekin iss ka size jo keh Mb,Gb ya Tb mein hota hai jo keh bohat big size hota hai. Hamari hard drive mein bohat saare sectors mojood hote hein. Aap ko pata ho ga keh hum ne apne hard drive ke different partition banaye howe hote hein jin ke naam C drive D drive E drive etc hote hein. Ab in partitions mein bhi bohat saare sectors mojood hote hein. 



    Ab zara sochye agar hamari hard drive ke aik sector mein aik file pari hai aur doosri file end waale sector ya darmyan waale kisi sector mein mojood hai to iss ke darmyan kitna space ho ga aap khud andaza laga sakte hein. Acha maan ke chalye me ne apni hard drive mein 10 files save ki howi hein jo keh bilkul thek sectors mein shamil hein yani aik sector mein pehli file doosre mein doosri aur tesre mein tesri aur issi tarah 10we mein 10we file shamil hai. Ab me kya karta hoo keh in 10 files mein se darmyan wali 5 files ko delete kar deta hoo. Ab shuru wali aur end wali total 5 files baqi reh jaye gi. Shuru wali files pehle sectors mein thi aur last wali files end waale sectors mein. Ab darmyan wali files delete karne ki waja se harmari hard drive ke darmyan waale sectors bilkul khali pare howe hoo ge.



    Jese keh me ne uper example di to ab uss example dene ka muqsad kya hai. Dosto me ne kaha hai keh pehli file aur end wali file mein kafi space ho ga. So hamare computer ko pehli file se end wali file tuk pohcne mein kafi waqt lage ga jis ki waja se hamare computer ki speed slow ho jaye gi. Hamare hard drive mein files iss tarah se nahi hoti hein keh pehli ke baad doosri iss ke baad tesri phir chothi and so on. Hard drive mein agar pehli file ke baad 50 number wali file bhi ho sakti hai. Iss ki waja ye hoti hai keh hum apne hard drive se files ko delete karte hein, copy karte hein, move karte hein aur edit bhi karte hein jis se iss ki numbering mein changing aa jati hai.





    Disk Defragmentation Short History In All Windows:

    I hope keh aap ko samjh aa gai ho gi keh disk defragmentation kese kaam karta hai. Ab baat karte hein keh different windows mein iss ka kya naam hai. Dosto sub se pehle disk defragmentation ki utilty windows 2000 mein zayada popular howi thi lekin uss waqt iss ki kuch limits thi yani ye tool sirf aik limit tuk hi kaam kar sakta tha. Windows 2000 mein iss ki jo limits thi wo ye hein:




    • Windows 2000 mein ye utility recycle bin mein pari howi files ko defregment nahi kar sakti thi.
    • Wo files jin ko hum use kar rahe hote hein unko bhi ye defragment nahi kar sakti thi.
    • Uss waqt sirf aik hi partition ya volume ki aik waqt mein defregment kia ja sakta tha.
    • Sirf local partitions ko hi defragment kia jata tha network volume ki iss mein koi support mojood nahi thi.
    • Uss waqt iss ko sirf command mein hi use kia jata tha yani users ko GUI(Graphic User Interface) dekhne ko nahi milti thi.
    • User jub disk ko defragment kar raha hota tha to uss ko ye nahi pata chalta tha keh kitne percent disk defragment ho chuki hai.
    • Hard drive mein all files ko defregment nahi kia ja sakta tha kuch aisi files bhi thi jo keh unsupported thi.

    Iss ke baad ye utility windows xp mein bhi aayi jis mein kafi limits ko break kar dya gaya aur new features ko add kia gaya lekin iss mein bhi kuch limits hone ki waja se iss ko windows7 mein perfectly create kia gaya. Windows 7 aur iss ke peeche peeche jo bhi windows aay hein un mein iss ka naam disk defragmentation hi hai. Lekin windows 8 aur windows 10 mein iss ka naam change kar ke disk optimization rakh diya gaya.





    How To Defragment Your Hard Drive:

    Ab baat karte hein keh keh kese apni hard drive ko ya hard drive ke partition ko defragment kar sakte hein. Dosto neeche me windows 7 ka method screenshots ke sath share kar raha hoo aap yehi method baqi windows pe bhi use kar sakte hein.

    1. Sub se pehle jis drive ko defragment karna hai uss pe right click kar ke uss ki properties mein jaye.

    2. Properties pe click karne ke baad aap ko kuch aisi windows show ho gi jaha aap ne tools pe click kar dena hai.



    3. Tools pe click karne ke baad defragment now ke option pe click kar dein jese keh screenshot mein nazar aa raha hai.


    4. Ab apko apki hard drive ke partitions show hoo ge jaha pe aap ne wo partition select karna hai jis ko aap defragment karna chahte hein aur defragment disk pe click kar dena hai.



    5. Ab apki disk defragment hona shuru ho jaye gi jis ko complete hone mein kafi time lug sakta hai jo keh apke hard drive ke space pe depend karta hai.





    Final Words:

    Mujhy umeed hai keh aap ko pata chul gaya ho ga keh disk defragment kya hai, kese kaam karta hai iss ka kya faida hai aur apni hard drive ko kese defragment kia ja sakta hai. Agar aap ka koi sawal hai to aap comment mein mujh se pooch sakte hein. Iss ke ilawa hamara Facebook Page zaror like kare. Issi ke sath ab mujhy de ijazat Khuda Hafiz.

    2 comments:

    1. bro...mai apna fb ka password bhool gya aur us id me no...aur gmail nhi dala hua hai
      only username pta hai

      bro....us id ko kaise recover kare?

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai number ya email ke bghair aisa nahi ho ga

        Delete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media