Introduction:
Agar ap ke pas wifi connection laga hai to apko router mein wps ke option ka zaror pata ho ga ya phir router pe laga wps button zaror dekha ho ga.Ye button router ki back side pe laga hua hota hai.Kya aap jaante hein keh haqeqat mein wps kya hai aur ye kese use hota hai?Konsi devices aur operating systems WPS support karte hein?Wifi ko without password wps se kese connect karte hein?Agar aap in tumam sawalo ke jawab janana chahte hein to ap ye poori post read kare.
What Is WPS:
WPS ka matlb hai wifi protected setup aur ye aik wireless networking ka behtreen source hai jo aik router aur aik device ko aik doosre ke sath connect karna fast aur easy banata hai.Ye option sirf Wpa security and Wpa2 security mein available hota hai.Wep wifi security ke liye wps ka option available nahi hai.Ab me wps ko aik example se samjhata hoo jis ko samjhne ke baad apka poora doubt clear ho jaye ga.
Maan le apke ghar internet connection laga hua hai aur apke ghar ke router mein wps ka option enable hai.Ap ne connection ka koi mushkil sa password lagaya hua hai jis mein all type ke words shamil hein.Ab kya hota hai keh apke ghar koi guest aata hai aur wo bhi apka wifi use karna chahta hai lekin aap uss ko password nahi btana chahte lekin ye chahte hein keh wo guest apka wifi use kar le to aise mein kaam aye ga wps.Aap iss wps option ki madad se us guest ko wifi se connect kar sakte hein jis se wo internet bhi access kar sake ga aur apko password bhi nahi btana pare ga.Ye kese karna hai wo issi post mein aage chul kar me btane wala hoo.
Aik normal setup mein aap uss waqt tuk connect nahi kar sakte jub tuk apko wifi ka name aur password na pata ho.Normal steup mein apko device pe network pick kar ke connect karne ke liye uska password enter karna bohat lazmi hai.Issi liye Wps ko networking simple banane ke liye develop kia gaya.
Who Discovered WPS And When?
Wps ko Wifi Alliance ne discover kia tha.Ye aik association hai jo wifi technology ko promote karti hai aur iss ke products certify karti hai.Wifi alliance association ke 600 se zayada members hein aur ye bohat popular companies par mushtmil hai jin mein Microsoft,Apple,Samsung,Nokia aur doosri popular companies shamil hein.Networking ke all important providers bhi iss association mein shamil hein.
Wifi alliance ne Wps(Wifi Protected Setup)ko 2007 ke shuru mein un logo ke liye bnaya tha jo long wifi passwords se tung aa chuke the aur networking ko easy banana chahte the.Jub aap aik device wifi logo ke sath dekhte hein to iska matlb hai ye device wifi alliance ne provide ki hui hai.
Which Devices Works With WPS:
Routers mein sub devices se zayada Wps ki support hai.New routers important manufactures se sell kiye jaate hein.New Routers mein by default wps ka option enable hota hai aur agar by default enable na bhi ho to enable kia ja sakta hai.
In ke ilawa wps ka option aur bhi bohat si devices pe enable hota hai jese keh modern wireless printers pe bhi wps button bana hua hota hai taa keh networking ko easily configure kia ja sake.
Computers and iss type ke doosre gadgets mein bhi wps ka option enable ho sakta hai agar wo opreating systems iss standard ke liye banaye ge hoo.
Is WPS Option Safe For Us:
Jaha wps ne networking ko easy bana diya hai waha iss ke nuqsan bhi hein.Agar router pe wps enable kia hua ho to apka connection hack able hota hai yani koi apka wifi hack kar sakta hai iss liye wps completely safe nahi hota hai.Wps se apka wifi kese hack ho sakta hai ye me apko next post mein details se batao ga.Iss ke ilawa ye bhi btao ga keh wps ke option ko disable kese kia ja sakta hai taa keh hamara wifi connection secure rahe.
How To Connect Wifi Without Password Using Wps:
Wifi ko without any password connect karne ka sub devices ke liye aik hi method hai lekin me yaha pe android phones ka tutorial write kar raha hoo.
Wps se wifi ko connect karne ke liye zarori hai keh apke router mein wps ka option enable ho aur apke router pe wps ka button laga hua ho.Ab ye button kaha hota hai ye samjhne ke liye aap neeche di gai image ko dekh sakte hein.
So start karte hein keh kese hum bghair kisi password apni kisi bhi device ko internet se connect kr sakte hein.Ap bus mujhay step by step follow karte jaye.
1.Sub se pehle agar apke router mein wps ka option enable nahi hai to usko enable kar lein
2.Ab router pe wps ka button find kre jo router ki back side pe ho ga
3.Iss ke baad apne android phone mein wifi ko on kre
4.Wifi on karne ke baad router pe wps button ko press kar ke chor de
5.Ab mobile mein menu button press kare aur yaha wps push button waale option ko press kare
6.Ab apka phone wifi se connect hona start ho jaye ga jis mein kuch seconds lug sakte hein
Kuch routers ki back side pe wps pin bhi likha hua hota hai jis ki madad se bhi wifi ko connect kia ja sakta hai uper step5 mein jo screenshot me ne diya hai waha wps push button ke neeche wps pin entry waale option pe click kare aur waha pe wo pin daal dein jo router ki back side pe hai to phir bhi wifi connect ho jaye ga.
Final Words:
Umeed karta hoo aap logo ko ye post bohat pasand aayi ho gi.Next hum baat kare ge keh bruteforce aur dictionary attack kya hai aur in mein kya faraq hai.In se hamara wps pin kese crack ho sakta hai.So hamari site ko apne friends ke sath zaror share kare.Ab mujhay dijye ijazat Allah Hafiz.
Agar ap ke pas wifi connection laga hai to apko router mein wps ke option ka zaror pata ho ga ya phir router pe laga wps button zaror dekha ho ga.Ye button router ki back side pe laga hua hota hai.Kya aap jaante hein keh haqeqat mein wps kya hai aur ye kese use hota hai?Konsi devices aur operating systems WPS support karte hein?Wifi ko without password wps se kese connect karte hein?Agar aap in tumam sawalo ke jawab janana chahte hein to ap ye poori post read kare.
What Is WPS:
WPS ka matlb hai wifi protected setup aur ye aik wireless networking ka behtreen source hai jo aik router aur aik device ko aik doosre ke sath connect karna fast aur easy banata hai.Ye option sirf Wpa security and Wpa2 security mein available hota hai.Wep wifi security ke liye wps ka option available nahi hai.Ab me wps ko aik example se samjhata hoo jis ko samjhne ke baad apka poora doubt clear ho jaye ga.
Maan le apke ghar internet connection laga hua hai aur apke ghar ke router mein wps ka option enable hai.Ap ne connection ka koi mushkil sa password lagaya hua hai jis mein all type ke words shamil hein.Ab kya hota hai keh apke ghar koi guest aata hai aur wo bhi apka wifi use karna chahta hai lekin aap uss ko password nahi btana chahte lekin ye chahte hein keh wo guest apka wifi use kar le to aise mein kaam aye ga wps.Aap iss wps option ki madad se us guest ko wifi se connect kar sakte hein jis se wo internet bhi access kar sake ga aur apko password bhi nahi btana pare ga.Ye kese karna hai wo issi post mein aage chul kar me btane wala hoo.
- Cookies Stealing Kya Hai Aur Iss Se Password Kese Hack Karte Hein
- Virtual Box Se Aik Windows Mein Jitni Marzi Windows Run Kare
Aik normal setup mein aap uss waqt tuk connect nahi kar sakte jub tuk apko wifi ka name aur password na pata ho.Normal steup mein apko device pe network pick kar ke connect karne ke liye uska password enter karna bohat lazmi hai.Issi liye Wps ko networking simple banane ke liye develop kia gaya.
Who Discovered WPS And When?
Wps ko Wifi Alliance ne discover kia tha.Ye aik association hai jo wifi technology ko promote karti hai aur iss ke products certify karti hai.Wifi alliance association ke 600 se zayada members hein aur ye bohat popular companies par mushtmil hai jin mein Microsoft,Apple,Samsung,Nokia aur doosri popular companies shamil hein.Networking ke all important providers bhi iss association mein shamil hein.
Wifi alliance ne Wps(Wifi Protected Setup)ko 2007 ke shuru mein un logo ke liye bnaya tha jo long wifi passwords se tung aa chuke the aur networking ko easy banana chahte the.Jub aap aik device wifi logo ke sath dekhte hein to iska matlb hai ye device wifi alliance ne provide ki hui hai.
Which Devices Works With WPS:
Routers mein sub devices se zayada Wps ki support hai.New routers important manufactures se sell kiye jaate hein.New Routers mein by default wps ka option enable hota hai aur agar by default enable na bhi ho to enable kia ja sakta hai.
In ke ilawa wps ka option aur bhi bohat si devices pe enable hota hai jese keh modern wireless printers pe bhi wps button bana hua hota hai taa keh networking ko easily configure kia ja sake.
Computers and iss type ke doosre gadgets mein bhi wps ka option enable ho sakta hai agar wo opreating systems iss standard ke liye banaye ge hoo.
Is WPS Option Safe For Us:
Jaha wps ne networking ko easy bana diya hai waha iss ke nuqsan bhi hein.Agar router pe wps enable kia hua ho to apka connection hack able hota hai yani koi apka wifi hack kar sakta hai iss liye wps completely safe nahi hota hai.Wps se apka wifi kese hack ho sakta hai ye me apko next post mein details se batao ga.Iss ke ilawa ye bhi btao ga keh wps ke option ko disable kese kia ja sakta hai taa keh hamara wifi connection secure rahe.
How To Connect Wifi Without Password Using Wps:
Wifi ko without any password connect karne ka sub devices ke liye aik hi method hai lekin me yaha pe android phones ka tutorial write kar raha hoo.
Wps se wifi ko connect karne ke liye zarori hai keh apke router mein wps ka option enable ho aur apke router pe wps ka button laga hua ho.Ab ye button kaha hota hai ye samjhne ke liye aap neeche di gai image ko dekh sakte hein.
So start karte hein keh kese hum bghair kisi password apni kisi bhi device ko internet se connect kr sakte hein.Ap bus mujhay step by step follow karte jaye.
1.Sub se pehle agar apke router mein wps ka option enable nahi hai to usko enable kar lein
2.Ab router pe wps ka button find kre jo router ki back side pe ho ga
3.Iss ke baad apne android phone mein wifi ko on kre
4.Wifi on karne ke baad router pe wps button ko press kar ke chor de
Kuch routers ki back side pe wps pin bhi likha hua hota hai jis ki madad se bhi wifi ko connect kia ja sakta hai uper step5 mein jo screenshot me ne diya hai waha wps push button ke neeche wps pin entry waale option pe click kare aur waha pe wo pin daal dein jo router ki back side pe hai to phir bhi wifi connect ho jaye ga.
Final Words:
Umeed karta hoo aap logo ko ye post bohat pasand aayi ho gi.Next hum baat kare ge keh bruteforce aur dictionary attack kya hai aur in mein kya faraq hai.In se hamara wps pin kese crack ho sakta hai.So hamari site ko apne friends ke sath zaror share kare.Ab mujhay dijye ijazat Allah Hafiz.
menay suna hay kayh LED mayn majood feacher HDMI kay through hum apnayandroid phone ki screen LED par show kar saktay hayn......... but mujhay ye nahi pata kayh ye process kesay kiya jata hay..........
ReplyDeletebhai aisa bilkul possible hai me apko aik video de raha hoo jis me mobile ki screen ko pc par and baqi all TV LED screen par aap show kar sakte hein with help of HDMI
DeleteCLICK TO WATCH VIDEO
dear is method mayn to laptop/pc kay zariye android ki screen led par show hoti but problem ye hay kayh meray pass laptop and pc nahi hay.........
ReplyDeletekya koi aysa tareeqa nahi hay jis mayn direct android to led video show ho........
please agar apko direct walay method ka nahi pata to please ik baar is method ko google say dhondh do menay kafi bar try kiya but mujhay kuch pata nahi laga.....
Shukriya...
bhai aap poora kaam karte bhi nahi aur shuru ho jate ho me ne apko btaya to hai keh iss video mein laptop waale method ke ilawa doosri tv wali led ka bhi method hai lekin bu aap ne shuru se video dekh ke idhar comment kr diya.Bhai plz pehle baat ko ghor se read kia kare
Deletebhai jaan menay pori video dekhi thi......
ReplyDeleteis video mayn pehlay phone ko laptop say connect kiya gya hay phir laptop say led ko connect kiya hay......
ab ap hi btao mayn phone ko directly led say kesay connect kron ga.......???????
bhai aap ne shayed video dhiyan se nahi dekhi any way koi baat nahi iss kaam k liye apko aik slimport cable ki zarorat ho gi jis se aap apne phone ki screen ko LED pe dekh sako ge.Iss ko connect kese karna hai aur kese chalana hai uss ke liye ye video dekho jo keh bohat clear hai
DeleteClick Here To Watch
your site is great
ReplyDeleteThanks for Make this site
You welcome bhai jaan agar apko hamari site pasand aayi to apne friends se zaror share kare
Deletedear meray sheher mayn to slimport cable hay hi nahi.......mayn shekhupora kay qareeb city farooqabad mayn rehta hon....
ReplyDeletekya ap mujhay bata saktay hayn kayh ye slimport cable market say kitnay rs mayn milay gi......?
Bhai koi idea nahi hai me ne pehle kabhi slimport cable buy nahi ki aap market se check kar sakte hein
DeleteOoooook.......
ReplyDeleteAgar hamne wifi router par wps button dabaya to wo wifi ka password change to nhi hoga na,jo hamne pahle set karaya tha?
ReplyDelete