• Learnwithrazzak

    21 Dec 2016

    Find Connected Wifi Password Without Rooting Mobile 2 Methods

    Intorduction:

    Hum already baat kar chuke hein keh kese connected wifi ka password find kar sakte hein lekin uss method mein mobile ka root hona lazmi hai.Jese keh uss post mein me ne promise kia tha keh me without root wifi ka password find karne ka method share karo ga to aaj me issi ke about baat karne wala hoo.Iss ke 2 methods hein pehla sirf samsung devices pe work kare ga aur doosra method all devices pe work kare ga.Me dono methods hi share karo ga.







    Why 1st Method Works Only On Samsung Devices:

    Jese keh me ne uper mention kia hai keh 1st method sirf samsung phones ke liye hi hai to ye question lazmi produce hota hai keh aakhir iss ki kya waja hai?Agar aap hamari site ke regular visitor hein aur aap ne pichli tamam posts read ki hein to apko pata ho ga keh mobile ko root kiye bghair custom recovery flash nahi ki ja sakti hai.Sirf aur sirf samsung hi aise phones hein jin ki custom recovery ko without root bhi flash kia ja sakta hai.



    1st method mein hum custom recovery ko use kar ke connected wifi ka password pata kare ge.Ab hum to baat kar rahe hein keh without root connected wifi ka password pata karna aur without root custom recovery flash nahi hoti.G nahi aisa nahi hai without root custom recovery flash ho jati hai lekin sirf samsung phones ki.Ab only samsung ki hi hoti hai to ye method issi liye samsung devices pe hi work kare ga.





    Requirements 1st Method:


    • Iss ke liye apke paas aik pc hona lazmi hai
    • Aik data cable jis ke through mobile ko pc se connect karna hai
    • Aik mobile phone jis mein connected wifi ka password mojood hai
    • Most important part ye keh mobile phone mein custom recovery flashed ho jis ka method iss post mein hai
    • Aroma File Manager jo aap neeche diye huwe download link se download kar sakte hein







    What Is Aroma File Manager:

    Aroma file manager aik aisa file manager hai jo hum ko recovery mode mein android phone ki system files ko open karne copy karne move karne ya delete karne ki ijazat deta hai.Ye apk format mein nahi hota hai zip format mein hota hai.Iss zip file ko recovery mode mein flash kia jata hai aur jese hi flash complete hota hai recovery mode mein file manager open ho jata hai jaha se hum files ko access kar sakte hein.With root method mein hum ne data/misc/wifi/wpa_supplicant wali file ko open kar ke password find kia tha aur without root method mein hum issi file ko recovery mode se sd card mein copy kar ke baad mein kisi bhi text editor se open kar le ge aur password access kar le ge.




    How To See Connected Wifi Password Using Custom Recovery:

    Start karne se pehle me ye assume kar ke chalta hoo keh aap ke paas uper wali all requirements mojood hein aur aap apne phone mein custom recovery flash kar chuke hein.


    1.Sub se pehle mobile phone ko recovery mode mein on kare jo aap volume up,power button,home button se kar sakte hein

    2.Recovery mode mein jaane ke baad mounts and storage ke option ko click kare

    3.Yaha pe kuch partition show hoo ge jese ke data system etc.

    4.Aap in sub partitions ko mount kar dein

    5.Mount karne ke baad back aa jaye aur install zip from sd card waale option pe click kare

    6.Ab yaha pe wo aroma file manger jo download kia tha uss ko select kar ke ok kar dein


    7.Ab ye flash hona shuru ho jaye ga jis mein kuch seconds lage ge aur apke saamne recovery mode mein file manager open ho jaye ga

    8.Jub file manager open ho jaye to data folder mein misc folder mein ja ke wifi folder ko open kare

    9.Wifi folder mein mein wpa_supplicant ke naam se aik file ho gi usko apne memory card mein copy kar lein

    10.Ab mobile phone ko restart kar lein aur uss file ko kisi bhi text editor application se open kare



    G to iss file mein tumam wifi networks ke password hoo ge jin ko pehle kabhi connect kia gaya tha.Ab hum method number 2 start kare ge jo all mobile phones pe work kare ga.





    Concepts Of 2nd Method:

    Iss method mein hum ko na to phone ko root karne ki zarorat hai aur na hi phone mein kisi type ki custom recovery flash karne ki zarorat hai.Iss method mein hum phone ko pc se connect kar ke wohi wpa_supplicant wali file apne pc mein copy kar ke uss mein se password ko access kare ge.Agar aap aisa samjh rahe hein keh hum directly phone ko data cable se pc se attach kare ge mobile pc mein show ho ga aur waha se uss file ko copy kar le ge to aisa nahi hai.Ye itna easy nahi hai.Iss ke liye hume kuch requirements ki zarorat ho gi jo me neeche mention kar raha hoo.




    Requirements Of 2nd Method:


    • One Pc or Laptop
    • One data cable for your phone
    • Adb drivers should be installed on pc and if you dont know how please read this post
    • Basic knowledge about commands :P




    How To Find Connected Wifi Password Using ADB:

    1.Sub se pehle pc mein adb and sdk ko setup kare agar aap nahi jaante to ye post read kare

    2.Adb set karne ke baad mobile phone ko data cable se pc se connect kare

    3.Ab adb mein platform tools waale folder ko open kare

    4.Open karne ke baad keyboard pe shift button ko press kiye rakhe aur mouse se right click kar ke open command window here waale option ko click kare


    5.Ab apke saamne aik command prompt open ho jaye gi

    6.Ab hume check karna hai keh kya waqai hamara phone pc se successfully adb se connected hai ya nahi.Iss ke liye command prompt mein adb devices type kare


    7.Agar apka phone connected ho ga to waha show ho jaye ga


    8.Ab hamara phone pc se successfully connected ho chuka hai so ab command prompt mein ye adb pull /data/misc/wifi/wpa_supplicant.conf c:/wpa_supplicant.conf command likh ke enter press kar dein

    9.Jese hi aap enter press kare ge kuch seconds baad wpa_supplicant wali file apke pc ke C drive mein chali jaye gi

    10.Ab aap iss file ko notepad se open kare aur yaha pe apko all wifi ke passwords show ho jaye gi.




    Final Words:

    Umeed hai apko without root connected wifi ka password find karne ka method samjh mein aa gaya ho ga.Agar abhi tuk apko in dono methods mein se kisi method mein koi problem aa rahi hai to aap neeche comment kar ke pooch sakte hein.Post ko social medias pe lazmi share kare.Issi ki sath ab mujhy dijye ijazat Good Bye.

    2 comments:

    1. Bhai mainy apka tareqa istemal krky dekha lekin mujhy aik error milta hai jyse hi main adb pull /data/misc/wifi/wpa_supplicant.conf c:/wpa_supplicant.conf likhta hun to .. Error : adb : error : cannot create file/directory 'c:/wpa_supplicant.conf': No such file or directory..
      Please koi solution btaiyen..

      ReplyDelete
      Replies
      1. apka adb completely install nahi hua hai iss ko dobara install kar lein

        Delete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media