• Learnwithrazzak

    22 Dec 2016

    Application Not Installed Error Ki Kya Reason Hai Aur Kese Solve Kare

    Introduction:

    Meri site ke aik user jis ka naam Saddam hai unho ne mujh se Posts Request Area page pe aik post request ki keh aksar android applications install karte waqt Application not Installed ka error aata hai to iss ki kya waja hai aur iss ko kese solve kia ja sakta hai.Iss ke ilawa aur bhi bohat se users ye question mujh se poochte rehte hein.Issi waja se aaj iss post mein me iski reasons and solutions share karne ja raha hoo.Me ye nahi kaho ga keh iss post ko follow karne ke baad apllication 100% install ho jaye gi lekin 100  mein se mujhy 70% believe hai keh ye work kare gi.







    Reasons Of Application Not Installed Error:

    Iss ki kafi reasons ho sakti hein lekin jin ka mujhy pata hai wo me yaha share kar raha hoo:




    • Low Space: Apke phone mein itni apps install ho chuki hein keh phone mein koi free space baqi nahi raha jo new apps ko install hone ki ijazat de
    • Corrupted Apk File:Aisa bhi ho sakta hai keh jo application aap install kar rahe hein wo corrupt ho yani uss ko theek tarah se recompile na kia gaya ho aur uss ki hexadecimle value mein error ho
    • Invalid Install Location:Kuch apps aisi hoti hein jo sirf phone memory mein install hona allow karti hein aur kuch aisi hoti hein jo sirf sd card mein install hona allow karti hein iss liye ghalat location mein install karne se error aata hai
    • Sd Card Mount: Ho sakta hai aap ne apna sd card kabhi pc se lagaya ho aur uss ki memory waha mount ho gai ho aur ju aap app install kar rahe hoo to error aata ho
    • Corrupted Storage:Mere paas samsung ka aik aisa phone tha jis ki storage corrupt thi yani na to uss mein apps install hoti na uninstall na files delete hoti to ye bhi aik bohat bara reason hai
    • Already Installed:Aik reason ye bhi hai keh jo app aap install kar rahe ho shayed uska koi doosra version already phone mein installed ho




    Solutions Of Application Not Installed Error:

    Yaha me iss ke all solutions bata raha hoo jin mein simple solutions bhi shamil hein aur technical bhi so dhiyan se read kare.


    • Reboot Device:Agar aap ke sath ye masla pehli baar aa raha hai to aik baar apne phone ko restart kr ke again app install kare
    • Uninstall Apps:Agar apke phone mein koi faltu apps hein jin ko aap use nahi karte to unko uninstall kar dein
    • Check Apk File:Aap ne jo apk file download ki hai usko check kare keh kya waqai wo complete download and complete copy hui hai agar aisa nahi hai to again kare
    • App Permissions:Setting mein ja ke all apps mein jaye waha menu key press kare aur reset application permission par click kar dein
    • Unintsall Previous Version:Agar phone mein uss application ka koi old version already installed ho to uss ko pehle uninstall kare aur phir new version install kare
    • Sd Card Unmount:Jub aap apllication install kar rahe hoo to apne phone ko pc ke sath attach na kare aur agar apka sd card kisi jagha mounted hai to isko aik baar format kar ke again app install kare
    • Install Another Version:Jo aaplication aap install kar rahe hein uska koi old version download kar ke install kare
    • Factory Reset:Agar uper waale methods follow karne ke baad bhi same result hai to aik baar phone ko reset kar dein



    Agar phone ko factory reset karne ke baad bhi wo application install nahi ho rahi hai to apka phone uss application se compatible nahi hai.Iske baad iska sirf aik hi solution hai ke apne mobile phone mein kisi custom rom ko flash kar liye jaye.Agar apko custom rom flash karne ka nahi pata hai to aap meri Android Phone Mein Custom Rom(New Software)Kese Flash Kare wali post read kar sakte hein.






    Final Words:

    Mere khiyal mein jo bhi iss error ki reasons and solutions the wo me ne bata diye hein.Ab agar apka iss post ke about koi question hai to comment mein pooch sakte hein.Agar  post pasand aayi ho to social media pe zaror share kare.

    4 comments:

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media