• Learnwithrazzak

    24 Dec 2016

    Dictionary,Bruteforce Attack Kya Hein Password Kese Hack Hota Aur Kese Safe Rahe

    Introduction:

    Iss se pehle hum baat kar chuke hein keh phishing attack kya hai,phishing attack se account kese hack ho sakta hai,phishing attack se kese safe rahe,cookies stealing kya hai,cookies stealing se password kese crack kia jata hai,cookies stealing se kese safe rahe,kisi bhi type ki site ka account hack karne ke liye fake login page kese banaye,wifi hacking ke liye fake login page kese banta hai,Kali linux kya hai,Windows better hai ya kali linux aur kali linux ko kese install kare.Agar aap logo ne wo posts abhi tuk read nahi ki hein to Anti Hacking category mein ja ke zaror read kare.





    Agar aap wo posts read nahi kare ge to apko iss post ki samjh nahi aaye gi because aaj me kuch advance level technical post share kar raha hoo.Wese to ye bohat zayada technical post nahi hai lekin newbies ke liye bohat zarori aur technical hai.Aaj hum baat kare ge keh dictionary attack aur bruteforce attack kya hein,Ye kese kaam karte hein,In se password kese hack hote hein aur in se kese safe reh sakte hein.




    Dictionary attack ya Bruteforce attack se sirf facebook gmail etc jesi sites k account hi hack nahi hote balkeh in se wifi accounts bhi hack hote hein.Wese zayada tur in ko wifi hack karne ke liye hi use kia jata hai.



    What Is Dictionary Attack:

    Sub se pehle baat karte hein dictionary attack ke baare mein keh ye asal mein kya hai.Hackers jub kisi ka account hack karne ka irada karta hai to sub se pehle wo dekhta hai jis ka account wo hack kar raha hai uska account kitna secure hai yani uska password kitna strong hai.Wo uss admi ko dekh ke andaza karta hai keh kitna strong  password rakh sakta hai aur technology ke related wo kitna advance hai.



    Jub wo ye check kar leta hai to sub se pehle wo phishing attack karta hai agar apko phishing attack ka nahi pata to aap meri old posts check kar sakte hein.Agar phishing attack se account hack karne mein hacker fail hota hai to wo dictionary attack ko use karta hai.Ab aap soch rahe hoo ge haqeqat mein dictionary attack hota kya hai?




    Dictionary attack mein aik file se different types ke passwords baar baar try kiye jaate hein yani aik file hai jis mein faraz kar lein 100 passwords hein ab hacker ko jis ka account hack karna hai wo uss account pe baari baari all passwords check kare ga aur agar un 100 passwords mein se us victim ka koi password hai to wo hack ho jaye ga.Dictionary attack ko wordlist attack bhi kaha jata hai.Ghabraye mut mujhy pata hai aap ko ye acha nahi lage ga keh aik aik passowrd try karna bohat hi difficult hai lekin iss ki baqi explaination me neeche bata raha hoo.






    How Dictionary Attack Works:

    Jese keh me ne bataya keh dictionary attack mein aik file hoti hein jis mein kuch passwords hote hein un passwords ko aik aik kar ke victim ke account pe try kia jata hai aur agar victim ka password un mein se aik hai to uska account hack ho jaye ga.Ab aap ye soch rahe hoo ge keh hum aik aik password kese try kare ge yani iss mein to hum ko bohat saara time lage ga.Dosto aisa nahi hai keh hum khud wo passwords aik aik kar ke victim ke account par daalte hein balkeh baat kuch yoo hai keh hum wo passwords machine se aik aik kar ke victim ke account pe try karte hein aur aik second mein victim ke account pe 10 se 20 passwords check kiye jaate hein.



    Aisa bhi bilkul nahi hai keh wo file jo hum use kare ge uss mein sirf 100 passwords hi hoo ge.Internet pe aisi bohat si files hein jin mein laakho password mojood hein aur un all passwords ko aik aik kar ke victim ke account pe try kia jata hai aur aisa aksar possible hota hai keh victim ka password un laakho passwords mein se hi aik ho.Jis file laakho passwords ya jitne bhi passwords mojood hote hein zayada tur ye aik txt format mein hi hoti hai yani iss ko kisi notepad se bhi open kia ja sakta hai aur jub aap iss ko notepad se open kare ge to apko iss file mein all passwords show bhi hoo jaye ge.




    Ab question ye aata hai keh iss file ko hum kis software se use kare ge keh automatic ye hur password check karta jaye.Iss se pehle me ne aik post likhi thi keh Kali Linux Kya Hai,Ye Windows Se Kyo Better Ha Aur Iss Ko Kese Install Kare agar aap ne wo post read ki hai to apko zaror pata ho ga keh waha me ne bataya tha keh linux operating system mein windows ki nisbat hacking ke zayada tools hote hein.G dosto kali linux ya koi doosra koi bhi linux operating system hi aik aisa operating system hai jis se hum ye kaam kar sakte hein.






    Limits Of Dictionary Attack:

    Ab jaha hum dictionary attack se easily password hack kar sakte hein waha iss ki kuch limits bhi hein.Ab farz kare me kisi ka account hack kar raha hoo jis mein me dictionary attack ko use karo ga.Maan lijye iss attack ke liye jo file me use karo ga uss mein 5000 passwords hein.Ab me kali linux ko on karta hoo aur uss admi ke account pe attack kar deta hoo.Iss ke baad kali linux mein jis tool ko me use karo ga wo aik aik kar ke un all 5000 passwords ko try kare ga.Agar victim ka password un 5000 passwords mein se na hua to me password ko hack nahi kar pao ga.Iss liye dictionary attack mein ye limit hoti hai keh iss mein time to kum lagta hai but password hack hone ki possibilities bohat kum hoti hein.




    What Is Bruteforce Attack And How It Works:

    Bruteforce attack passwords ko hack karne ka aik aisa attack hai jis mein hum koi bhi file use nahi karte hein.Iss mein hur possible password ko victim ke account pe try kia jata hai.Bruteforce attack mein victim ka password 100% hack hota hai lekin depend karta hai keh iss pe kitna time lage ga.Mere khiyal mein aap logo ko samjh nahi aayi hai chale koi baat nahi neeche aik example se samjhata hoo jis se apka doubt clear ho jaye ga.



    Maan lijye me aik wpa2 security ya phir wpa security waale aik wifi ko hack karna chahta hoo.Ab sub ko ye pata ho ga keh wpa ya wpa2 security waale wifi mein 8 words ka password use hota hai.Ab uss password mein letters bhi ho sakte hein digits bhi ho sakte hein aur uppercase and lowercase letters bhi ho sakte hein.Ab me iss type ke wifi ko hack karne ke liye bruteforce attack ko use karo ga.




    Bruteforce attack mein ho ga kuch aise keh koi file to use nahi ki jaye gi lekin bruteforce attack karne ke liye jo tool hum use kare ge wo pehle hum se pooche ga keh aap kitne words ka password hack karna chahte hein.Ab me wifi hack kar raha hoo jis ka password 8 words ka hai to me iss software ko kaho ga keh mujhy 8 words ka password hack karna hai.Ab ye software kya kare ga keh 8 letters ke jitne bhi words bante hein un sub ko baari baari uss wifi pe try kare ga aur un me se 8 words ka aik password uss wifi ka bhi ho ga.






    Limits Of Bruteforce Attack:

    Jese keh me uper bata chuka hoo keh bruteforce attack mein password 100% hack hota hai yani password hack ho ga hi ho ga lekin time bohat zayada lug sakta hai.Chalye me aik example se ye bhi batata hoo keh kis tarah time zayada lage ga.



    Agar mein 8 words ka password hack kar raha hoo to iss hisab se dekha jaye to 8 letters ke billions words bante hein.Ab agar hum kisi account pe ya wifi pe billions password try karte hein to iss mein saalo lug jaye ge aur phir ja ke victim ka password hack ho ga.Bruteforce attack mein aik hi word ko different types se try kia jata hai.Jese kisi ka password word Computer hai ab iss ke possible words kuch iss tarah hote hein:

    computer,COMPUTER,cOmpUter,ComputeR,computER,etc.




    Which One Is Better Bruteforce Or Dictionary:

    Dictionary Attack aur Bruteforce attack ko me ne poori details se samjhaya hai.Mere khiyal me ye dono attacks hi apni jagha better hein.Agar hum ko time bachana ho to hum dictionary attack use kar sakte hein aur agar hum ko password hack karna bohat zarori ho chahe uss mein jitna time bhi lage to hum bruteforce attack use kar sakte hein.Ye aap pe depend karta hai keh aap konsa attack use karte hein.




    Some Basic Words:

    Ye sub kuch read karne ke baad aap ye soch rahe hoo ge Razzaq kuch kar ke nahi dikhata bus lecture hi deta hai.Dosto aisi baat nahi hai me aage chul ke ye sub kuch practically bhi kar ke dikhao ga lekin pehle me chahta hoo keh aap logo ko sub kuch achi tarah se samhj aa jaye taa keh baad mein aap jo bhi kaam kare apko pata chul raha ho keh aap kya kar rahe hein aur kese kar rahe hein.





    How To Protect Yourself From Dictionary Or Bruteforce Attack:

    Ab baat karte hein keh dictionary attack ya bruteforce attack se kese safe raha jaye yaani hum kese hi ye pakka kar le keh koi hamara password hack na kar sake.


    Sub se pehli baat to ye keh kabhi bhi apna password koi simple password na rakhe jese keh I love You,Pakistan,Lahore,Password,Inbox123,Computer,etc.Simple passwords se mera matlb hai keh aisa password na ho jo keh dictionary mein use hota ho.Ab iss mein bohat saare words hein.Ab aap ye sooche ge keh hamara naam to dictionary mein nahi hota so hum apne naam ka hi password rakh de.G nahi aisa bilkul bhi na kare hota kuch aise hai keh aap ke friends apke naam ka password apka account hack karne ke liye try kar sakte hein.




    Doosri baat ye keh bruteforce attack se bachne ke liye apne password mein letters,digits aur shapes jese keh / ya @ etc ka istmaal zaror kare.Password mein capital aur small letters dono use kare aur lazmi hai keh capital letter password ka 3rd ya 4th word ho.Me yaha aik powerful password ki just aik example de raha hoo keh unhackable password kis type ka hota hai.Ye bruteforce aur dictionary attack se unhackable 8 words ka password hai.

    :aX.lqn%


    Wese to uper wala password bruteforce attack se hack ho jaye ga because me ne bataya tha bruteforce mein password hack hone ke chances 100% hote hein lekin ye depend karta hai keh iss mein kitna time lage ga.Bruteforce attack se uper wali type ka password hack karne mein bohat years lug jaye ge.Ab koi pagal hi ho ga jo password hack karne ke liye Saalo wait kare.Me apko hurgiz recommend nahi karo ga keh aap uper waala password hi use kare.Aap uss jesa yani ussi type ka koi doosra password hi use kare.



    Last baat ye keh password ke end pe ya shuru mein aik ya 2 space lazmi add kare.Iss ka faida ye hota hai keh agar password hack ho bhi jata hai to koi apke account ko access nahi kar sake ga because uss ko pata hi nahi chale ga keh aap ne password ke shuru mein end mein space add kar rakha hai.Agar space darmyan mein ho to uska pata chul jata hai keh yaha space use hua hai aur agar shuru mein ho ya end mein ho to pata lagana bohat mushkil hai.




    Final Words:

    I hope keh apko dictionary attack and bruteforce attack ke about all information ka pata chul gaya ho ga lekin agar abhi tuk aap ka iss post ke about koi sawal hai to comment kar ke poochna na bhoole.Issi ke sath mujhy de ijazat Good Bye.

    4 comments:

    1. bhai whatsapp no do .help chahiye

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai me whatsapp use nahi karta hoo aap facebook page pe contact kar sakte ho

        Click Here To Visit Facebook Page

        Delete
    2. bro ..kisi ke fb I'd pe dictionary attack kaise kare Kali Linux ka use karke

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai ye thora lamba process hai anyway me apko hint de deta hoo

        apko kali mein pehle python install karna pare ga phir facebook.py file download karna ho gi iss ke baad dictionary file jis mein passwords hoo ge phir kali mein commands dena hoo gi aur attack shuru ho jaye ga.

        Me ye sub kuch sikhao ga lekin uss waqt jub bohat zayada visiotrs hamari site pe ho ge.Issi liye me aap sub se bolta hoo keh site ko zayada se zayada share kare taa keh hum fast work kare.

        Delete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media