• Learnwithrazzak

    26 Dec 2016

    Facebook Pe Stylish Jungle Name Account/Id Kese Banaye

    Introduction:

    Friends wese to facebook pe jungle name account banane ka trick bohat old ho chuka hai lekin ab bhi bohat se users ko nahi pata keh aisa account kese banaya jata hai.So users ke request karne par me ye post likh raha hoo keh facebook jungle name account kese banate hein lekin hum iss se se pehle baat kare ge keh haqeqat mein kya hai.Wese iss se pehle hum baat kar chuke hein keh Facebook Single Name account,Facebook Stylish Name account,Facebook Verified account kese banaye.Agar aap ne wo posts read nahi ki hein to aap Facebook Tutorials wali category mein ja ke check kr sakte hein.






    What Is Facebook Jungle Name Account/Id:

    Facebook pe jungle name account aik aisa account hota hai jo keh stylish fonts mein nazar aati hai.Ab wese to stylish name account banane ka trick me already share kar chuka hoo lekin ye stylish account kuch different type ka hota hai jis ka screenshot me neeche attach karo ga.Mera naam Abdul Razzaq hai so mera jungle name account kuch iss tarah nazar aye ga.





    Facebook jungle name account banane ke liye hum spain country ki location se connect ho ke facebook account create karte hein.Wese yaha pe me aap logo ko batana chaho ga keh aise naam ke accounts banana sirf asian countries mein hi hota hai jese keh Pakistan,India,Bangladesh,Sri Lanka etc.Pata nahi wo konsa insan tha jis ne iss type ka stylish name account banaya aur uss ko jungle name account ka naam de diya.Bus phir kya tha keh hamari awaam iss account ke peeche hi par ge.







    Why People Like Jungle Name Account:

    Sawal ye mind mein aata hai keh iss account ka faida kya hota hai.Mere khiyal mein aisa account banane ka koi faida nahi hai lekin yaha me ye batana pasand karo ga keh log iss account ko q pasand karte hein.Yaha pe me kuch funny lekin real baate aap logo ko batao ga keh log aisa account kis liye like karte hein.






    Maan lijye aap ki aik girlfriend hai aur uska aik simple facebook account hai.Ab facebook ko chalate chalate uss ne kisi fb group ya page mein kisi admi ka aisa account facebook pe dekha jo keh jungle name facebook account tha.Ab wo iss account ko dekh ke bohat inspire ho gi aur wo aap se zaror kahe gi keh mujhy iss type ke naam ka account chahye.Jub aap wo account dekhe ge to aap apni girlfriend ke liye uss type jesa account banane ke liye kuch bhi kare ge ab chahe to aap ko pese dena pare ya jo kuch bhi karna pare.Iss ke ilawa aur bhi bohat saari reasons ho sakti hein.Kher bghair time waste kiye hum asli topic ki janib aate hein.




    Requirements:

    Facebook jungle name account create karne ke liye hum ko jin cheezo ki zarorat ho gi wo ye hein:




    • Koi bhi Vpn jo ke Fly Vpn,Hola Vpn,Tunnel Bear Vpn etc ho sakta hai.Vpn se hum apni location ko spain country se connect kare ge.
    • Aik Pc ya phir Android Phone jis ki madad se hum account banaye ge.
    • Internet connection hona zarori hai jis se vpn connect ho ga.
    • Aik acha browser agar aap pc pe hein to firefox ya chrome aur agar aap mobile phone pe hein to Uc Browser,Chrome ya default browser.Yaad rahe opera mini ya uc mini na ho.





    How To Make Facebook Jungle Name Account:

    1.Sub se pehle vpn ko download kar ke apne mobile phone mein install kare.

    2.Install karne ke baad vpn ko open kare aur uss mein spain country ko find kar ke uss se connect kare.

    3.Iss ke baad Ye Website open kare.

    4.Website open karne ke baad box mein apna naam likhe jese keh screenshot mein nazar aa raha hai.


    5.Iss ke baad neeche waale screenshot ko dekh ke icons pe click kar ke naam ko stylish banaye.



    6.Naam stylish banane ke baad iss ko copy kar lein.

    7.Ab aik baar confirm kar lein keh apka vpn spain country se connected hai jub confirm ho jaye to facebook pe jaye.

    8.Facebook pe aane ke baad general setting mein aa kar name setting mein aaye.

    9.Yaha pe first name mein apna first name copy kare aur last name mein apna last name copy kar lein.

    10.Jub naam set kar lein to change name pe click kar dein jis se apka naam jungle name bun jaye ga.




    Troubleshooting:

    Mujhy pata hai keh pehli baar jub aap jungle name account banaye ge to aap kisi na kisi jagha se ghalti zaor kare ge iss liye meri baato ko dhiyan se sune.




    Agar aap ka naam change nahi hota to iss ke peeche sub se bari reason ye hai keh apka vpn spain country se connected nahi hai iss liye check karne ke liye Whatismyip website pe jaye.Iss website pe apko apki ip location ka pata chul jaye ga yani country ka pata chul jaye ga keh aap kis country ki location se connected hein.Aap screenshot mein dekh sakte hein keh me iss waqt country germany ki location se connected hoo to ye mujhy germany country show kar raha hai.




    Aksar aisa hota hai keh hola vpn show to karta hai keh wo kisi doosre country se connected hai lekin haqeqat mein connect nahi hota iss liye aap uper wali website pe ja ke apni ip location zaror check kare.




    Kabhi kabhi aisa bhi hota hai keh baqi websites pe to apki location change hoti hai lekin facebook pe change nahi hoti iss se bachne ke liye me apko suggest karo ga keh aap One Click Vpn application istmaal kare.




    Final Words:

    I hope keh agar aap ne poori post read ki hai to apko pata chul gaya ho ga keh kese facebook pe jungle name account create kia jata hai.Agar ab bhi aap ka koi sawal hai to aap comment box mein comment kar ke pooch sakte hein.Me koshish karo ga keh aap ka hur doubt clear ho jaye.Issi ke sath mujhy de ijazat Allah Hafiz.

    2 comments:

    1. Reset Your PasswordAccount disabledYour account has been disabled. If you have any questions or concerns, you can visit our FAQ pagehere.Try againCancel

      bro...mera fb a/c open nhi ho RHA hai kya karu. bro..

      ReplyDelete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media