• Learnwithrazzak

    28 Dec 2016

    Vpn Kya Hai Aur Vpn Se Apni Internet Location Kese Change Kare

    Introduction:

    Hamari website ke aik user jin ka naam Muhammad Nawab hai unho ne mujhe aik request ki keh vpn ke about details se aik post likho.Agar aap bhi koi post request karna chahte hein to Posts Request Area page pe jaa ke comment kar sakte hein.Aaj me poori details se batao ga keh vpn kya hota hai,ye kis muqsad ke liye istmaal hota hai aur vpn se apni internet location kese change kar sakte hein.Wese to vpn ko agar me technical method se samjhata hoo to aap logo ko samjh nahi aye gi iss liye me ap sub ko simple words mein hi samjhao ga.






    What Is Vpn And How It Works:

    Vpn Virtual Private Network ka shortcut hai.Internet pe apni real inditity hide karne ke liye vpn ko istamaal kia jata hai.Vpn aik public internet connection mein aik private internet connection ko create karta hai.For example aap apne mobile pe ya aik pc pe internet use kar rahe hein to aap aik public internet connection ko use kar rahe hein.Ab agar aap aik vpn se connect hoo ge to ye uss public network ke andar hi aik aur network create kare ga jis ki ip address aur location etc sub different ho ga.Vpn se hum wo tumam websites use kar sakte hein jo hamare country mein nahi chalti hein.




    Vpn se connect hone ke baad hum apni location ko kisi doosre country se connect kar ke uss country ki location le sakte hein.For example aap Pakistan mein internet use kar rahe hein aur aap kisi bhi website jese keh google etc pe jaate hein to internet foran detect kare ga keh ye user Pakistan se aaya hai kyo keh hum Pakistan mein bethe hein.Agar hum vpn se connect kar ke internet pe koi bhi website jese google ko open kare ge to google detect nahi kar paye ga keh hum kis location se internet use kar rahe hein yani google ko yehi lage ga keh hum United State,France,Spain,Australia ya kisi doosre country se internet istamaal kar rahe hein.





    Vpn ko zayada tur hackers apni real identity ya location hide karne ke liye use karte hein lekin kabhi kabhi aisa hota hai keh in ko use karna hum simple users ke liye bhi bohat zarori ho jata hai.Ab ye kehna bhi ghalat hai keh vpn ko use karte huwe koi hum ko detect nahi kar sakta keh hamari real location aur ip address kya hai.Vpn use karte waqt hum ko ye nahi sochna chahye keh hum safe hein aur internet pe jo chahe illegal kaam kar sakte hein.Me ap logo ko warn karta hoo keh vpn ko use karte huwe kisi bhi illegal activity se door(far) rahe.





    Why To Use Vpn:

    Ye janane ke baad keh vpn kya hai aap ye zaror soche ge keh aakhir hum vpn ko q use kare.Vpn ko bohat se different muqsad ke liye istamaal kia jata hai.Jese keh agar koi website Pakistan mein kisi reason se block hai to vpn ko connect kia jata hai,apni location change ki jati hai aur uss website ko use kar lia jata hai.Iss ke ilawa agar hum ko khatra hai keh koi hamara account hack kar raha hai ya hamara computer hack ho sakta hai to hum vpn se connect kr ke apni real identity hide kar le ge jis se hacker hamara ip address detect nahi kar paye ga aur hamara account ya pc hacker se safe rahe ga.





    Ab yaha pe me aik aur example se aap logo ko simply samjhane ki koshsih karta hoo.Hum sub jaante hein keh Facebook ne Pakistan mein Fb page ko blue tick verification ko disable kia hua hai yani ab agar kisi ka koi page hai aur wo user pakistani hai to apne facebook page ko verify nahi kar sakta hai to kya Pakistan mein fb page ko verify karna impossible hai.G nahi aaj kul kuch bhi possible hai lekin depend karta hai keh hum iske baare mein kitna knowledge rakhte hein.Pakistan mein facebook page ko verify karne ke liye zarori hai keh facebook account ko United State country ki location pe banaya gaya ho aur uss mein jo page hai uss ko bhi United State ki hi location pe banaya gaya ho tub hi hum ko facebook page verification ka option apne account mein nazar aye ga otherwise nahi aye ga.





    How To Change Location Using Vpn:

    Hum ne baat kar li keh vpn kya hai,ye kese kaam karta hai aur iss ko kis muqsad ke liye istamaal kia jata hai.Ab baat aati hai keh vpn se apni location ko kese change kar sakte hein.Darasal location change karne ke liye bohat saare vpn banaye ge hein.Sub ka method same hi hota hai bus thori bohat changing ho sakti hai.Dosto yaha pe mein One Click Vpn ka method share kar raha hoo aap koi doosra vpn bhi use kar sakte hein.




    1.Sub se pehle one click vpn ko play store ya iss link se download kar lein.

    2.Download karne ke baad setting mein ja ke security pe click kare aur unkown sources ko tick kar dein.



    3.Ab jo vpn download kia hai usko apne phone mein install kar ke open kar lein.


    4.Open karne par apko kuch aisi window show ho gi jaha kuch countries ke flag bane hoo ge.



    5.In mein se kisi bhi country ke flag pe click kar ke connect pe click kar de wese me apko recommend karo ga keh United State se connect kare.

    6.Connect pe click karne ke baad kuch seconds mein vpn uss country se connect ho jaye ga.

    7.Agar apka phone vpn se connect ho gaya to apko apne phone ke notification bar mein aik key yani chabi ka icon nazar aye ga.







    Ab check karne ke liye keh apka vpn thek tarah se work kar raha hai ya nahi to aap ip2location website pe ja ke apni location check kare agar aap ko waha Pakistan country ke ilawa koi doosre country ka naam nazar aye to iska matlb apka vpn work kar raha hai aur agar waha Pakistan show ho raha ho to iska matlb hai apka vpn thek tarah se connect nahi hua hai so aap iss ko again connect kare.





    Final Words:

    Dosto me ne poori details se bata diya hai keh vpn kya hai,kese kaam karta hai,iss ko kis muqsad ke liye use kia jata hai aur vpn se apni location kese change kar sakte hein.Agar abhi tuk apka iss ke about koi question hai to aap post pe comment kar ke pooch sakte hein.Iss ke ilawa nhamari website aur hamare Facebook Page ko apne friends se zaror share kare.

    16 comments:

    1. thank you bhai jaan sada khush salamat raho

      ReplyDelete
      Replies
      1. welcome brother hamari website aur facebook page ko apne friends se share karna mut bhoole

        Delete
      2. my pleasure bro insha allah ap ka page invite karunga all frnd ko

        Delete
      3. thanks keep visiting our website

        Delete
    2. bro many app ko ak post ki request ki thi.Ky Google sy paid app free men kasy download karen.

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai security reasons ki waja se me wo post share nahi kr sakta because google aisi cheeze allow nahi karta

        wese agar aap ko zarori hai to aap jo app ya game download karna chahte hein jo paid hai to aap google mein uss app ya game ka naam likh kar aage apk likh ke download likh do wo app aap ko bohat saari jagha mil jaye gi.

        Delete
    3. Enter your comment...clash of clan game kesy hack hota hai?

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai aap iss website se gold gems etc generate kr sakte ho

        Click Here To Visit

        Delete
    4. Bro...tor browser kya hota
      I mean ye browser jyadatar Hacker use karte hai na mujhe aap tor browser ke baare me detail se batlao na

      ReplyDelete
      Replies
      1. g bhai bilukl iss ko hackers hi use karte hein iss mein hota kuch yoo hai keh ye hur 10 seconds ya iss se kum seconds ke baad hamara up address change karta rehta hai yani agar iss waqt pakistan hai to 10 seconds baad usa phir france phir germany issi tarah ye change hota rehta hai jis se koi bhi uss ko trace nahi kr sakte jo tor browser use kar raha ho

        Delete
    5. to bro...mai tor browser ka use karke kuch illegal karunga to cyber-security ki team mujhe trace nhi kar sakte hai na

      ReplyDelete
      Replies
      1. tor browser se ip trace karne ke liye poori dunya mein sirf United State mein hi 2 se 3 companies hein jo tor browser se hackers ko trace kar sakti hein otherwise koi bhi nahi lekin me apko hurgiz recommend nahi karo ga keh aap iss ko use kar ke kuch illegal karo.Agar aap ne koi ghali ki to aap ko jail ho sakti hai aage aap ki marzi

        Delete
    6. Sir hum vpn se internet free chala shakte hen mobil m jese k humne vpn se cnenct kya h vpn ko magar humara net packg se mb khatam hoti h kia net mumkin h

      ReplyDelete
    7. I found great post such as your article, its gave me lot of information.
      Very Nice Post, I learned a lot through it. Thanks for posting.
      Something is new for me, I read it and addition part of information. Much appreciated

      ReplyDelete
    8. Please ye bata den k ( Meta Seo Inspector ) kia cheez he or isky fawaid kia hen ???

      ReplyDelete
    9. Please ye bata den k ( Meta Seo Inspector ) kia cheez he or isky fawaid kia hen ???

      ReplyDelete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media