• Learnwithrazzak

    29 Dec 2016

    Hackers Ki Konsi Types Hein Aur Un Ke Kaam Karne Ke Tariqe

    Introduction:

    Kuch log sochte hein keh hackers bohat hi bure log hote hein lekin wo log ghalat sochte hein.Lafz hacker ka matlb criminal ya bura admi nahi hota hai.Hackers ki kuch types hoti hein aur un types mein se 3 types hi bohat zayada popular hein.Me aaj un all types ke baare mein baat karo ga aur ye bhi batao ga keh un ka kya muqsad hota hai.Hackers basically 3 types ke hote hein: 1 Black Hat Hackers 2.White Hat Hackers 3.Grey Hat Hackers.Ye hacker ke behavior aur mind pe depend karta hai keh wo in me se kis term mein aata hai.







    Aksar logo ka manana ye hai keh hacker ka matlb hai keh kisi bhi system mein bghair kisi ijazat ke ghus jane wala admi hacker hota hai lekin dosto aisa nahi hai.Meri iss poori post ko read karne ke baad aap logo ke all doubts clear ho jaye ge keh ye log darasal kon hein aur kya chahte hein.





    Black Hat Hackers:

    Sub se pehle hum baat karte hein black hat hackers ki keh ye type konse hackers ki hein aur ye kya chahte hein.Ye wo log hein jo kisi bhi cheez ko personally hack karte hein yani ye sirf apne faide ke liye hi doosre logo ke accounts credit cards etc jo kuch bhi ho hack karte hein.In ko iss baat se koi matlb nahi hai keh jis ko wo hack kar rahe hein wo kesa insan hai.Ye hackers logo ko blackmail bhi karte hein.Agar in ko kisi se badla lena ho aur uss admi ki koi website ho to uss pe ye ddos attack karte hein yani uss ki website ko bund kar dete hein.





    Hackers ki ye type criminals mein shamil hoti hai jo apne khud ke faide ke liye illegal activities karte hein aur doosro ke computers etc hack karte hein.



    In mein kuch aise log bhi shamil hote hein jo kisi ke credit card ke numbers chura ke un ko criminal organization ya black market mein sale karte hein.Ab aap ye soch rahe hoo ge keh ye black market kya hai.Dosto black market internet ki wo online dunya hai jaha pe illegal cheezo ko sell aur buy kia jata hai.Ab yaha pe weapons bhi hote hein credit cards ke numbers bhi hote hein.Matlb ye keh hur wo cheez jo illegal hai wo yaha pe sale ki jati hai.





    White Hat Hackers:

    Ye Black Hat Hackers ke bilkul opposite hein.In ko ethical hackers bhi kaha jata hai.Darasal hote to ye bhi hackers hi hein lekin ye apni abilities ko ache kaamo ke liye use karte hein.Ye hackers apne personal faide ke liye ya bghair kisi ki ijazat ke kisi ka computer ya account etc hack nahi karte hein.Ab aap soch rahe hoo ge keh black hat hackers to kisi ke accounts hack kr ke illegal method se money earn kar lete hein lekin white hat hackers kese earn karte hein.





    Maan ke chalye aap aik white hat hacker hein aur legal kaamo ke liye hacking karte hein.Ab koi company hai jese keh koi insurance company ya koi bhi bari si company jin ke online accounts ya online websites hein.Ab wo company apne accounts and websites ki security check karwana chahti hai.Aise mein aik hacker hi un ki security ko check kar sake ga na.Ab wo company aap ko yani aik white hat hackers ko hire kare gi yani bulaye gi.Ab white hat hacker un ki permission le ga aur un ki websites aur accounts ko hack karne ki koshish kare ga.Iss ke baad jub wo apna kaam mukammal kare ga to uss company ko unki websites and accounts mein loopholes yani kamzaryaa bataye ga aur un ko thek kare ga.Iss ke baad wo comapny uss white hat hackers ko pese di gi jo keh bohat zayada pese ho sakte hein.





    Uper wali example read karne ke baad apko pata chul gaya ho ga keh white hackers kon hein,ye kis muqsad ke liye hacking karte hein aur kese pese earn karte hein.




    Grey Hat Hackers:

    Zindgi mein bohat si cheeze clear hein jese keh black aur white lekin haqeqat mein yaha aik grey area bhi mojood hai.Grey Hat Hackers wo hackers hein jo black hat aur white hat ke darmyan aate hein.Ye wo log hein jo apne personal faide ke liye to account hack nahi karte lekin phir bhi crime zaror karte hein.Ab aap soche ge keh ye kese possible hai to chalye me aik example se samjhata hoo.



    Jese keh me ne bataya keh black hat hacker wo hote hein jo apne personal faide ke liye hacking karte hein aur grey hat hackers apne personal faide ke liye accounts hack nahi karte.Iss hisab se ye black hat hackers to nahi huwe.White hat hackers permission le kar accounts hack karte hein lekin grey hat hackers without permission accounts hack karte hein to ye white hat hackers se bhi different huwe.Issi waja se in ko grey hat hackers kaha jaata hai.


    Ye accounts sirf aur sirf fun aur maze ke liye hi hack karte hein.Accounts ko hack kar ke ye log koi illegal actvity nahi karte yani agar inho ne kisi ki website hack kar li to logo ko dikhane ke liye uss website ke homepage pe apne naam ka logo laga dete hein keh hacked by.........  Ye kisi hud tuk theek bhi hein aur ghalat bhi lekin kisi ki permission ke bghair kisi ke account mein enter hona aik bohat bura kaam hai.





    Final Words:

    Umeed hai aap sub ko ye post bohat pasand aayi ho gi.Agar aap ka black hat white hat ya grey hat hackers ke about koi question hai to aap neeche comment mein pooch sakte hein.

    8 comments:

    1. dear aapnay kaha tha kayh ap kuch dino mayn karnel change karnay ka method share karayn gay please is kay baray mayn ik thread banay meray mobile ka usb mass storage theek nahi ho raha hay

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai kernal ko ko change karna bohat easy hai just apne mobile ke liye kernal zip file download karo aur recovery mode mein ja kar flash kr do jis tarah custom rom flash karte hein.Aur me kernal ke about post likhna to chahta hoo lekin aaj kul time nahi mil raha hai plz wait and sorry.

        Delete
    2. Replies
      1. bhai ye post read kro jaha se samjh na aye pooch lena

        Click Here To Read

        and me khud bhi kabhi time nikal ke iss pe details se post likho ga

        Delete
    3. bro..gmail spoof script download nhi ho rha hai us site se
      aap koi site se gmail spoof script download link do na

      ReplyDelete
      Replies
      1. ye lo bhai me ne iss ko zippyshare pe upload kar dya hai

        Click To Download

        Delete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media