Introduction:
Sub se pehle to meri site ke all friends ko meri taraf se 2017 ka new year mubarak ho.Friends Earn Money Online category mein post write kiye kafi time ho chuka hai socha iss section ko again active kar lena better hai.Ab me rozana hur category mein aik post likho ga taa keh hur user ko kuch na kuch seekhne ka moqa milta rahe.Aaj hum baat kare ge keh domain flipping kya hai aur iss se pese kese earn kiye ja sakte hein.Aap post ko poora read kia kare kyo keh agar aap poori post read karo to apko kisi type ka koi doubt nahi rahe ga aur comments mein poochne ki zarorat hi nahi pare gi.
What Is Domain Flipping And How To Earn From It:
Domain ka to sub ko hi pata ho ga keh domain kya hoti hai.Jese www.google.com ya www.learnwithrazzak.com ye dono domain names hein jo hum ne internet pe kisi website pe buy kia hota hai.In my case me ne domain name aik pakistani website apnadomain.pk se buy kia hua hai.Domains buy karna aur phir un ko zayda qeemat par sell karna Domain flipping hota hai.Domain flipping ko aur zayada achi tarah samjhne ke liye me aap logo ko aik example doo ga taa keh aap logo ko ache se samjh aa jaye.
Maan ke chalye aap ne aik domain buy kia hua hai jis ka naam hai www.foodarea.com Ab aap ne iss domain ko use nahi kia sirf buy kar ke rakha hua hai isko use nahi kia hai.Iss domain ka naam food ke related hai so ab agar koi food ki company hai aur wo food pe apni website banana chahti hai.Ab wo company chahe gi keh un ki company se milta julta domain name un ko mil jaye so wo internet pe search kare ge.Farz kar lein wo wohi domain name buy karna chahte hein jo aap already buy kar chuke hein.Ab wo aisa to nahi kar sakte na keh wo domain name aap se cheen lein because wo apki property hai.
Ho ga kuch yoo keh wo check kare ge keh ye domain internet pe kis ne buy kia hua hai.So wo domain apne browser mein enter kare ge aur agar aap ne waha likha hua hai keh ye domain for sale hai to wo aap se contact kare ge keh hum ko ye domain name chahye.Aap un se bole ge keh hum ye domain aap ko de sakte hein lekin iss ke badle aap se apni marzi ke pese le ge.Agar wo company waqai domain buy karna chahti hai to wo apko 2 lakh rupees bhi de sakti hai kyo keh bari bari companies ka budget bohat zayada hota hai.
Sawal ye paida hota hai keh hum koi acha sa domain name kese buy kare.Agar aap social media use karte hein to apko pata ho ga keh mojooda mein waqt konsi company bun rahi hai aur kis topic pe bun rahi hai.Maan ke chalye koi bohat hi rich person apni koi new industry bana raha hai jo keh clothes ke about hai.Ab wo person apni industry mein kisi type ki koi kumi nahi chore ga aur apni industry ke liye aik website bhi banana chahe ga jo uss ki industry ke naam se milti julti ho.Aap kya karte hein keh uss ke website banane se pehle aik domain name buy karte hein jo uss person ki industry ki website ke liye perfect hai.Ab aap uss ko bolte hein keh sir agar aap apni industry ke liye aik website banana chahte hein to uske liye mere paas aik behtreen domain name hai.
Wo person aap ko bole ga keh wo domain name check karwao.Jub aap check karwaye ge to wo un ki industry ke naam se milta julta ho ga aur un ko pasand bhi aye ga.Wo iss domain name ko aap se buy karne ke liye aap ko aik bohat bari qeemat pay kare ga.So iss tarah aap domain buy kar ke aur sell kar ke pese kama sakte hein.
Where To Buy A Domain Name:
Ab aap soch rahe hoo ge keh kum price mein aik acha domain name kaha se buy kia jaye.Iss ke liye bohat si websites shamil hein jin mein Go Daddy,1and1,Namecheap,Register,Apnadomain etc shamil hein jo keh kum price mein domain deti hein.Iss ke sath sath ye websites real bhi hein yani aisa nahi hai keh aap pese dete hein aur apko domain nahi milti.Go daddy ya 1 and 1 se aap 100 rupees mein aik saal ke liye domain buy kar sakte hein aur next year uss domain ko renew karne ke liye apko taqreban 1000 rupees dena hoo ge.
How Many Domains Registered:
Iss waqt 9 crore se zayada .com domains buy kiye ja chuke hein.Zayada tur log samjhte hein keh koi acha domain name ab baqi nahi raha jo buy kia jaye lekin wo log ghalat hein.Ab bhi aise bohat se domain names hein jo registered kiye ja sakte hein.Ye apko apne mind se nikalana hai keh konsa domain name buy kia jaye.
Is There Any Loss:
Kya domain ko buy karne ke baad hum ko nuqsan ho sakta hai?Ye aik aisa question hai jo aksar logo ke zehan mein aata hai.Iss ka jawab koi doosra admi nahi balkeh wohi de sakta hai jo domain buy kar raha ho.Zayada tur iss ka nuqsan nahi hota agar aik acha domain name buy kia hua ho.Agar aap ne koi acha domain name buy kia hua hai to wo 5 saal baad bhi sale ho sakta hai zarori nahi keh domain buy karne ke 1 month ya 15 din baad hi uss ko buy karna chahe.Issi tarah agar aap ke pas kafi pese hoo to aap kafi domains buy kar ke unko sell kar sakte ho aur ache khaase pese kama sakte ho.
Final Words:
Domain flipping ke about mujhy jitna knowledge tha me ne aap sub se share kar diye aur agar abhi tuk aap iss ke about koi question poochna chahte hein to comment mein pooch sakte hein.Agar mujh se koi ghalti hui ho to sorry because me bhi aik insan hoo.Ab mujhy dijye ijazat Allah Hafi.

- Posts Karne Aur Threads Banane Pe Pese Kese Kamaye Full Details
- Website Ya Blog Pe Bghair Kisi Kaam Ke Pese Kamaye
Maan ke chalye aap ne aik domain buy kia hua hai jis ka naam hai www.foodarea.com Ab aap ne iss domain ko use nahi kia sirf buy kar ke rakha hua hai isko use nahi kia hai.Iss domain ka naam food ke related hai so ab agar koi food ki company hai aur wo food pe apni website banana chahti hai.Ab wo company chahe gi keh un ki company se milta julta domain name un ko mil jaye so wo internet pe search kare ge.Farz kar lein wo wohi domain name buy karna chahte hein jo aap already buy kar chuke hein.Ab wo aisa to nahi kar sakte na keh wo domain name aap se cheen lein because wo apki property hai.
Ho ga kuch yoo keh wo check kare ge keh ye domain internet pe kis ne buy kia hua hai.So wo domain apne browser mein enter kare ge aur agar aap ne waha likha hua hai keh ye domain for sale hai to wo aap se contact kare ge keh hum ko ye domain name chahye.Aap un se bole ge keh hum ye domain aap ko de sakte hein lekin iss ke badle aap se apni marzi ke pese le ge.Agar wo company waqai domain buy karna chahti hai to wo apko 2 lakh rupees bhi de sakti hai kyo keh bari bari companies ka budget bohat zayada hota hai.
- Captchas Fill Kar Ke Online Pese Kese Kamaye Very Easy Work Trusted
- Vpn Kya Hai Aur Vpn Se Apni Internet Location Kese Change Kare
Sawal ye paida hota hai keh hum koi acha sa domain name kese buy kare.Agar aap social media use karte hein to apko pata ho ga keh mojooda mein waqt konsi company bun rahi hai aur kis topic pe bun rahi hai.Maan ke chalye koi bohat hi rich person apni koi new industry bana raha hai jo keh clothes ke about hai.Ab wo person apni industry mein kisi type ki koi kumi nahi chore ga aur apni industry ke liye aik website bhi banana chahe ga jo uss ki industry ke naam se milti julti ho.Aap kya karte hein keh uss ke website banane se pehle aik domain name buy karte hein jo uss person ki industry ki website ke liye perfect hai.Ab aap uss ko bolte hein keh sir agar aap apni industry ke liye aik website banana chahte hein to uske liye mere paas aik behtreen domain name hai.
Wo person aap ko bole ga keh wo domain name check karwao.Jub aap check karwaye ge to wo un ki industry ke naam se milta julta ho ga aur un ko pasand bhi aye ga.Wo iss domain name ko aap se buy karne ke liye aap ko aik bohat bari qeemat pay kare ga.So iss tarah aap domain buy kar ke aur sell kar ke pese kama sakte hein.
Where To Buy A Domain Name:
Ab aap soch rahe hoo ge keh kum price mein aik acha domain name kaha se buy kia jaye.Iss ke liye bohat si websites shamil hein jin mein Go Daddy,1and1,Namecheap,Register,Apnadomain etc shamil hein jo keh kum price mein domain deti hein.Iss ke sath sath ye websites real bhi hein yani aisa nahi hai keh aap pese dete hein aur apko domain nahi milti.Go daddy ya 1 and 1 se aap 100 rupees mein aik saal ke liye domain buy kar sakte hein aur next year uss domain ko renew karne ke liye apko taqreban 1000 rupees dena hoo ge.
How Many Domains Registered:
Iss waqt 9 crore se zayada .com domains buy kiye ja chuke hein.Zayada tur log samjhte hein keh koi acha domain name ab baqi nahi raha jo buy kia jaye lekin wo log ghalat hein.Ab bhi aise bohat se domain names hein jo registered kiye ja sakte hein.Ye apko apne mind se nikalana hai keh konsa domain name buy kia jaye.
Is There Any Loss:
Kya domain ko buy karne ke baad hum ko nuqsan ho sakta hai?Ye aik aisa question hai jo aksar logo ke zehan mein aata hai.Iss ka jawab koi doosra admi nahi balkeh wohi de sakta hai jo domain buy kar raha ho.Zayada tur iss ka nuqsan nahi hota agar aik acha domain name buy kia hua ho.Agar aap ne koi acha domain name buy kia hua hai to wo 5 saal baad bhi sale ho sakta hai zarori nahi keh domain buy karne ke 1 month ya 15 din baad hi uss ko buy karna chahe.Issi tarah agar aap ke pas kafi pese hoo to aap kafi domains buy kar ke unko sell kar sakte ho aur ache khaase pese kama sakte ho.
Final Words:
Domain flipping ke about mujhy jitna knowledge tha me ne aap sub se share kar diye aur agar abhi tuk aap iss ke about koi question poochna chahte hein to comment mein pooch sakte hein.Agar mujh se koi ghalti hui ho to sorry because me bhi aik insan hoo.Ab mujhy dijye ijazat Allah Hafi.
Jankari bahut achchhi hai jarurat follow karne ka
ReplyDeletebohot acchi jankri di hai apne.
ReplyDelete