• Learnwithrazzak

    4 Jan 2017

    Spyware Kya Hai,Kese Computer/Mobile Hack Hota Aur Kese Bache

    Introduction And Definition:

    Hello dosto aaj kul kuch busy hone ki waja se late post kar raha hoo jis ke liye me users ko sorry kehna chaho ga.So aaj hum baat kare ge keh spyware kya hota hai,Ye computers ko kese hack kar leta hai aur iss se kese bacha ja sakta hai.Sub se pehle iss ki definition batana chaho ga.




    Spyware aik aisa software hota hai jo kisi user ke computer mein uss user ki ijazat ke bghair install ho jata hai ya run ho jata hai.Jis computer mein ye install ho jata hai uss computer ki information ye apne malik ko deta rehta hai jis ne iss ko banaya hai.Aksar jagha pe aap ne dekha ho ga ya suna ho ga keh ye software download mut kro warna apke computer mein spyware aa jaye ga.Kafi log keh to dete hein keh spyware aa jaye ga lekin aksar ko ye nahi pata hota hai keh aakhir ye hota kya hai aur kaam kese karta hai.





    Uses Of Spyware:

    Offices ya aisi kaam karne ki jagha ye software install kia jata hai taa keh pata chalaya ja sake keh jo us office mein log job kar rahe hein wo internet pe apna kaam thek tarah kr rhe hein ya nahi kar rahe hein.Company un computers mein khud spyware install karti hai.



    Ghar ke computers mein bhi iss ko install kia jata hai.Iss ki sub se bari waja ye hoti hai keh jo parents hote hein wo computers mein iss ko iss liye install karte hein taa keh un ko pata chalta rahe keh jub un ke bache(children) jub computer on karte hein to wo iss pe kya karte hein.



    How It Works And Hack Computers Or Mobiles:

    Chalye ab baat karte hein keh ye kaam kese karta hai.Hota kuch aise hai keh aik simple software jese keh maan ke chalye winrar hai to usko install karna hamare liye safe hai.Lekin zara sochye agar us winrar software ke sath kisi spyware ko bhi mila diya jaye to winrar install karne ke sath automatic spyware bhi computer mein install ho jaye ga.




    Spyware ko detect karna bohat mushkil hota hai.Ye depend karta hai keh jis admi ne spyware banaya hai uss ne iss pe kitni mehnat ki hai.Bohat se internet users ko pehli baar spyware ka introduction 1999 mein karwaya gaya tha jub aik popular game ke sath aik spyware ko attach kia gaya tha.



    Jaha spyware ke faide hein waha iss ka ghalat istmaal bhi kia jata hai.Chalye me aap logo ko aik example de kar samjhata hoo.Maan ke chalye aap ke paas aik computer hai ya aik mobile hai.Ab apka aik friend hai uss ne aik software ke sath aik spyware attach kar diya hai aur wo aap ko uss software ya application ko deta hai keh bhai ye software install karo to apke phone mein ye feature aa jaye ga ya wo kuch bhi keh sakta hai.Aap wo software jub apne phone mein ya pc mein install karte hein to apki information apke uss dost ke paas jati rehti hein jub bhi aap internet use karte hein.





    How To Be Safe From Spyware:

    Aap ye soche ge keh thek hai spyware software ke sath hamare pc mein install ho jata hai aur hume pata bhi nahi hota keh ho hamari hur activity ko dekha ja raha hai aur track kia ja rha hai.So iss se bacha kese jaye hum kese hi ye pakka kar lein keh hamare pc mein ya mobile mein spyware install na ho sake.Iss se safe rehne se pehle mein aap logo se request karo ga keh agar aap aik office mein kaam karte hein aur mere methods ko follow karne ke baad aap spyware se safe rehte hein to office ke pc pe hurgiz aisa koi kaam na kare jo un ke rules ke khilaf ho ya illegal ho.




    Iss se bachne ki sirf 2 hi soortein ho sakti hein.Pehli baat to ye keh apne computer mein ya mobile mein aik acha aur official antivirus zaror install kr ke rakhe.Wo antivirus Avast ya Microsoft Security Essential ho sakta hai.Antivirus kya kare ga keh jub bhi aap koi software ya application install kare ge aur agar uss ke sath koi spyware hua to wo iss ko detect kare ga aur delete ya block kar de ga.




    Aksar users aise hote hein jo pc mein to antivirus install kar lete hein lekin mobile phone mein antivirus ko install nahi karte hein jis ki waja se aap ki informations apps install karne ke baad steal kar li jati hein aur apko pata bhi nahi hota hai.Iss liye antivirus ko install rakhe aur uss ko update bhi rakhe yani uss ka version old ho gaya hai to new download kare.



    Kafi users ka manana hai keh antivirus install karne ke baad system bohat slow start hota hai.Un users ki ye baat thek hai because antivirus virus ko delete karne ke kaam aata hai aur iss mein kuch aisi files hoti hein jo computer ko start hone ke liye time zayada leti hein.Lekin jub aik baar computer start ho jata hai to baad mein koi problem nahi hoti hai.



    Agar aap antivirus install nahi karna chahte hein to kisi bhi unknown website se koi bhi application ya software download mut kare.Iss ki waja ye hai keh ho sakta hai uss website ke owner ne uss application ya software ke sath kisi spyware ko attach kar diya ho aur aap jub uss ko apne phone ya pc mein install kare to apki information steal ho jaye.Koi bhi cheez download karni ho to sirf uss website se kare jo bohat popular ho because uss website ke owner aisa kaam nahi kare ge.Aur agar wo aisa karte hein to bohat juld un ki website close ho jaye gi.





    Final Words:

    Mujhy umeed hai keh aap logo ko pata chul gaya ho ga keh spyware kya hai,kese kaam karta hai,kese hamari information steal kar sakta hai aur iss se kese bacha ja sakta hai.Agar abhi tuk aap ka iss ke about kisi type ka koi question hai to aap comment kar ke pooch sakte hein.Post ko social media pe zaror share kare.Issi ke sath ab mujhy dijye ijazat Khuda Hafiz.

    3 comments:

    1. Very Nice Sir Great.

      ReplyDelete
    2. Sir kya Aap Muje koi aisa method bata sakte hai jis se hum android mobile hack kr sake without break or internet.

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai internet ke without aisa koi method nahi hai

        Delete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media