• Learnwithrazzak

    7 Jan 2017

    Facebook Pe Kisi Bhi Naam,Text Ya Song Ka Code Kese Banaye

    Introduction:

    Welcome back friends,kese ho sub.Dosto aaj ke din me koi aur post likhne wala tha llekin mere Facebook Page pe mujhy bohat zayada messages aa rahe the keh iss text ka code bana do ya uss name ka code bana do.Dosto me sub ko to ab aik aik kar ke code bana ke nahi de sakta na so issi liye me ne socha iss ka poora tutorial hi aap logo se share kar doo taa keh aap jub chahe khud hi kisi bhi naam ka code bana lein.




    What Is Facebook Text Or Name Code And How It Works:

    Wese to ye sub ko pata hai keh facebook pe naam ka code ya text ka code kya hota hai lekin phir bhi me details se batana chaho ga keh ye kya hai because shayed koi user iss ke baare me na janta ho.Aap ne aksar facebook pe dekha ho ga keh log post kar rahe hote hein jo kuch iss screenshot jesi hoti hai.



    Jese keh aap ne uper screenshot mein dekha  uss mein aik code diya gaya hai aur bataya gaya hai keh uss code se + ka sign remove kare aur comment mein baqi ka poora code likh ke comment kar dein aur magic dekhe.Ab iss se ho ga kya keh jub aap comment kare ge to comment mein wo likha aye ga jo kuch me ne iss code mein hide kia hua ho ga.




    Kuch log aise hote hein jo code mein koi Islamic word hide kr dete hein aur bolte hein keh comment karo aur jub koi uss code ko comment box mein daal kar comment karta hai to Islamic words likhe nazar aane lagte hein.Aise bhi log hote hein jinho ne code mein kuch ghatya baate likhi hoti hein jo me yaha share karna theek nahi samjhta hoo.





    How To Make Facebook Name,Text Or Song Code:

    So chalye shuru karte hein keh facebook pe kisi name,text ya song ka code kese banaye ge.Aap log aik aik step ko theek se follow karo ge to easily bana sako ge.


    1.Sub se pehle facebook pe ja ke menu pe click kare aur phir events waale option ko press kar dein.



    2.Events pe click karne ke baad create event waale button ko press kar dein.


    3.Ab neeche diye huwe screenshot ko dekh ke steps follow kare.



    4.Continue pe click karne ke baad kum se kum 2 friends ko uss event pe invite kare.

    5.Friends invite karne ke baad uper browser ki link mein event ka code apko nazar aa raha ho ga usko copy kar lein.



    6.Ab apke naam ka code bun chuka hai ab iss ko iss tarah copy kare.


    @[232744960509814:]

    7.Iss code mein jo pink colour mein digits nazar aa rahe hein inko apne event code se replace kar lein.

    8.Iss ke baad ap jub bhi uss code ko facebook pe post ya comment karo ge to apko wo text dikhai de ge jo step3 ke screenshot mein 1 step hai.


    Iss method ko follow karne ke baad apka ye event sirf 1 din yani 24 hours ke liye hi rahe ga iske baad auto close ho jaye ga aur apka code work nahi kare ga.Iski date zayada karne ke liye aap event open kar ke edit event pe click kare.Uske baad add end date option ko press kar ke iss ki date zayada kar lein.





    Final Words:

    Agar apko kisi step se samjh nahi aayi hai to aap comment kar ke zaror pooche.Iss ke ilawa post ko facebook pe share kare aur hamara Facebook Page lazmi like kare.Issi ke sath mujhy dijye ijazat Khuda Hafiz.

    1 comment:

    1. Bhai apne kaha screenshot dekhe screenshot nazar nhi arhe

      ReplyDelete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media