• Learnwithrazzak

    12 Mar 2017

    Kali Linux Ke Liye Persistence Bootable Usb Kese Banaye

    Introduction:

    Hello friends aaj hum baat kare ge keh usb ko kali linux ke liye kese bootable banaye wo bhi persistence ke sath. Iss se pehle me simple way mein usb pe kali linux ko bootable banana sikha chuka hoo lekin uss ke baad kafi friends ne mujh se poocha keh persistence bootable usb kali linux ke liye kese banai ja sakti hai. Doso aise mein jo new users hein un ke mind mein ye question zaror aye ga keh aakhir ye persistence bootable usb kya hai to preshan hone ki koi zarorat nahi. Neeche me issi ke baare me baat karne ja raha hoo.






    What Is Persistence Bootable Usb:

    Persistence Bootable Usb aik aisi bootable usb hoti hai jis mein hamara saved data lost nahi hota hai. Jese keh me ne pehle aik post likhi thi keh Windows/Linux Ke Liye Bootable Usb Kese Banaye to waha me ne simple way mein usb ko bootable banaya sikhaya tha. Uss method se agar hum usb ko bootable bana lete hein aur kali linux ko usb se run kar lete hein to pc ko restart karne ke baad kali linux mein jo hum ne setting ki hoti thi wo delete ho jati thi.


    Chalye aik example se batata hoo keh hum ne simple method se banai howi bootable usb se kali linux ko run kar liya aur run karne ke baad kali linux ke desktop pe aik new folder create kar liya. Ab hum ne pc ko restart kar ke kali linux ko usb se dobara boot kar diya. Ab wo boot to ho gai lekin uss mein mojood hamari setting yani hamara new folder jo hum ne create kia tha wo save nahi rahe ga.



    So dosto iss post mein hum baat kare ge keh kese kali linux ke liye bootable persistence usb banaye ta keh hamari tumama setting jo hum ne ki hein wo save rahe aur hum apna kaam easily kar sake. So chalye friends start karte hein.





    Requirements:

    Persistence bootable usb banane ke liye aap ko jin cheezo ki zarorat ho gi wo ye hein:

    1. Aik 8gb ki usb flash drive.

    2. Universal Usb Installer software jo aap neeche link se download kar sakte hein.



    3. Mini Tool Partition Wizard Software jis ko aap diye ge download link se easily download kar sakte hein.


    4. Kali Linux iso image jo aap kali linux ki official website se download kar sakte hein aur agar ap ke paas pehle se hai to koi zarorat nahi kher me iss ka download link bhi de raha hoo.


    5. Simple Knowledge about computer.




    How To Make USB Partitions With Mini Tool Partition Manager:

    Sub se pehle hum ko usb ke 2 partitions banan pare ge. Aik partition wo ho ga jis se hum usb ko boot kare ge yani jis pe kali linux ko bootable banaye ge aur doosra partition settings aur hamara data save rakhne ke liye ho ga. Iss kaam ke liye hum mini tool partition ka software use kare ge jis ka download link me uper de chuka hoo. Sub se pehle apni usb ko completely format kar dein aur uss ke baad neeche diye ge steps ko follow kare.

    1. Usb ko format kar lein aur mini tool partition ka software apne computer mein install kar lein.

    2. Mini tool partition ko apne computer mein run kare ge to aap ko apni usb nazar aye gi aap ne uss pe right click kar ke move/resize ke button pe click kar dena hai.


    3. Ab apko left side pe aik arrow nazar aye ga aap ne uss arrow ko drag kar ke 1gb ka partition bana dena hai aur ok kar dena hai.



    4. Ok karne ke baad aap ko kuch options show hoo ge yaha pe aap ne partition label mein persistence type karna hai, category primary rakhni hai aur file system ko ext4 kar ke ok kar dena hai jese keh aap screenshot mein dekh sakte hein.


    5. Ab ok karne ke baad mini tool partition ke left corner mein apply changes ke option pe click kar dein jis se aap ki usb ka aik new partition create ho jaye ga.




    How To Make Bootable USB For Kali Linux:

    Usb ka partition banane ke baad step aata hai usb ko simply bootable banane ka to iss ke liye pehle universal usb installer software download kare aur usb pe kali linux ko bootable bana le aur agar aap ko nahi pata keh kali linux ke liye bootable usb kese banante hein to aap meri Windows/Linux Ke Liye Bootable Usb Kese Banaye wali post read kar ke kali linux ke liye bootable usb banna sakte hein.






    How To Add Persistence In Bootable USB:

    Ab hum seekhe ge keh usb mein persistence ko kese add kare ge keh hamara data and setting save rahe. Dosto me ye assume kar ke chalta hoo keh aap ne usb ka partition bhi create kar liya hai aur simple way usb pe kali linux ko bootable bhi bana liya hai. So ab persistence add karne ke liye neeche diye huwe steps follow kare.
    1. Sub se pehle usb ko apne pc se plug kare aur f9 ya f12 se boot options mein jaye aur usb ka boot select kar lein.

    2. Ab kali linux ke kuch options show hoo ge jis mein se aap ne Live Usb Persistence ka option select karna hai.


    3. Ab kali linux boot hona shuru ho jaye gi jis mein maximum 3 minutes ka time lug sakta hai.

    4. Jub kali linux completely boot ho jaye to aap ne desktop pe right click kar ke open terminal pe click karna hai jis se aik terminal command open ho jaye gi.

    5. Sub se pehle terminal mein ye command enter kare.



    6. Ab aap ke saamne kuch partitions ke naam show hoo ge jin mein se aap ne screenshot mein highlight kia gaya naam yaad rakh lena hai. Mere paas ye name dev/sdc2 hai aap ke paas different bhi ho sakta hai.


    7. Ab terminal mein ye command type kare.



    8. Iss ke baad partition ko mount karne ke liye ye command type kare aur dev/sdc2 ki jagha wo naam daale jo step6 mein aap ke paas show hua tha.


    9. Ab hum ne configuration file add karni hai uss ke liye ye command type kare.


    10. Ab last step mein hum ne partition ko unmount karna hai aur restart kar dena hai so ye command type kare aur /dev/sdc2 ki jagha apni usb ka label type kare jo step 6 mein tha.





    uper wali command enter karne ke baad apka pc restart ho jaye ga aur apki usb persistence bootable bun jaye gi ab jub bhi aap usb ko boot kare to boot screen pe live usb persistence waale option se hi usb ko boot kare.




    Final Words:

    Mujhy umeed hai keh aap ko iss post ki samjh aa gai ho gi. Agar aap ka koi sawal hai to aap comment mein pooch sakte hein. Hamari post ko facebook twitter pe zaror share kare. Issi ke sath mujhy de ijazat Allah Hafiz.

    No comments:

    Post a Comment

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media