• Learnwithrazzak

    5 Mar 2017

    Incognito Browsing Kya Hai Kese Surf Kare Aur Kese Hackers Se Safe Hai

    Introduction:

    Hello friends welcome back aaj bohat dino baad post likh raha hoo jis ki waja mera apne personal kaamo mein busy hona tha. Mujhay kuch dosto ne facebook pe messages bhi kiye keh new posts write karo lekin mein time nahi nikal paya. Lekin ab mein rozana aap sub ke liye koi na koi new post zaror likhta raho ga. So me apne tamam friends aur site ke users se aik baar sorry kehna chahta hoo. To chalye aaj ki aik post se start karte hein. Aaj hum baat kare ge keh browsers mein hume aik option dekhne ko milta hai jo keh incognito mode ya incognito browsing ke naam se hota hai. Aaj hum jaane ge keh ye kya hai aur hum iss ki madad se apne accounts hackers se kese mehfooz rakhe.




    What Is Incognito Browsing/Mode And Why It Is Safe:

    Incognito mode aik aisa mode hai jis mein hum kuch bhi internet istmaal karte hein to uss ki history hamare browser mein save nahi rehti hai. For example hum internet pe in incognito mode mein koi cheez dekhte hein ya koi account log in karte hein jese keh facebook etc to uss ki history and cookies hamare browser mein save nahi hoti. Agar aap ko cookies ka nahi pata to iss ke uper mein pehle hi aik post likh chuka hoo jis mein me ne bataya tha keh Cookies Stealing Kya Hai Aur Iss Se Hackers Account Kese Hack Karte Hein


    Chalye me aik example se samjhata hoo keh incognito mode hamare liye kese safe hai. Maan ke chalye aap kisi internet cafe pe jaate hein waha computer pe apna email aur password de ke log in karte hein. Ab aap kuch ghante ke liye internet use karte rehte hein aur jub aap ka time complete ho jata hai to aap apna account log out kar ke waha se chale jaate hein. Aap ke jaane ke baad jub aap dobara apne ghar ya kisi doosri jagha apna wohi account log in karte hein to aap ko pata chalta hai keh ap ka password change kia ja chuka hai aur aap ko pata bhi nahi hota keh aap ka account kese hack hua.




    Dosto aap ke account ka saved password internet cafe waale hi uss browser mein se nikal lete hein jis mein aap ne account log in kia tha. Aise mein agar hum ne internet cafe mein incognito mode ko on kar ke apna account login kia hota to iss ki history browser mein save na hoti aur aap ka account hack na hota. So kabhi bhi internet cafe pe apna koi account login na kare aur agar aisa karna zarori ho to incognito browsing ko on kar lein. Ab aap soch rahe hoo ge keh iss ko kese on karna hai to ghabraye mut kyo keh me issi post mein batane ja raha hoo keh ye kese karte hein.





    How To Enable Incognito Mode In Browser:

    Dosto incognito mode ya incognito browsing ka option aap ko aj kul hur popular browser mein dekhne ko milta hai chahe wo browser mobile ka ho ya phir computer ka. Me yaha pe aap ko google chrome mein incognito mode mein browsing karne ka method bata raha hoo. 


    1. Sub Se pehle google chrome ko open kare aur menu button ko press kare.



    2. Menu button pe click karne ke baad new incognito window pe click kare.


    3. Ab aap ke saamne aik incognito window open ho jaye gi jo kuch iss tarah nazar aye gi.


    4. Ab aap iss window mein internet use kare ge to browser iss ki koi history save nahi rakhe ga yani ab aap kisi hud tuk safe hein.




    Incognito Mode In Other Browsers:

    Ab aisa bhi to ho sakta hai keh jis internet cafe ya kisi unknown computer pe aap internet use karna chahte hein uss mein google chrome browser na ho. To dosto firefox mein ye option private windows ke naam se hota hai. Agar aap firefox mein menu button pe click karte hein to aap ko new private window ka option nazar aye ga jaha se aap bilkul same thing kar sakte hein.



    Mobile phone ke Uc browser ya uc mini browser mein incognito mode ya incognito browsing ka option aap ko setting mein nazar aye ga. Mobile ke chrome browser mein same uper waale method ke mutabiq aap incognito mode on kar ke browsing kar sakte hein.



    Are We Completely Safe In Incognito Mode:

    Dosto jaha pe incognito mode hume itni saholat deta hai waha kya waqai hum incognito browsing ko enable kar ke hackers se safe reh sakte hein. Dosto aisa bilkul bhi nahi hai. Ye baat bilkul thek hai keh kisi hud tuk iss ko istmaal karne se hum safe reh sakte hein lekin completely safe nahi reh sakte. Hackers ya attackers hum se aik step aage ki hi sochte hein. To chalye me aap ko btata hoo keh incognito mode ke on hone ke baad bhi hamara account kese hack kar liya jata hai.






    Keyloggers:

    Dosto aisa bhi to ho sakta hai keh jis computer pe hum incognito mode ko enable kar ke internet surf karna chahte hein uss mein koi keylogger install kia gaya ho jo aap ki information ko steal kar raha ho. Ab aap soch rahe hoo ge keh keylogger kya hai to iss pe me already aik post likh chuka hoo keh keylogger hamare pc ko kis tarah se hack karte hein. Dosto keylogger aik virus hota hai jis ko agar apne computer mein run kar liya jaye to jub bhi hum keyboard se koi button press karte hein to wo uski information uss admi ko bhejta rehta hai jis ne wo virus banaya hai. So agar uss computer mein pehle se koi keylogger installed hai to waha hamari incognito browsing kisi kaam ki nahi hai.


    IP Address:

    Hamara internet pe aik ip address zaror hota hai. Agar aap ko ip address ka nahi pata to aap meri Ip Address Kya Hai Aur Ip Address Ki Location Kese Find Kare wali post zaror read kare. Dosto hum jub bhi koi website open karte hein to wo hamare ip address ko read kar ke hi open hoti hai. Aise mein agar koi aisa banda jo keh aik black hat hacker hai uss ki website hum open karte hein to hamara ip address wo pata kar ke hamara account ya computer hack kar sakta hai. So aise mein agar hum incognito mode ko on kar bhi le to hamare kuch kaam na aye ga.

    Extensions And Add-On:

    Friends agar browser mein koi aisa extension ya add-on install kia gaya ho to wo browser ko kuch aisi script provide karta hai jo incognito mode mein bhi history ko save rakhe. Yani extension ya add-on hamare browser ko iss baat pe majboor karte hein keh browser incognito mode mein bhi hamari internet history aur passwords ko save kar leta hai. So agar aap incognito mode mein browsing karna chahte hein to sub se pehle sub extensions ya add-ons ko disable kar lein.


    Spy Cameras:

    Aisa bhi hota hai keh internet cafe mein jis room mein aap apna account log in kar rahe hein to waha koi khufya camera lagaya gaya ho. Aise mein agar aap ne chahe to incognito mode ko on kia hai ya koi bhi security lagai hai to aap ka account hack ho jaye ga because aap ko physically spy kia ja rha hai.




    Final Words:

    Mujhy umeed hai keh aap sub friends ko samjh me aa gaya ho ga keh incognito browsing kya hai, iss se internet kese surf kare, hackers se kese safe rahe aur kya limits hein keh incognito mode mein bhi hamara computer hack ho jaye. Agar aap ka koi sawal hai to aap comment mein pooch sakte hein. Me poori koshish karo ga keh aap ke hur question ka answer doo. Issi ke sath ab mujhay de ijazat Allah Hafiz.

    No comments:

    Post a Comment

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media