This post has been written only for educational purpose. I am not responsible for any illegal activity. The main purpose of this post is to inform users that their security at risk.
Introduction:
Assalam.o.Alaikum friends kese ho sub umeed hai keh sub Allah ke karam se theek hoo ge. Dosto kya kabhi aap ne socha hai keh applocker ya iss jesi koi bhi application jo aap apni apps ko ya messages wgera ko lock karne ke liye use karte hein kya wo waqai apke liye safe hein. Mera matlb hai kya waqai applocker se ap ne jo jo apps lock ki hui hein kya unko koi open nahi kar sakta. Dosto aaj me issi ke about baat karne ja raha hoo keh kya ye applocker hamare liye safe hai ya nahi aur agar nahi to kese nahi. Iss ke ilawa applocker se lagaya gaya lock kese open kia ja sakta hai.
What Is App Locker Application And How It Works:
Sub se pehle baat karte hein app locker application kya hai aur kese kaam karti hai. Dosto mere khiyal mein aap sub ne app locker application zaror use ki ho gi aur iss ke baare mein apko pata bhi ho gi keh ye kis kaam ke liye istamaal hoti hai lekin shayed phir bhi kuch aise user ho sakte hein jin ko iss ke baare mein pata na ho. Dosto ye aik aisi application hai jo hamare android phone mein baqi saari apps ko lock lagane ke liye istmaal hoti hai.
For example apke phone mein koi game jese keh subway surfers install hai aur aap chahte hein keh ye game aap ke ilawa apke phone se aur koi bhi admi na open kar sake ya. To iss ke liye app locker application ko use kia jata hai. Ye application kya kare gi keh apki uss subway surfers game ko apki marzi ka pattern lock laga de gi jo keh sirf apko pata ho ga aur kisi ko bhi nahi. So apke ilawa apki game ko koi open nahi kar sake ga. Games ke ilawa bhi ap apne phone mein applocker app se kisi bhi chez ko lock kar sakte ho jese keh messages etc.
- Google Play Store Problems And Errors Ko Kese Fix Kare Easily
- Google Adsense Se Pakistan Mein Payment Kese Payout Kare
Dosto aise mein app locker ke ilawa bhi aisi bohat si applications hein jo baqi apps ko lock lagane ke liye istmaal hoti hein lekin ye sub ki sub aik hi asool pe kaam karti hein.
How Can Be Break App locker Lock:
Dosto app locker jesi applications ka lock break karne ke 2 methods hein jo keh me dono hi aap logo se iss post mein share karo ga. Aap mein se kuch friends ko pehla method to shayed aata ho ga lekin doosra method shayed hi kisi ko aata ho.
1st Method:
dosto ye method bohat simple method hai lekin problem ye hai keh kabhi ye kaam karta hai aur kabhi nahi. Iss ki waja me iss method ke end pe batao ga keh kabhi kabhi ye kaam q nahi karta hai.
1. Sub se pehle phone ki setting mein jaye.
2. Setting mein aane ke baad apps pe ya application manager pe click kare.
3. Application manager open karne ke baad yaha pe wo app locker wali application ko find kare.
5. Bus g ab iss phone mein jis jis application pe lock laga tha wo automatically open ho chuka ho ga.
Chalye ab me apko batata hoo keh ye method kub work nahi karta hai. Dosto zara sochye agar jis phone se aap app locker ko uninstall kar rahe hein to agar uss phone mein setting ko bhi lock laga ho to aap kese uss app locker ko unistall karo ge. Because koi bhi application uninstall karne ke liye hum ko setting mein jana parta hai. To aise mein hum use kare ge doosra method jis mein agar setting ko bhi lock laga ho ga to hum easily iss ko open kar sake ge.
- Tor Browser Kya Hai, Hackers Iss Ko Q Use Karte Aur Iss Ka Kya Faida Hai
- Bitcoin Currency Kya Hai Kese Kaam Karti Aur Iss Se Pese Kese Kamaye
Doosra method batane se pehle me apko safe mode ke baare mein batana chaho ga keh ye kya hota hai. Safe mode ke baare mein batana iss liye zarori hai because hum 2nd method mein safe mode ka istmaal kare ge.
What Is Safe Mode (Safe Mode Kya Hai)
Kisi bhi operating system mein safe mode aik aisa mode hai jo uss operating system mein aik limited access ke sath open hota hai aur operating system mein cheezo ko troubleshoot karne ke liye istamaal hota hai yani agar operating system mein agar koi problem aa gai hai to usko thek karne ke liye safe mode ka istamaal kia jata hai.
Agar hum android phone ko safe mode mein on kare to iss mein hum iss ki built in apps ke ilawa kisi doosri application ko use nahi kar sake ge yani jo apps company se by default hamare phone mein hoti hein sirf wohi use hoo gi doosri nahi. Iss ke ilawa wo apps hamare phone mein work bhi nahi kar rahi hoo gi.
How To Boot Android In Safe Mode (Android Phone Ko Safe Mode Mein Kese On Kare):
Dosto android mobile ko safe mode mein on karne ke kafi method hein lekin mein aap logo ko sub se simple and easy method batao ga jo hur android phone pe work kare ga.
Android phone ko safe mode mein on karne ke liye sub se pehle power button ko click kiye rakhe jis se apko kuch options show hoo ge jese keh power off reboot aur airplane mode etc. Aap ne power off button ko hold press karna hai yani uss pe click kiye rakhna hai to apko safe mode mein mobile phone on karne ka kaha jaye ga to aap ne ok kar dena hai. Ab apka phone restart ho ga aur safe mode mein on hona shuru ho jaye ga jis mein aik se 3 minutes lug sakte hein.
2nd method:
Friends 2nd method bhi pehle method se milta julta hi hai lekin iss mein thori si difference hai aur wo difference hai safe mode. Aap ne sub se pehle apne phone ko safe mode mein on karna hai jis ka mehtod me uper bata chuka hoo. Safe mode mein on karne ke baad aap ne 1st method ko follow karna hai. 1st method waale all steps aap ne 2nd method mein apply karne hein.
Iss mein agar setting bhi locked ho to koi baat nahi because hum jub apne phone ko safe mode mein on kare ge to setting pe hum ko koi lock show nahi ho ga aur hum easily setting ko access kar sake ge. Iss ke baad setting mein ja kar app locker wali application ko uninstall kar de ge aur again apne phone ko simple restart kar le ge aur all apps ke lock open ho jaye ge.
App Locker Apps Not Safe For Us:
Dosto iss post ko likhne ka main muqsad yehi hai keh aap ko pata chul jaye keh app locker apps hamare liye completely safe nahi hein. Aap iss method ko istamaal kar ke koi illegal activity na kare aur agar aap aisa kare ge to iss ke liye meri koi zimadari nahi hai.
Ab ye to baat rahi keh hum kese apps ke locks ko break kar sakte hein. To sawal ye paida hota hai keh kya koi aisa method hai keh jis se hum apni apps ko iss tarah lock kare keh koi bhi uss lock ko open na kar sake. G dosto aisa aik method hai jis se aap apni apps ko iss tarah lock kar sakte hein jis ke baad koi bhi un apps ko open nahi kar sake ga. Ye method me apni next post mein share karo ga.
Final Words:
I hope keh apko pata chul gaya ho ga keh app locker se lage huwe lock ko kis tarah se break kia ja sakta hai. Agar aap ko ye post pasand aayi to facebook twitter pe lazmi share kare. Aur agar aap ka koi sawal hai to aap comment box mein comment kar ke pooch sakte hein. Issi ke sath ab mujhy de ijazat Allah Hafiz.
bro...Aap Kali_Linux se Hacking Related post karo na
ReplyDeletebhai agar me aisa karo ga to google meri site block kar de ga anyway apnefacebook page pe me ye tutuorials start karo ga
Delete