• Learnwithrazzak

    17 Dec 2016

    Kali Linux Kya,Kese Install Kare Windows Aur Linux Mein Faraq Kya Hai

    Introduction:

    Assalam.o.Alaikum friends aaj hum baat kare ge keh kali linux kya hai,ye kis muqsad ke liye istmaal kia ja sakta hai,backtrack kya hai,kali linux backtrack se kyo better hai,Windows aur linux mein se kya cheez better hai,Me konsa opreating system use karta hoo aur kali linux ko kese install kia jata hai.Kali linux ko install karne ke 2 methods hote hein.Aik method hota hai virtualbox mein install karna aur aik method hota hai dual boot installation yani windows ki tarah directly hard disk mein install karna.Filhal aaj hum sirf iss ko virtual box mein install karna hi seekhe ge.






    What Is Kali Linux:

    Mujhay pata hai keh iss site ke aksar users ko kali linux ka pata hai keh ye kya hai lekin iss ke bawjood kuch users aise bhi hein jo nahi jaante to me sub ko recommend karo ga keh post read kare.Jis tarah windows aik opreating system hai issi tarah kali linux bhi aik opreating system hi hai lekin ye windows se bilkul different hai.Windows ko beginners use karte hein aur linux ko advance log use karte hein.Wese ye baat nahi hai keh linux ko beginners use nahi kar sakte baat ye hai keh agar kisi beginners ne linux ko install kar lia hai to uske liye zarori hai keh usko linux ko manage karna bhi aata ho.





    Windows Vs Linux Which Is Better:

    Kali linux darasal zayada tur hackers hi use karte hein chahe to kisi ne hacking start ki hai aur chahe to koi hacking mein advance ho chuka hai.Wese windows aur linux mein difference karna aik bewqofi hai kyo keh linux aur windows aik doosre se bilkul hi mukhtlif hein.Kuch logo ka manana hai keh linux windows se behtar hai aur mostly logo ka kehna hai windows linux se achi hai.So aaj me aap logo ka ye doubt bhi clear kar deta hoo keh kya better hai aur kis hud tuk better hai.





    Ab mostly log hacker to banna chahte hein lekin aik professional hacker banne ke liye hum ko kuch courses etc karna parte hein aur languages bhi seekhna parti hai jin mein java c++ html etc shamil hein lekin agar aap aik chote mote hacker banana chahte hein jo keh kuch simmple websites,wifi and kisi hud tuk facebook etc jese account ko hack kar sakta hai to iss ke liye kisi course ki koi zarorat nahi hai.Ab asal baat ki taraf aate hein.Aap sub log to jaante hein keh dunya mein hackers kum hein aur simple users bohat zayada hein.Ab jo log hackers hein un ka manana hai keh linux opreating system windows opreating system se better hai but simple users linux ko samjh nahi paate aur samjhte hein keh windows linux se behtreen hai.



    Windows mein to hum ko graphics bohat hi shandar dekhne ko milte hein mera matlb hai keh jo software bhi hum use karte hein wo images ki shakal mein hota hai lekin linux mein aksar aise hi software and tools hote hein jo command mein open hote hein aur commands de kar hi unko use karna hota hai.Linux mein 100 mein se 5 software hi aise hote hoo ge jin mein hum GUI yani graphics dekhne ko mile.





    Linux users ko graphics se koi matlb nahi hota hai unko to bus ye chahye keh unka kaam ho jaye chahe wo commands se ho raha hai ya graphics interface se.Maan le apke pas windows aur linux dono installed hein aur aap wifi hack karna chahte hein lekin aap wo kaam windows mein limits tuk kar sakte hein aur linux mein koi limits nahi hein.Baat kehne ka matlb ye hai keh windows mein wifi hack karne ke liye koi 1 se 2 tools hi hoo ge lekin linux mein aise bohat se tools hein.




    Computer softwares and android official apps banane mein linux ka bohat zayada istmaal hota hai aur linux ke bghair ye impossible hai.Websites,forums,wifi,accounts etc ki security test karne ke liye sirf aur sirf linux ko hi use kia jata hai.Ab ye linux koi bhi ho sakti hai zarori nahi hai keh wo kali linux hi ho wo linux mint bhi ho sakti hai backtrack bhi ho sakti hai puppy linux bhi ho sakti hai lekin sub se best,achi aur zayada istmaal ki jane wali kali linux hi hai.



    Which One I Am Using:

    Me ne aap sub ko windows aur linux ko bohat hi simple words mein samjhaya hai because iss site ke aksar users ko abhi tuk itna pata nahi hai keh wo advance words ko samjh sake lekin jub aap log linux use karne lago ge to sath sath me advance cheeze bhi batata jao ga.Ab agar uper sub kuch read kar chuke hein to aap ke mind mein ye question zaror aaye ga keh me kya use kar raha hoo windows ya phir linux.



    Wese internet pe koi bhi ye nahi bataye ga lekin me apni site ke users ko iss sawal ka jawab dena theek samjhta hoo.Me windows aur linux dono opreating systems ko hi use karta hoo.Iss ki waja ye hai keh me abhi linux mein itna advance nahi hua hoo keh windows ko completly chor doo.Iss ke ilawa aur bohat se reasons hein.




    Agar mujhay video editing karna ho to mujhy windows ko use karna parta hai.Wese to linux mein bhi video editing ki ja sakti hai lekin me abhi itna advance nahi hoo.Ab doosri taraf agar mujhy kuch security testing karna ho to mujhy linux ka istmaal karna parta hai kyo keh windows mein hum aisa nahi kar sakte.



    Finally mere liye ye dono hi bohat important hein aur mujhy lagta hai keh mujhy hamesha in dono ko hi use karna pare ga.Me apko recommend karo ga keh agar aap bhi linux mein enter hota chahte hein to windows ko ignore mut kare.




    Why Kali Linux Better Than Backtrack:

    Backtrack bhi aik linux hi hai jis ko pehle pehle launch kia gaya tha lekin mujhay iss baat ka nahi pata keh kis year mein iss ko release kia gaya.Iss ka pehle wala version itna acha na hone ki waja se iss ko March 2013 mein dobara debian base pe build kar ke release kia gaya aur uss waqt iss ne bohat zayada popularity hasil ki lekin iss mein bohat zayada tools aise the jo limited the issi lye white hat hackers ko use karne mein kafi problems paish aayi aur iss liye March13 2013 ko kali linux ka pehla version release kia gaya.Ye version backtrack se to behtar tha lekin iss mein bh white hat hackers ko kafi problems ka samna karna para aur phir kali linux sana version release hua.




    Iss ke baad security testing ko aur zayada advance banane ke liye 2016 mein kali linux rolling ke 2 version release huwe jin mein se ab kali linux rollimng 2.0 ko ab use kia jata hai.Filhal ye version white hat hackers ke liye behtreen sabit hua hai  aur baqi log bhi iss ko hi use karte hein.




    How TO Install Kali Linux In Virtual Box:

    Ab me apko kali linux ko virtualbox mein install karne ka method share karne ja raha hoo.Agar aap ko virtualbox ka nahi pata to aap meri Virtual Box Se Aik Windows Mein Jitni Marzi Windows Run Kare wali post zaror read kare jaha me ne iss ka download link bhi diya hua hai.


    Iss ko install karne ke liye apko kali linux ki iso file download karna pare gi jis ka download link neeche hai.



    Download


    Uper diye hue download link mein kali linux ke all versions ki iso files hein aap sub se latest wali download kare jis ka size taqreban 3 gb ho ga aur version 2016.2 hoga.Agar apka system 32bit hai to 32 bit wali download kare aur agar 64 bit hai to 64 bit wali.Diye huwe link se aap file ko toorent mein bhi download kar sakte hein.



    Iss ko install karne ke liye apko virtual box software ki zarorat ho gi jis ka download link ye hai.



    Download


    Me ne already kali linux ko apne pc mein install kia hua hai aur iss mein meri kafi setting saved hein.Agar me ab again iss ko install karo ga to meri saari settings clear ho jaye gi iss liye me apko aik video de raha hoo jis ko dekh kar aap virtual box mein kali linux ko install kar sakte hein.Video dekhne ke liye neeche diye huwe link ko click kare.


    Click Here To Watch Video




    Final Words:

    Agar video dekhne ke baad apko kisi step ki samjh nahi aayi ya phir kali linux install karne mein problem hai to aap yaha comment kar ke pooch sakte hein.Iss ke ilawa agar apka linux ke about koi question hai to wo bhi pooch lein.Issi ke sath hi ab mujhay dijye ijazat Khuda Hafiz.

    17 comments:

    1. Replies
      1. Pasand karne ka shukria post ko facebook pe zaror share kare

        Delete
    2. dear menay apnay mobile par ik costum rom install kiya hay but is rom mayn mera mobile computer say connect nahi hota.....

      ik bar connect ho jata hay phir 2 second baad disconnect hojata hay...

      agr apko koi application ka pata ho to plz share kryn jo full working ho menay do teen apps use ki hayn but koi bi work nahi karti.....

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai aap jo rom iss waqt use kar rahe ho uska android version kya hai

        Delete
    3. Replies
      1. bhai ye application try kro agar work na kare to apko kernal change karna pare ga agar apko kernal ka nahi pata to me iss ke about bohat juld post likho ga

        Download

        Delete
    4. thanks dear mayn check kar kay batata hon

      ReplyDelete
    5. Mere pc me virtual box exe install package unsupport atahe
      Virtualbox Install nahi hota
      Or VMware bhi install package unsupport atahe , install nahi hota kya karu ,Kali Linux kaise chalu karu please help....

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai apka computer konsa hai 32 bit ya 64 bit aur specifications kya hein

        Delete
    6. Mai jab virtual box par kali linux setup karta hu tab sav thik se hora hai ..lekin jab kali linux ki first page pe install press karta hu tab oh nehi install hota hai ...kuch esa bolta hai"86x..."

      ReplyDelete
      Replies
      1. apko jo error setup show ho raha hai uska screenshot do

        Delete
    7. Bro apse bohat zaruri bat karni it's most importent.
      Shayed apkay bhi feday ki ho.
      Ager apko lagay.
      Mere sath fb pr rabta kare wahan khul kr bat karunga.
      Fb.me/risky.prince.1

      ReplyDelete
    8. Bhai deb file Kaise install hogi iske bare main thora bta den

      ReplyDelete
      Replies
      1. deb file install karne ke liye terminal mein dpkg -i command type karne ke baad deb wali file ko utha ke terminal mein daal do aur enter ka button press kar do.

        Delete
    9. Borther kOi asa app btw jis sy Phone number ters kr skyn or oski Locatin B pata chal jay

      ReplyDelete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media