• Learnwithrazzak

    4 Dec 2016

    Android Phone Mein Hd Games Kese Run Kare Easily

    Introduction:

    Kya aap ne iss se pehle kabhi Android Hd Games ka naam suna hai.Agar nahi to aaj iss post mein me Android Hd Games ke baare mein hi baat karne ja raha hoo keh ye kya hein aur in ko kese install kia jua sakta hai.Jese jese android and iphones progress kar rahe hein wese wese developers rozana new games banate rehte hein.Hur kisi ke paas computer na hone ki waja se mobile phones ke liye bohat high quality games create ki jati hein jin se user aik pc game jesi game android device pe bhi run kar sakte hein.For example Gta Vice City ya Assasian Creed jesi games ko mobile pe run karna.








    What Are Android Hd Games:

    Jese keh sub jaante hein keh HD ka matlb high definition hai.Issi tarah Android mein chalne wali high definition games ko Android Hd Games kaha jata hai.Android aik huge gaming platform hai jis mein low graphics se High definition tuk games play ki jati hein.Android Hd Games users ko amazing gaming experience provide karti hein kyo keh in mein se aksar games hd hoti hein.




    Jub internet se Hd Games download ki jati hein to in ka size bohat zayada hota hai jese keh 700 mb,1gb,2gb etc.Ab itne big size ki apk file to hamare phone mein install hona impossible hai because agar itne big size ki apk file phone mc.ec.in install ki jaye to phone itna zayada slow ho jata hai keh hum koi bhi cheez bhi open nahi kar sakte.Yehi waja hai keh ye kuch games data/cache ke sath aur kuch aik obb file ke sath hoti hein.




    Android Hd Games ko run karne ke liye 2 files hoti hein jin mein se aik apk file aur doosri data file ya obb file hoti hai.Data ya obb file game mein games ke all graphics hote hein jin se game run hoti hai.Hd games ko install karna bohat hi easy hai aur iss kaam ke liye apko phone root karne ki bhi koi zarorat nahi hoti hai.




    How To Download Games With Cache:

    1.Android hd games kisi bhi App store pe na hone ki waja se apko inhe internet pe kisi doosri website se download karna pare ga jaha se aap ko apk file aur game cache ya obb file mile gi.Iss liye phone mein koi bhi browser open kare

    2.Ab jo game aap install karna chahte hein uss ka naam google mein likh kar aage apk download type kar dein aur search kare jese me vice city ko install karna chahta hoo to me aise likho ga.Gta vice city apk download


    3.Ab apke saamne kafi results show hoo ge jo different websites ke hoo ge lekin top pe play.mob.org ka result hi show ho ga because ye website hd games ke liye bohat popular hai.Aap play.mob.org waale result pe hi click kare



    4.Jub play.mob.org site open ho jaye o neeche apko pehle apk file aur phir game cache download karne ka kaha jaye ga.Aap apk file ka jo version download kare wohi version cache file ka bhi download kare jese me yaha 1.07 version download kar raha hoo










    How To Install Games With OBB:

    Dono files download karne ke baad aik apk file ho gi aur doosri zip ya rar file ho gi.Iss zip ya rar file ko extract karne ke baad apko ya to iss mein se obb file mile gi ya phir jo game ka data folder.In dono ka method thora different hai me dono hi apko bta raha hai so pehle obb ka method dekhe.


    1.Sub se pehle game ki apk file ko install kare

    2.Install karne ke baad doosri zip ya rar file ko extract kare

    3.Extract karne par apko aik obb file mile gi uss ko copy select kar lein


    4.Ab Android Folder mein ja kar obb folder ko open kare aur yaha wo obb file paste kar dein



    5.Bus ab jo apk file install ki thi uss ko run kare aur apki game chul jaye gi




    How To Install Games With Cache Or Data:

    Jese keh mein uper hi bata chuka hoo keh game ki zip ya rar file ko extract karne par apko ya to obb file mile gi ya phir uss game ka aik folder jis mein bohat saari file mojood hoti hein.Obb ka method me already bata chuka hoo aur ab baari aati hai game ke folder ki.



    Darasal iss ka procedure bhi same uper waale procedure ki tarah hi hai lekin thora sa different hai.Uper waale method mein step number 3 mein extract karne par apko obb file mile gi lekin iss method mein game ka data folder mile ga.Step4 mein hum ne android folder mein ja ke obb folder mein file paste ki thi lekin ab android folder mein ja ke data folder mein game ka data folder paste kar dein.Bus yehi difference hai iss ke baad aap game run kar ke enjoy kar sakte hein.




    Final Words:

    Android Hd Games ko install aur run karne ka method me ne details se bata diya hai lekin agar ab bhi apko android hd games run karne ya install karne mein kisi type ki koi problem aa rahi hai to aap comment kar ke pooch sakte hein.Post ko apne friedns ke sath social media pe zaror share kare aur comment mein apna feedback bhi de.Issi ke sath ab mujhay de ijazat Khuda Hafiz.

    9 comments:

    1. dear mujhay aesi site ka link do jis mayn hd games to hon with multiplayer bi ho aur offline play hon

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai games mein multiplayer ka option to game developer rakhte hein agar developer ne option na rakha ho to game jis site se mrzi download kro same result mile ga aur hd games offline hi hoti hein kuch hi aisi hoti hein jo pehli bar internet connection maangti hein aur baad me ni

        Delete
    2. Dear menay ik hd game download ki par jab mayn usay chalata hon to agay say login hota hon to game close ho jati hay aur likha ata hay "unfortunatly has been stop" pata nahi ye error kyon ata hay menay ye error bohat si apps mayn dekha hay but is ka koi solution nahi pata


      Agar apko kuch pata ho to please tell us

      ReplyDelete
      Replies
      1. ye error se sirf mobile mein custom rom flash krne se solve ho sakta hai

        Delete
    3. koi baat nahi bhai aap backlink de sakte ho lekin agar aap full copy paste kro ge to apko koi faida nahi ho ga aap tutorial dekh ke apne words mein usko likha karo

      ReplyDelete
    4. Hd Games Par Achi Post Likhi Hai

      ReplyDelete
    5. Hd Games Par Achi Post Likhi Hai

      ReplyDelete
    6. ab ye file avaible nahe hai is site me me kia kru ab??

      ReplyDelete
    7. bhai bahut acchi or usefull information hai...

      ReplyDelete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media