• Learnwithrazzak

    21 Jan 2017

    Bitcoin Currency Kya Hai,Kese Kaam Karti Aur Iss Se Pese Kese Kamaye

    Introduction:

    Sub se pehle to me site ke all users ko sorry kehna chaho ga keh kafi din se koi post nahi kar saka jis ki waja mera study mein busy rehna hai.So aaj hum baat kare ge keh bitcoin kya hai,kese kaam karta hai aur iss se online pese kese kamaye ja sakte hein.Agar aap in sub baato ke baare mein details se janana chahte hein to ap iss post ko poora read kare taa keh apko kisi type ka koi doubt na rahe.



    What Is Bitcoin:

    Bitcoin aik digital currency hai jis ko na to hum dekh sakte hein aur na hi touch kar sakte hein. Mera matlb hai ye aik aisi currency hai jo sirf aur sirf online kaam karti hai. Ye currency printed nahi hoti hai yani jese keh hum rupees ke liye notes ka istmaal karte hein to wo printed hote hein lekin iss mein aisa nahi hai. Iss currency ko poori dunya mein istmaal kia jata hai.


    Jese keh aap sub log jaante hein keh simple currency jese keh rupees ya dollars wgera pe government ka control hota hai lekin bitcoin pe kisi type ka koi control nahi hai. Ye currency logo ne khud banai hai. Dunya mein ye bohat tezi se progress kar rahi hai. Pehle pehle kuch log aise the jo iss currency ko accept nahi karte the lekin ab hur internet user iss ke baare mein janta hai aur iss pe believe rakhta hai.





    What Is The Price Of Bitcoin:

    Dosto apke mind mein ye question zaror ho ga keh agar aik bitcoin hamare paas hai to uski price dollars mein ya rupees mein kya ho gi. Iss sawal ka koi exact jawab dena bohat mushkil hai. Iss ki waja ye hai keh government ke iss pe koi control na hone ki waja se iss ki price rozana up and down hoti rehti hai. Jese keh agar aaj aik dollars ke pakistani 102 rupees bante hein to kul shayed 105 ho jaye ya 100 ho jaye. Bilkul issi tarah bitcoin ki price bhi rozana change hoti rehti hai. 



    Dosto aik bitcoin ki qeemat ko agar rupees mein convert kia jaye to iss ki price bohat hi zayada ho gi. Aaj January 21, 2017 ko aik bitcoin ki price 916.35 $ hai. Aap sub jaante hein keh 916.35 $ aik bohat huge amount hai. Ab agar in ko rupees mein convert kia jaye to ye aaj ki date mein Pakistani 96079 rupees bante hein. Iss ka matlb ye howa keh aaj aik bitcoin ki price Pakistani 96000+ rupees hai. Ab koi nahi janta keh kul ye price kum ho gi ya zayada lekin change zaror ho gi.





    Who Created Bitcoins And When:

    Aik software developer jis ka naam Satoshi Nakamoto tha uss ne iss currency ko 2008 mein banay tha aur 2009 mein iss ko publicly release kar diya gaya. 



    Dosto hum sub jante hein keh 1 rupay mein 100 paise hote hein. Bilkul issi tarah 1 bitcoin mein 100000000 satoshi hote hein. Bitcoin ke developer ne in ka naam apne naam se milta julta rakha hai. 




    Where Bitcoin Can Be Used:

    Jese keh me ne apko batay hai keh ye aik aisi currency hai jis ko na to hum touch kar sakte hein aur na hi dekh sakte hein to ab sawal ye paida hota hai keh aakhir iss ko kaha use kia ja sakta hai. Bitcoin ko online cheeze buy karne ke liye use kia ja sakta hai. Jese keh hum online shopping karne ke liye apne credit card se kuch amount uss website ko dete hein jis se hum koi thing buy kar rhe hoo. Bilkul issi tarah iss currency ko online kisi ko de kar hum things buy kar sakte hein. 



    Log iss currency ko iss lye bohat pasand karte hein keh iss pe kisi ka koi control nahi hai. Ab agar bank mein hamari local currency pari hui hai jo keh hamare rupees hote hein to uss pe bank ka full control hai yani wo hamare rupees ke sath kuch bhi kar sakte hein lekin bitcoin pe kisi ka koi control nahi hai aur yehi waja hai keh ye huge amount ke sath low and up hoti rehti hai.





    How To Earn Money With Bitcoin:

    So ab baat karte hein keh bitcoin se pese kese kamaye ja sakte hein. Dosto bitcoin se pese kamane ke kafi method hein. Aaj mein apko sirf batao ga keh bitcoin se pese kis tarah kamaye jate hein lekin iss ke baad jo post me karo ga uss mein apko practically kar ke dikhao ga keh iss se pese kese kamane hein.


    Dosto sub se acha aur easiest method ye hai keh bitcoin ko buy kia jaye aur sell kia jaye. Maan ke chalye aap ne aaj 0.2 bitcoin buy kiye hein aur in ki price aaj ki date mein 20000 rupees hai. Ab wo 0.2 bitcoin aap ne buy kar ke apne pas rakh liye hein. Kul aap bitcoin ki price check kare aur agar un 0.2 bitcoin ki price 30000 rupees ho chuki ho to aap un bitcoin ko sell kar dein to apko sirf aik din mein 10000 rupees ka profit ho ga. Issi ko kehte hein keh bitcoin buy karna aur sell karna jub aik bitcoin ka rate low ho to usko buy karna aur jub rate high ho to isko sale kar dena.



    Sawal ye paida hota hai keh in bitcoins ko aap kese buy kare ge aur kaha sale kare ge to dosto iss ke baare mein hum next post mein baat kare ge aur practical bhi kare ge. 


    Dosra treqa ye hai keh hum internet pe websites se bitcoin ke satoshies generate kare. Internet pe aisi bohat sari websites hein jo hum ko free mein hur 15 minutes baad ya 1 hour baad ya phir 1 din baad kuch satoshies deti hein. Hum in websites pe games khel kar bhi satoshies generate kar sakte hein aur jub wo bohat zayada ho jaye ge to in ko sale kar ke pese kama sakte hein.




    Final Words:

    Umeed hai aap sub ko pata chul gaya ho ga keh bitcoin currency kya hai, kese kaam karti hai aur iss se pese kese kamaye ja sakte hein. Agar aap ka bitcoin ke related koi question hai to aap comment mein mujh se pooch sakte hein. Iss ke ilawa neeche share waale button pe click kar ke post ko social media pe lazmi share kare. Issi ke sath mujhy de ijazat Allah Hafiz.

    5 comments:

    1. bhai games ki wapsite bata do jaha games khelte hen or ye code genater kia hai ye b bata do

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai ap satoshi quiz website se games play kr ke satoshi earn kr sakte ho aur aap kis code generator ki baat kr rhe ho

        Delete
    2. Replies
      1. dark web internet ki aisi websites hein jaha pe hur illegal kaam hota hai jese murder weopons etc. Aisi websites ka sirf unko pata hota hai jo in ko use karte hein aur kisi simple browser se in ko use bhi nahi kia ja sakta in ko use karne ke liye tor browser ki zarorat hoti hai.

        Surface web, deep web aur dark web ke baare mein bohat juld details se aik post likho ga

        Delete
    3. Bitcoin Currency Ke Bare Me Bahut Badiya Post Share Ki Hai

      ReplyDelete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media