• Learnwithrazzak

    14 Jan 2017

    Google Play Store Problems And Errors Ko Kese Fix Kare Easily

    Introduction:

    Dosto aksar users mujhy Facebook Page pe message kar chuke hein keh hamara google play store problem de raha hai.Kuch ka kehna hai keh downloading nahi hoti kuch kehte hein keh jub hum play store ko open karte hein to no internet conncection ka error show hota hai.Aisa tub hota hai jub google play store application ko internet connection nahi mil paa raha hota hai.Halla keh hamare phone mein baqi apps pe internet chul raha hota hai.So yaha me kuch tips share kar raha hoo jin ko follow karne ke baad ye problem thek ho jaye ga.


    Solutions For Non Rooted Phones:

    Sub se pehle me un phones ke liye solution de raha hoo jo rooted nahi hein.Iss ke baad me rooted mobiles ke liye solution doo ga.


    1.Clear Cache:

    Kabhi kabhi aisa hota hai keh hum bohat months se google play store ko apne phone mein chala rahe hote hein aur google play store thora thora kar ke cache hamare phone mein banata rehta hai jo keh faltu files hoti hein aur hamare kisi kaam ki nahi hoti.So jub bohat sari cache files mil jati hein to iss error ka reason banti hein.Iss liye sub se pehle aap apni play store application ki cache clear kare.Iss ke liye aap setting mein ja kar apps par click kare.Phir all apps mein jaye waha play store ko find kar ke uss ki cache clear kar dein jese keh ap screenshot mein dekh sakte hein.



    2.Time&Date:

    Agar clear cache karne se problem solve na ho to apne phone ka time and date check kare keh kya wo thek hai ya nahi.Kyo keh time ya date thek na hone par google play store ki updated application internet se connect nahi hoti.Time and date thek karne ke liye aap phone ki setting mein ja sakte hein wese bhi aaj kul koi aisa android user na ho ga jis ko time thek karna na aata ho.





    3.Clear Data Some Apps:

    Time and date thek karne ke baad bhi agar same error aa raha ho to hum ko kuch apps ka data clear karna pare ga.Un apps mein google play store,google play sevices aur google services framework hein.Kisi bhi application ka data clear karna bohat easy hai.Jese keh me pehle step mein bata chuka hoo keh cache kese clear karte hein bilkul same uss tarah hi data bhi clear karte hein.Bus faraq itna hai keh clear data ka option clear cache ke thora uper hota hai.Data clear karne ke baad google play store pe apna gmail account again login kare.Aisa karne se google play store ka error khatam ho jata hai aur agar na ho to neeche wale methods try kare.




    4.Delete Google Account:

    Step3 ko follow karne ke baad bhi agar ye solve na ho to apko gmail ka account jo aap ne apne phone mein login kar rakha hai aik bar remove karna pare ga aur phir dobara login karna ho ga.Google account delete karne ke setting mein jaye iss ke baad accounts pe click kare aur wha apna gmail ka account remove kar dein.Iss ke baad aik bar apne phone ko restart kar dein aur again gmail account login kar ke play store ko open kare.


    5.Last Solution:

    Agar uper waale all methods try karne ke baad apke phone google play store ka problem solve nahi ho raha hai to final aur last solution ye hai keh apne phone ko ya to factory reset kar dein ya phir google play store ki koi alternative app use kar lein jo keh 1 mobile market ho sakti hai.Factory reset karne se ye problem 100% solve ho jaye ga.





    Solutions For Rooted Android Phones:

    So chalye ab baat karte hein rooted android phones ki keh in mein kese google play store ke errors ko fix kia ja sakta hai.Iss pe aap uper waale solutions bhi try kar sakte hein jo non rooted android phones ke liye the.Agar wo work na kare to neeche wala method try kare.


    1.Sub se pehle apne phone ke liye iss link se root explorer app download kare.

    2.Ab iss application ko apne phone mein install kar ke open kar lein.

    3.Open karne ke baad apko kuch folders nazar aye ga waha system folder ko open kare.



    4.System folder ko open karne ke baad iss mein etc folder ko open kare aur agar iss ke andar apko etc folder na mile to back aye aur yah pe apko etc folder nazar aa jaye ga so iss ko open kar lein.


    5.Jub ap etc folder ko open kar lein to uss mein apko aik file nazar aye gi jis ka naam hosts ho ga.

    6.Aap ne iss file ko delete kar dena hai aur phir phone ko restart kar dein.

    7.Restart karne ke baad google play store ka clear data kar ke again apna gmail account login kare aur play store ko open kar lein.

    8.Ab aap ka problem solve ho chuka ho ga aur agar nahi howa to aap ko phone factory reset karna pare ga.




    Final Words:

    Mujhay umeed hai agar aap ne poori post read ki hai to apko samjh lug gai hogi keh non rooted aur rooted android phones mein google play store ke errors ko kese fix karte hein.Agar abhi tuk apka koi sawal hai to aap comment mein pooch sakte hein aur agar aap ko ye post achi lagi to social media pe zaror share kare.Issi ke sath mujhy de ijazat Khuda Hafiz.

    2 comments:

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media