• Learnwithrazzak

    12 Jan 2017

    Tor Browser Kya Hai Hackers Iss Ko Q Use Karte Aur Kya Fayda Hai

    Introduction:

    Assalam.o.Alaikum kese ho dosto umeed karta hoo keh sub Allah ke karam se thek hoo ge.Dosto aap ko yaad ho ga keh hum iss se pehle baat kar chuke hein keh VPn Kya Hai Aur Vpn Se Apni Internet Location Kese Change Kare.Agar aap ne wo post abhi tuk nahi read ki to abhi aap read kar sakte hein because aaj me ussi ke related aur uss ke sath kuch difference share karne ja raha hoo.Aaj hum baat kare ge keh tor browser kya hai,iss ka kya faida hai aur hackers iss ko kis muqsad ke liye istmaal karte hein.





    What Is Tor And How It Works:

    Hum sabhi chahte hein keh hum kuch aisa kare keh koi bhi hum ko internet pe track na kar paye yani koi hamari location find na kar sake.Aise mein hum use karte hein vpn jo hamari location ko hide kr ke hume kisi doosre country ki location provide karta hai.Lekin vpn se hum fully safe nhi reh sakte.Agar aap iss ki reson janana chahte hein to iss post ko poora read kare.



    Chalye ab baat karte hein tor browser ke baare mein keh ye kya hai aur kese kaam karta hai.Tor ki full form hai The Onion Router.Sub se pehle me apko simple words mein batata hoo keh ye kya hai.Ye aik aisa browser hai jo kisi user ki internet location ka kisi doosre bande ko pata nahi chalna deta hai yani agar aap iss browser pe internet use kar rahe hoo to koi bhi hacker pata nahi chala sakta keh aap kaha beth ke internet use kar rahe ho.




    Chalye ab baat karte hein keh aakhir iss browser mein aisa kya hai jo hamari internet pe pehchan ko hide kar deta hai aur dunya ka koi hacker hum ko find nahi kar sakta keh aakhir hum kaha bethe huwe hein.Dosto iss ko achi tarah samjhane ke liye me aik example doo ga.To chalye start karte hein.



    Hum jub bhi kisi browser jese chrome,firefox,uc browser ya kisi bhi browser mein koi website open karte hein to uss ko pata chal jata hai keh hamari location kya hai.Maan ke chalye aap chrome browser mein www.google.com ko open karte hein.Ab chrome browser kya karta hai keh aap ka ip address check karta hai aur iss ke baad data packets le ke google ko open kar deta hai.Aap ne dekha ho ga keh jub google open ho jata hai to uss ke neeche hamare country ka naam bhi likha hota hai.To browser hamari ip address detect kar ke hi batata hai keh hamari location kya hai.Agar aap ko ip address ka nahi pata to aap meri Ip Address Kya Hai Aur Ip Address Ki Location Kese Change Kare wali post read kar sakte hein.




    Ab tor browser mein kya hota hai keh jub hum iss me google.com ko open karte hein to ye browser google open hone mein hamari ip address taqreban 50 baar change karta hai.Yani hum ne tor browser mein google.com ko likha aur enter press kar diya aur google ko open hone mein 5 seconds lage to in 5 seconds mein iss ne hamara ip address 50 baar change kia.Matlb ye keh pehle iss ne google ko aik ip address diya aur bataya keh ye ip address China ka hai phir iss ko aik aisa ip address jo America ka hai.Issi tarah ye aik website open hone mein bohat se ip address aur locations uss website ko batata hai jis se uss website ke liye ye pata lagana impossible hai keh ye keh aap ki real location ya ip address kya hai.





    Tor Browser Short History:

    To chalye dosto ab baat karte hein tor browser ki history ke baare mein keh ye kub launch hua,kese launch howa aur kis muqsad ke liye launch kia gaya.Tor browser ko 1990 ke darmyan United State Of America ki aik company ne banaya tha.Iss ko United State ki Army ke liye banaya gaya tha taa keh wo internet pe hone wala apna hur kaam anonymously kar sake.Yani un ki location ko koi bhi admi find na kar sake.Iss ke baad kuch aisa huwa keh kisi waja se ye internet pe phel gaya.Iss ki kya waja tha uss ka mujhy nahi pata hai.Ab iss browser ko koi bhi use kar sakta hai.13 August 2004 ko ye internet pe publicly release hua tha.





    Why Hackers And Other Users Use Tor:

    Tor browser ko different types ke users different purpose ke liye use karte hein.Aisa nahi keh log iss ko sirf illegal kaamo ke liye hi use karte hein.Simple users iss ko iss muqsad ke liye istmaal karte hein taa keh wo internet pe safe reh sake aur koi black hat hacker un ki ip address find kar ke un ka data na chura lein.



    Tor Browser ko criminal purpose ke liye bhi use kia jata hai.Ye assume kar ke chalye keh aik hacker hai aur wo kisi bank ki website ko hack kar raha hai.Iss kaam ke liye wo apni location hide karne ke liye tor browser ka use kare ga.Ab agar wo uss bank ki website ko hack kar leta hai to to ye aik crime hai aur fully illegal hai.Ab bank waale uss hacker ki location ko find nahi kar sake ge because uss ne tor browser ko istamaal kia tha.




    Vpn Vs Tor Browser:

    Jese keh dosto me iss post ke start mein vpn ke baare mein kuch baate bata chuka hoo keh ye hamari location ko hide to kar deta hai lekin kya hum iss se totally safe reh sakte hein.Bilkul nahi aisa nahi hai tor browser ko use karne se to hum apni location ko totally safe rakh sakte hein lekin vpn mein aisa nahi hai.Vpn kya karta hai keh hamare ip address ko hide kar ke koi doosri ip address humein provide kar deta hai.Ab tor browser to hur second baad hamari ip address change karta hai lekin vpn hum ko sirf aik hi ip address deta hai.Kuch Advance hackers aise hote hein jo iss vpn ke peeche hamari hide huwi ip ko trace kar lete hein lekin tor browser se hide ki gai ip ko trace kar pana impossible hai.





    Is Tor Browser Completely Safe For Us:

    Ab ap ye soch rahe hoo ge keh tor browser se hide ki gai ip ko trace kar pana poore world mein kisi ke liye possible nahi hai? Dosto aisa nahi hai pichle kuch months mein USA se kuch compnies aisi saamne aayi hein jo iss ke users ko trace kar sakti hein.Wo taqreban 2 se 3 hi aisi hein jo ye kr sakti hein otherwise poore world mein aisa koi nahi hai.Baat ki jaye China ki to abhi tuk un se kisi ko koi response nahi mila.Aisa ho sakta hai keh China mein bhi kuch log aise hoo jo iss ke users ko trace kar sake.




    Final Words:

    Umeed karta hoo keh aap sub ko ache se samjh aa gaya ho ga keh tor browser kya hai,kese kaam karta hai,kis muqsad ke liye istmaal hota hai aur iss ka kya faida hai.Agar ab bhi aap ka koi sawal hai to aap comment mein mujh se pooch sakte hein.Agar aap ko ye post pasand aayi ho to social media pe zaror share kare.Issi ke sath mujhy de ijazat Khuda Hafiz.

    2 comments:

    1. tor browser se crime ki websides on hoti hain but is se hacking kis terha hoti hai

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai tor browser hamari location ko hide karta hai jis ko trace nahi kia ja sakta aur agar koi hacker iss browser ka istmaal kar ke kisi website ko hack karta hai to uss website ke owner ya kisi doosre hacker ke liye uss hacker ki location trace karna impossible hai jis ne web hack ki thi.

        Delete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media