• Learnwithrazzak

    27 Nov 2016

    Whatsapp Group Mein Unlimited Members Kese Add Kare

    Introduction:

    Wese to hum whatsapp group mein only 500 members hi add kar sakte hein.Aaj hum baat kare ge keh whatsapp group mein 500 se zayada members kese add kiye ja sakte hein.Whatsapp ne communication ko bohat hi easy aur fast bana diya hai lekin iss ki aik limit hai keh hum group mein zayada members add nahi kar sakte jis ki waja se members ka groups mein connect karna ruk chuka hai.







    Pehle pehle to whatsapp group mein sirf 50 members allow karti thi.Iss ke baad limit 100 tuk pohanch gai.Phir users ki requests ko dekhte huwe iss ki limit 500 tuk kar di gai.Aaj kul whatsapp ke kuch mooded version bhi launch kiye ge hein jin mein kuch limitations ko increase kia gaya hai lekin q na aisa ho keh hum orignal version ko hi use kare aur apni marzi se uss mein changing kare.





    Before Beginning Note:

    Start karne se pehle me ye btana chaho ga keh group members limit ko break karne ke liye apko group ka admin hona bohat important hai.Agar aap admin nahi hein to aap iss limit ko cross nahi kar paye ge.





    Requirements:





    Agar apke paas whatsapp ka latest version,Aik rooted android phone aur es file explorer ya root explorer hai to aap neeche diye ge steps ko follow kar sakte hein.




    How To Enable Root Access:

    Sub se pehle apko es file explorer mein root access enable karna pare ga kyo keh hum ne whatsapp ki system files tuk access karna hai.Root access enable karne ke liye aap ye steps follow kar sakte hein.

    1.Es file explorer open kare

    2.Top pe left side mein menu button ko press kare


    3.Ab tools pe click kare

    4.Yaha root explorer ko tick mark kar dein






    How To Break Whatsapp Group Members Limit:

    1.Sub se pehle hume Whatsapp_Perfernces file ko find karna ho ga jis ke liye aap ko ye location follow karna hai.

    data/data/com.whatsapp/shared_prefs/com.whatsapp_Pref/



    2.Ab hum ne iss file ko edit karna hai

    Jub aap ko whatsapp_perfernces file mil jaye to hum ne iss file ko modify karna hai.File ko find kar ke iss ko text editor ke sath open kare aur iss mein ye int name=”participants_size_limit” value=”100  code find kare aur iss mein 100 ya 500 ko increase kar ke jitne members aap group mein rakhna chahte hein utne select kar le.


    3.Value Change karne ke baad file ko save kare aur es file explorer ko close kar dein

    4.Ab aik baar apne mobile phone ko restart kar dein

    5.Restart karne ke baad whatsapp pe jaye aur aik new group create kar ke uss mein jitne marzi members add kare




    Final Words:

    Ye post request karne pe likhi gai hai me ne iss ko khud check nahi kia hai because me whatsapp use nahi karta hoo lekin mujhay umeed hai ye tutorial zaror work kare ga.Agar aap ka iss ke about koi question hai to comment box mein comment kar ke zaror pooche aur apna feedback lazmi dein.I

    3 comments:

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media