• Learnwithrazzak

    23 Nov 2016

    Cookies Stealing Kya Hai Iss Se Hackers Account Kese Hack Karte Hein

    Introduction:

    Learnwithrazzak.com mein aap ka aik baar phir se welcome hai.Agar aap hamari site ke old user hein to apko pata ho ga keh me hacking series start kar chuka hoo.Me iss hacking series mein aap logo ko un tumam cheezo ke baare mein btata hoo jin ka istmaal kar ke hackers accounts hack karte hein.In sub cheezo ka ilum hona hur insan ke liye bohat zarori hai jo keh aik internet user hai.So aaj Anti Hacking series mein hamari 2nd post hai jis ka topic cookies ke related hai.






    What Are Cookies:

    Cookie aik chooti si file hai jo hamara browser apne andar save kar leta hai.Iss file mein hamare wo tumam passwords save hote hein jo hum ne browser mein use kiye huwe hote hein.For example hum gmail.com pe ja ke waha apna email aur password enter karte hein aur login ho jaate hein.Login hone ke foran baad browser hum se poochta hai keh kya aap apna password save karna chahte hein.Agar hum yes pe click kar dete hein jis se browser apne andar aik cookie save kar ke rakh leta hai.





    Cookies Are Good For Personal Computer:

    Cookies ka benifit to ye hai keh agar aik baar browser cookie save kar leta hai to hume dobara se gmail account etc ki information dobara se daal ke login karne ki koi zarorat nahi hoti hai.Aik baar cookie ke save hone par hum uss website par jub dobara jaate hein to hamara account automatic login hua hota hai.Agar hamare pas aik personal computer hai jis ko koi aur use nahi karta to aisa karna bilkul theek hai because uss computer ko koi aur use kar ke hamari information steal nahi kar sakta hai.





    Why Cookies Are Dangerous And How Can We Get Hacked:

    Cookies ka benefit hone ke sath sath ye hamare liye bohat dangerous bhi hein.Agar kisi ko hamre browser ki cookies mil jaye to wo directly hamare account mein login ho ke kuch bhi kar sakta hai.Agar hamari cookies kisi ke paas chali jaye to wo without any password hamare account ko access kar sakta hai.Aisa nahi keh uss ko email password pata nahi chale ga.Cookies se email aur passwords ko bhi nikala ja sakta hai.






    Hacking karne ke liye hacker ko zarorat hoti hai user activity ki aur jub tuk hack hone wala user khud koi ghalati na kare tub tuk hacker uss ka account hack nahi kar paye ga.Jese keh agar aap ne meri pehli phishing post parhi hai to hacker apne jaal mein apko phansane ke liye bohat se treeke use karta hai.



    Ab cookies stealing mein hacker kya kare ga.Wo apko koi image,koi video,koi link,koi file ya kuch bhi send kare ga to wo image etc ya jo bhi cheez apko send kar raha hai uss mein aisi scripts add kar rakhi hoo gi jo apko to nazar nahi aaye gi lekin jub aap uss pe click kare gi apka system un ko recognize kare ga aur send karne waale hacker ko apki cookies de de ga jis se wo simply apke account ko access kar le ga.





    How To Protect Your Self From Cookies Stealing:

    Ab baat aati hai keh aisa kya kia jaye keh koi hamari cookies ko steal na kar sake.


    • Pehli baat ye keh apne personal computer ke ilawa kisi bhi jagha apna account login na kare.Internet cafe mein to bilkul bhi nahi aur agar aisa karna important ho to account login karne ke baad password ko save na kare.

    • Agar ghalti se password save ho chuka hai to account logout karne ke baad browser ki setting mein ja ke cookies clear kar dein ya agar pc mein ccleaner installed hai to ccleaner maar de.

    • Kisi bhi jagha pe agar apko bghair apke kahe koi kuch bhi send karta hai to uss pe click na kare q keh apko phansaya ja raha hai.Wo user apki information steal karna chahta hai.

    • Kabhi bhi outdated antivirus ya outdated browser use na kare.Antivirus aur browser ko hamesha update rakhe aur koi famous browser hi use kare jese google chrome ya firefox.Agar aap koi local browser use kar rahe hein to ho sakta hai keh browser banane wali company hi apki information chura le.



    Final Words:

    Agar aap in tips ko follow kare ge to apka account bohat hud tuk safe rahe ga aur mujhay lagta hai keh agar aap ne poori post read ki hai to cookies ke related kisi type koi doubt naho ho ga aur agar phir bhi kisi qisam ko koi question hai to aap comment kar ke pooch sakte hein.

    1 comment:

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media