• Learnwithrazzak

    19 Nov 2016

    Virtual Box Software Se Ab Aik Windows Mein Jitni Marzi Windows Use Kare

    Introduction:

    Mera naam hai Abdul Razzaq aur aap use kar rahe hein learnwithrazzak website.Dosto aaj hum baat karne waale hein keh aik window mein 1 se zayada windows kese install kre.For example mere pc mein windows7 hai to me issi windows7 mein windows8,windows10,windowsXp ya koi bhi windows kese use kar sakta hoo.Iss ke liye different types ke software hein jin mein se aik ke baare mein apko me btane ja raha hoo aur uss ka naam virtualbox hai.








    Virtualbox Kya Hai:

    Virtualbox aik aisa software hai jo keh aik opreating system par install kia jata hai.Ye hume uss opreating system pe doosre opreating system run karne ki ijazat deta hai.Year 2010 mein ye bohat popular hua tha.Iss ko WindowsXp,Windows7,Windows8,Windows10,Mac OS,Linux,Solaris etc mein install kia ja sakta hai.



    Iss software ko Innotek Gambh developer ne 2007 mein bnaya tha.Ye company baad mein Sunmicrosystems ne purchase kar li.Oracle Corporation ab iss ke new versions update karti hai aur iss ka naam rakhti hai Oracle VM Virtualbox.








    Ap logo ki better understanding ke liye me neeche aik image attach kr raha hoo jis ko dekhne ke baad apko poori tarah samjh mein aa jaye ga keh virtualbox ka asal kaam kya hai.Iss image mein aap dekh sakte hein keh aik windows ke andar doosri windows chul rahi hai.







    Virtualbox Kese Kaam Karta Hai:

    Virtulbox ko jub pc mein run kar lia jata hai to ye pc mein aik virtual machine ki tarah kaam karta hai jis mein hum kuch bhi install kar sakte hein.Iss mein sirf windows ko hi install nahi kia ja sakta balkeh linux,android,mac wgera ko bhi install kia ja sakta hai.Agar hum virtualbox mein windows7 run karna chahte hein to humein windows7 ki iso image ki zarorat ho gi.Agar hum iss mein linux jese keh backtrack ya kali linux install karna chahte hein to humein backtrack ya kali linux ki iso file ki zarorat ho gi.











    VirtualBox Mein Windows/Linux/Anything Kese Install Kare:

    Iss mein jo kuch aap run karna chahte hein pehle uski iso file download kar lein jo aap ko internet pe easily mil jaye gi aur agar na mile to comment kar dein me apko download link de do ga.

    1.Sub se pehle virtualbox ko apne pc mein install kare aur run kar lein

    2.Run karne ke baad apko kuch aisi window show ho gi



    2.Ab New waale button pe click kare



    3.Ab neeche waale screenshot ko dekh ke steps follow kre



    1.Yaha pe koi bhi naam likh de iss ki koi tension nahi
    2.Agar aap windows install karna chahte hein to yaha Microsoft Windows select kro aur agar linux install karna chahte hein to linux select kre
    3.Yaha version mein wo windows select kre jo aap install karne chahte hein jese windows7 ya windows8

    4.Iss ke baad aap ne ram select karni hai jitni ram aap zayada select kre ge utni zayada fast wo windows chale gi



    5.Iss jagha center waale option ko ok kr ke create pe click kare




    6.VDI pe ok kar ke next kar dein



    7.Ab neeche screenshot ko dekh ke steps follow kre






    1.Yaha pe hard drive ki wo location set kare jaha pe aap windows run krna chahte hein yaad rhe uss hard drive partition mein minimum 10gb ka free space ho
    2.Iss jagha aap select kr sakte hein keh iss windows ke liye apko kitna size chahye aap abhi start kr rhe hein iss liye yaha taqreban 9gb select kre
    3.Create pe click kr dein


    8.Iss ke baad virtualbox mein settings pe click kar ke storage waale option mein jaye

    9.Storage waale option mein wo iso file select kre jo aap ne download ki thi

    10.Iss last step mein start pe click kar dein jis se windows installion shuru ho jaye gi


                                  Download Link:

    Neeche diye huwe download link se aap virtual box software ko download kar sakte hein.






    Final Words:

    Agar virtualbox mein windows ya linux run karne mein apko koi problem ho to comment mein pooch sakte hein aur hamari post ko social media pe zaror share kare because hum rozana aisi posts aap ke liye laate rehte hein.Ab mujhay dijye ijazat Allah Hafiz.

    4 comments:

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media