• Learnwithrazzak

    20 Nov 2016

    Android Phone Mein Windows7 Ko Easily Kese Run Kare Simple Method

    Introduction:

    Ye tutorial users ki request karne pe likha ja raha hai.Me ne iss ko practically use nahi kia hai lekin mujhay umeed hai ye hur armv7 android processor waale phone pe zaror work kare ga.Mujhay ye khud kehte huwe believe nahi ho raha keh aap android phone mein window run kar sakte hein lekin aaj kul kuch bhi possible hai.Me samjhta tha keh android phone mein sirf windows xp tuk hi limit hai lekin me ghalat tha.Android phone mein windows7 ko bhi run kia ja sakta hai.Windows chalne ke doran phone ki performance kum ho sakti hai agar android phone ki ram kum ho.








    How We Are Doing This:

    Android mein windows run karne ka saara credit bochs emulater ko jata hai jo humein practically koi bhi cheez emulate karne ki ijazat deta hai.Windows7 ki copy jo hum use kare ge aik portable image hai.Agar iss tutorial ko read karne ke baad apka phone brick off hota hai to iss mein meri kisi qisam ki koi zimadari nahi hai.Ye aap apne risk pe kare ge.







    Agar ye apke phone mein work nahi karta aur aap comment mein mujh se poochte hein keh ye work nahi kar raha to apko comment ka reply nahi mile ga because me pehle hi bata chuka hoo keh me ne iss ko practically use nahi kia.





    Requirements:






    Tutorial:

    Sub se pehle windows7 adb file download kare.Iss ke baad iss zip file ko extract kare.Extract karne par apko SDL ke naam se aik folder mile ga.Iss folder ko phone ki internal storage mein copy kar dein.Yaad rahe folder phone ki internal storage mein hona chahye warna windows kaam nahi kare gi.




    Iss ke baad bochs emulater ko download aur install kar lein.Install karne ke baad bochs emulater ko aap jese hi run kare ge window7 boot hona start ho jaye gi.Yaad rakhe poori tarah boot hone mein 15 se 25 minutes bhi lug sakte hein.Wese to iss mein mouse arrow ko chalane ke liye aik box bhi bana ho ga lekin aap iss mein mouse keyboard etc bhi chala sakte hein jis ke baare mein already me post likh chuka hoo.




    Some Basic Questions And Answers:

    Unfortunately aap jub windows7 android phone pe use kar rahe hoo ge to aap internet use nahi kar sake ge.So aap ko local programms tuk hi limited rehna pare ga.Aap kuch light weight yani kum size ke windows software bhi install kar sake ge aur run bhi kar sake ge.Ye depend karta hai apke phone ki quality pe.Jitna apka phone high quality ho ga utna zayada aap soothly windows ko run kar sake ge.Yaad rakhe jub aap windows use kar lein to iss ko properly shutdown kare warna next time jub aap windows run kre ge to aap ki windows repair hona shuru ho jaye gi jis ke liye apko bohat wait karna pare ga.




    Final Words:

    Umeed hai un friends ko ye tutorial bohat pasand aaya ho ga jinho ne mujh se ye post likhne ki request ki thi.Hamari site ko facebook twitter pe zaror share kare aur comment mein apna feedback lazmi add kia kare.Ab mujhay dijye ijazat Allah Hafiz.

    5 comments:

    1. Dear ye methods to mujhay pehlay say pata hay menay to ap ko dual boot Kay baray many kaha that

      Agar apko dual boot Kay baray many much pata hay please share krayn

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai aisa possible nahi hai dual boot tub hota hai jub dono cheeze installed hoo lekin hum to windows7 ko sirf emulate kar rahe hein

        Delete
    2. Replies
      1. armv6 aur armv7 processors hote hein old devices mein armv6 processor and new devices mein armv7 processor laga hota hai

        Delete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media