• Learnwithrazzak

    18 Nov 2016

    Phishing Attack Kya Hai Aur Iss Se Apka Account Kese Hack Ho Sakta Hai

    Introduction:

    Friends me hacking pe posts ki aik poori list bana raha hoo jo keh aap hamari site ki Anti Hacking category pe check kar sake ge.Aaj iss ka pehla part hai jo beginners ke liye hai.Iss post mein apko batao ga keh phishing kya hai,ye kese kaam karta hai,Hackers aap ka account phishing attack se kese hack kar sakte hein aur iss se kese bacha ja sakta hai.Wese to phishing ka sub ko pata ho ga lekin jo log local areas mein rehte hein aur technology mein zayada aage nahi hein to unke liye ye janana bohat zarori hai.








    Phishing Attack Kya Hai Aur Ye Kese Kaam Karta Hai:

    Phishing attack mein hacker uss site ka clone banata hai jis site pe apka account hai aur wo hack karna chahta hai.Mere khayal mein apko samjh nahi lagi.Ok me apko aik example de ke samjhata hoo.Maan le keh apka aik facebook account hai aur hacker apke uss account ko hack karna chahta hai.Ab hacker facebook ke home page(jaha pe aap login karte hein)jesa hi aik page banaye ga.Wo page bilkul facebook ki tarah hi nazar aaye ga.Iss ke baad uss page ka link apko send kare ga.Jub aap uss link pe click kare ge to facebook page ki tarah ka hi page open ho ga aur agar aap waha apna email aur password likh ke login kare ge to apka email and password hacker ke paas chala jaye ga.Aisi hacking wo log karte hein jinho ne hacking start ki ho yani shuru shuru mein hur hacker yehi method use karta hai.







    Hacker Apko Kese Apne Jaal Mein Phansa Sakta Hai:

    Jese keh aap ko pata chul gaya hai keh phishing mein aik site jesi nazar aane wali doosri site banai jati hai aur agar uss fake site ya page pe koi login karta hai to login karne waale ka email and password uss ko mil jata hai jis ne wo fake site ya page banaya hai.Ab baat aati hai keh hacker jis ne wo site banai hai wo apko kya keh ke send kare ga.Jub hacker aik fake page bana leta hai to wo different types ki teqniques use karta hai.Jese keh wo apko keh sakta hai keh facebook ne aik new feature launch kia hai iss site pe jao aur check kro aur jub aap uss site pe jaate hein to aage se wo fake site login karne ka kehti hai aur aapke login karne se apki details uss ko mil jati hein.Ya phir wo ye keh sakta hai keh ye site aisi hai jo aap ko facebook pe auto likes deti hai.Kuch aise bhi kehte hein keh iss site se apko 50 rupees ya 100 rupees ka balance mile ga.




    Hacker Phishing Site Banane Ke Liye Kya Use Karta Hai:

    kuch log wapka.mobi pe fake/phishing site banate hein.Wapka pe bani hui phishing sites kuch iss tarah ho sakti hein.


    something.wapka.mobi     something.wapka.me    something.wapka.com

    Hacker wapka pe account bana ke aik html code ko site mein enter karta hai jis se wo bilkul facebook ki tarah nazar aane lagti hai.Kuch log hosting sites ka istamaal karte hein aur un mein aik se 2 aisi files upload karte hein jis se wo site facebook ki tarah nazar aane lagti hai.




    Phishing Attack Se Kese Bacha Jaye:

    Yaha mein kuch tips bata raha hoo jin ko follow karne ke baad ap phishing attack se buch sakte hein.

    1.Sub se important ye keh internet pe kisi ke kehne pe kisi bhi site pe login na kare

    2.Agar koi apko kehta hai keh iss link pe click kare to aisa kabhi na kare



    3.Sirf uss admi ki link pe hi click kare jis pe apko trust hai aur agar uss link ko open karne ke baad username password enter karne ka option aaye to aisa hurgiz nahi karna

    4.Facebook,gmail ya jis site pe bhi apka account hai to uss pe login karne se pehle check kar le ke uss ke url address bar mein facebook.com hi likha hai


    5.Agar url mein facebook.com nahi likha aur site apko same facebook ki tarah nazar aa rahi hai to samjh le wo phishing page hi hai




    Final Words:

    Agar apko hamari post achi lagi to facebook twitter pe zaror share kare aur hamari site ko rozana visit kare q keh hum rozana apke liye aisi posts likhte rehte hein.Issi ke saath mujhay dejye ijazat kul phir aik achi post ke sath mulaqat ho gi Allah Hafiz.

    No comments:

    Post a Comment

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media