• Learnwithrazzak

    16 Nov 2016

    Pc Mein Graphic Card Ko Overclock Kar Ke Games Ko Fast Banaye

    Introduction:

    Mera naam hai Abdul Razzaq aap iss waqt learnwithrazzak website ko use kar rahe hein aur me apko welcome kehta hoo.Dosto meri site ke aksar users mujh se ye sawal poochte rehte hein keh kya hum slow chalne waali games ko fast kar sakte hein.G haa hum aisa kar sakte hein lekin aisa karne mein thora risk hai.Games ko fast kese karna hai aur fast karne mein kya risk ho sakta hai to wo sub kuch me iss post mein batane wala hoo.






    Basic Words:

    Games ko fast banane ya un games ko chalane ke liye jo hamare pc mein nahi chalti ke liye hume market se aik mehnga sa graphic card buy karna parta hai.Me jo method aap ko batane ja raha hoo uss mein hum aik software use kare ge.Ye software bilkul free hai and iss ke liye aap ko kisi type ki koi qeemat pay nahi karna pare gi.





    Software Kese Kaam Karta Hai:

    Jesa keh me apko already bata chuka hoo keh hum software istmaal kare ge to ab aap ye question le ke bethe hoo ge keh ye software kese kaam kare ga.Ye software apke old graphic cards ke components ko modify karta hai aur game ki speed zayada karne ke kaam aata hai.Iss se games ko hi nahi balkeh doosre softwares jo slow chalte hein un ko bhi fast kia ja sakta hai because ye apke poore garphic card pe kaam kar raha hota hai.





    Software Ko Use Karne Mein Risk Kya Hai:

    Ab baat aati hai keh ye software hamare pc ko kis tarah nuqsan pohncha sakta hai.Darasal jub ye software hum install kar ke use karte hein to hamare graphic card ke chalne ki speed ko ye increase kar deta hai aur graphic card aur zayada tezi se chalta hai.Agar hum iss software mein graphic card ki speed ko bohat zayad increase kar dein ya thori speed ke saath iss ko 5 se 7 hours ke liye istmaal kare to ye hamare pc ke graphic card ko burn kar de ga yani jala de ga.Aisa ho jaane se hume lcd pe koi display show nahi ho ga.Preshan hone ki koi zarorat nahi hai aap jub iss software ko use kare to .5 se .20 tuk speed wali line increase kare.Agar apki game .5 pe hi smoothly run hone lagti hai to apko aur zayada speed increase karne ki kya zarorat hai.2nd ye keh iss software ko zayada se zayada 4 hours ke liye istmaal kare aur phir aik hour ke rest ke bvaad aap again isse use kar sakte hein.Neeche me iss software ka download link de raha hoo jha se aap easily iss ko download kar sakte hein.









    Software Ko Use Kese Kare:

    1.Uper diye huwe link se jub software download ho jaye to iss ko install kare

    2.Install karne ke baad iss ko run kare

    3.Run karne par apko ye screen show ho gi



    4.Iss screen mein apko 2 lines show ho rahi hein.Inn dono ko pehle .5 increase kare

    5.Ab apni game check kare agar speed theek ho gai hai to theek warna .5 aur increase kar dein

    6.Issi tarah game check karte rahe aur .5 increase karte rahe yaha tuk keh game smoothly chalne lage






                                              Warning:

    Use this software at your own responsibility.If your graphic card burn after using this software and you point a finger at me then I shall laugh at you.




    Final Words:

    Umeed karta hoo sub friends ko ye post bohat pasnad aayi ho gi.Post ko social media pe zaror share kare aur comment kar ke apna feedback de taa keh me rozana aisi posts apke liye lata rahoo.Ab mujhay de ijazat bohat juld kisi achi post ke sath hazir hoo ga Allah Hafiz. 

    No comments:

    Post a Comment

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media