Starting Words:
Assalam.o.Aalaikum friends ye post me aaj nahi balkeh kuch din baad likhne wala tha lekin kuch friends ki bohat zayada farmayesh pe ye post mujhay aaj likhni par rahi hai.Kya aap ko yaad hai keh me ne aik post likhi thi keh bootanmation kya hai aur bootanimation ko kese change kia ja sakta hai.Uss din me ne promise kia tha keh next time me aik aisi post likho ga jis mein aap apni khud ki bootanimation bana sakte hein.So aaj me apna promise poora kar raha hoo.Agar aap ne wo post abhi tuk nahi parhi to neeche diye huwe link se parh le because uss ke without iss post ko samjhna bohat mushkil ho ga.
Explaination Of Bootanimation:
Android bootanimation aik zip file par mushtmil hoti hai jis ka naam bootanimation.zip hota hai.Iss ko system folder mein ja ke media folder mein find kia ja sakta hai.Iss aik file mein wo tumam informations mojood hoti hein jo bootanimation ko chalane ke liye istmaal hoti hein aur jub mobile phone on hota hai to ye automatic load ho jati hai.Basically iss mein .png format ki images hoti hein jo aik ke baad dosri aur dosri ke baad tesri and issi tarah change hoti rehti hein jis ki waja se ye humein aik video ya animation ki tarah nazar aati hai.Haqeqat yehi hai keh koi video ya animation nahi balkeh bohat saari pictures hein jo akakhti ho kar video ya animationn ki shakal ki bun jati hein.
- Android Phone Ke Orignal Software/Stock Rom Ka Backup Kese Banaye
- Huawei Mobiles Ko Flash Kese Karte Hein WIthout Pc
Bootanimation File Kin Cheezo Pe Mushtmil Hoti Hai:
Agar aap bootanimation.zip file ko apne phone ya computer mein kisi jagha extract karte hein to uss mein apko ye folders and files dekhne ko mile gi jin ka samjhna apke liye bohat zarori hai.
1.Aik desc.txt ke naam se file hoti hai
2.Part0 ke naam se aik folder jis mein png format ki images hoti hein jin ke names 00,01,02,03 etc ya iss type ke jese ho sakte hein
3.Part1 ya part2 ke naam se bhi folders ho sakte hein.Ye bhi part0 folder ki tarah hi hote hein
Jesa keh aap ne dekha bootanimation mein aik txt file aur 1 ya aik se zayada folders jin mein png format ki images hoti hein.Folders mein jo images hoti hein wo bootanimation play hote waqt hume show hoti hein aur jo desc.txt file ye define karti hai keh wo images kis tarah show hoo.Preshan hone ki koi zarorat nahi me neeche desc.txt file ko details se explain kro ga.
Desc.txt Explaination:
Yaha mein bata raha hoo keh desc.txt file ka bootanimation mein kya kaam hai aur ye kese kaam karti hai.Me ne bootanimation mein desc.txt file ko open kar ke uska aik screenshot liya hai taa keh apko theek treeke se samjha sako.Desc.txt file mein kuch words likhe hote hein jin ki details screenshot ke neeche hein.Aik baat aur wo ye keh aap in words ko apni marzi se change kar sakte hein.
1.Yaha pe 480 800 ka matlb hai apke phone ki resolution jo aap google pe check kar sakte hein keh apke phone ki resolution kya hai
2.Ye bootanimation ka fps(frame per second)hai.Yaha pe me ne 5 use kia hai jitna bara number hum use kare ge utni tezi se bootanimation load ho gi.Wese aam toar pe ye 15 ya 30 hota hai
3.Ye wo dono folders hein jin mein bootanimation ki images hoti hein.Agar bootanimation mein part1 wala folder na ho to apko desc.txt file se end wali line remove karna hogi
5.Ye numbers show karte hein keh aik se dosri image load hone mein kitna waqfa aye ga.Yaha part0 ke saamne bhi 0 hai and part1 ke saamne bhi 0 hai.Zero ka mtlb keh koi waqfa na ho.Agar hum 0 ki jagha 3 laga de to uska matlb hai aik se dosri image load hone mein 3 seconds ka waqfa ho
- Wifi Ki Security Types Aur Hackers Un Ko Kese Hack Karte Hein
- Website Ya Blog Pe Bghair Kisi Kam Se Pese Kamye Simple And Easiest Method
Software For Easy Steps:
1.Sub se pehle apne phone mein ya pc mein jo bhi aap use kar rahe hein waha aik folder banaye jis ka naam ho bootanimation
2.Iss folder ko open kar ke iss mein aik aur folder banaye aur uska naam rakhe part0
3.Ab jo png format ki images apke paas hein confirm kar lein keh unka size apke phone ki resolution ke mutabiq hai.Agar aisa nahi ho to aap iss site se apni images ko online resize kar sakte hein
4.Images ka size theek karne ke baad unke naam kuch iss tarah hone chahye:
00.png,01.png,02.png,03.png,04.png,05.png and so on.
5.Names theek karne ke baad in saari images ko part0 folder mein copy kar dein
6.Ab iss link se desc.txt file ko download kare
8.Sub kuch change karne ke baad iss desc.txt wali file ko bootanimation waale folder mein copy kar dein
9.Ab confirm kar lein keh aap ne aik bootaniumation ke naam se folder banaya hai jis mein part0 folder hai aur aik desc.txt wali file hai.
10.Confirm karne ke baad bootanimation waale folder ko zip mein convert kare agar aap pc user hein folder pe right click kar ke add to archive pe click kare aur wha rar and zip 2 options hoo ge wha se zip wala select kare aur ok kar dein
11.Le g apki bootanimation ready hai jis ka naam bootanimation.zip hai
12.Isko apne phone mein kese lagana hai us ke liye me ne already aik post write ki thi jo ye hai
Some Points:
Mujhay pata hai me ne bohat details se samjhaya hai lekin mujhay ye bhi pata hai keh pehli 4 se 5 baar try karne par aap fail hoo ge kyo keh aap kahi na kahi se ghalti zaror kro ge aur apki ghalti karne ki waja se bootanimation ki jagha sirf black screen show ho gi lekin preshani ki koi zarorat nahi apka phone phir bhi on ho jaye ga.Aisa nahi hai keh bootanimation ke kharab hone ki waja se mobile on nahi ho ga.Yaha pe kuch points bata raha hoo jo apko zaror yaad rakhna hoo ge.
1.All images jpg format mein nahi balkeh png format mein save hoo
2.Folders ke naam bilkul theek rakhe
3.Pehle apni orignal bootanimation ka backup bana le taa keh new bootanimation pasand na aane par aap dobara apni purani bootanimation ko laga sake
4.Images ki resolution and desc.txt file mein jo resolution ho wo apki device ki hi ho.Apne phone ki resolution check karne ke liye aap google pe apne phone ki specifications check kar sakte hein
5.images ke naam aik theek tarteeb mein hoo jese 00,01,02,03 etc
6.Wese to me ne desc.txt file me zarorat ke mutabiq kafi theek changing ki hai lekin phir bhi iss mein resolution apko zaror change karna ho gi
7.Bootanimation ke folder ko convert karte waqt yaad rakhe keh aap usse rar mein nahi balkeh zip mein convert kar rahe hein
Final Words:
Internet pe itni details se ye method apko kahi nahi mila ho ga.Aap log pehle 4 se 5 baar khud try karo aur agar phir bhi bootanimation load hone mein ya apko iss post se kisi baat ki samjh na aayi ho to mujhay batao.Me apki hur problem solve karne ki poori koshish karo ga.Agar apko ye post achi lagi ho to comment me apna feedback lazmi de taa keh me apke liye rozana aisi posts lata raho.Issi ke saath hi mujhay ijazat dijye Allah Hafiz.
Dear mn apny naam likhna chata hon qmobile ki jaga woh kaisy ho ga
ReplyDeletebhai wohi to bataya hai iss post mein me ne kya apko samjh nahi aayi
DeleteDear meray mobile ROOT/SYSTEM/MEDIA folder mayn to bootanimation.zip wali file hi nahi hay.,
ReplyDeleteBootsamsung.qmg is trah ki ik file hay,
mere khayal me apka phone latest hai jese s4 s5 s6 ya iss jesa koi latest.Bhai filhal qmg format ki bootanimation banana abhi tuk mujhay nahi aata lekin agar bootanimation.zip wali bootanimation bhi istmaal kro ge to wo work kre gi yaad rahe bootsamsung.qmg wali bootanimation ko pehle kisis jagha pe copy kar lena aur phir system/media folder se delete kar dena aur system/media folder mein bootanimation.zip wali file copy kr dena
DeleteHi people, Just try this website to resize your images and accelerate your webpage loading speed,its working totally free without any registration
ReplyDeleteimage resizer - https://www.resizejpeg.com/