• Learnwithrazzak

    14 Nov 2016

    Connected Wifi Ka Password Pata Kare 2 Methods Very Easy

    Introduction:

    Me hoo Abdul Razzaq aur learnwithrazzak mein aik baar phir se apko welcome kehta hoo.Aksar aisa hota hai keh hum ne past mein apne android phone mein bohat se wifi connect kiye huwe hote hein jo keh schools,shops,family,house,coffie shops,gym,universitities etc ke ho sakte hein.Kya apko ye pata hai keh jub bhi hum kisi wifi network ko apne android phone mein connect karte hein to uska password hamare phone ki aik file mein save ho jata hai jis ko hum baad mein kisi bhi waqt dekh sakte hein.






    Hum Konse Methods Ki Baat Kare Ge:

    Connected wifi ka password pata karne ke kuch methods hein jin mein se hum 2 ke baare mein baat kare ge.Pehle method mein hum uss file ko find kare ge jis mein all wifi networks ke passwords saved hote hein and 2nd method mein hum aik application ka istmaal kare ge jo humein direct all wifi networks ke password show kar de gi.Yaad rahe in dono methods ke liye hamara mobile phone rooted hona zarori hai.Preshan mut hoo iss post ke baad me aik aisi post share karo ga jis ke liye phone rooted hone ki koi zarorat nahi ho gi.






    Method No.1:

    Iss method ke liye humein zarorat ho gi aik aise file manager ki jo system files tuk access karta ho.Aap koi bhi use kar sakte hein lekin me apko Root Explorer recommend karo ga.

    1.Sub se pehle root explorer ko install kar ke open kare

    2.Open karne ke baad uper 2 tabs hoo gi root wali and storage wali aap ne root wali tab mein data folder ko open karna hai


    3.Data folder mein aur bohat se folders hoo ge waha misc folder ko open kare



    4.Misc folder open karne ke baad wifi folder khol le

    5.Ab yaha pe aik file show ho gi wpa _supplicant aap ne uss file ko open karna hai

    6.Jese hi aap wo file open karo ge apko un tumam networks ke passwords mil jaye ge jo aap ne pehle kabhi connect kiye the





    Method No.2:

    Iss method mein hum aik application use kare ge jo hum ko all connected wifi ke passwords de ge.Darasal iss method mein jo application hum us kare ge wo bhi hum ko wohi file utha ke uss ka data show kare ge lekin iss mein difference ye hai keh hum ko uss file ko find nahi karna pare ga.



    Iss application ko use karna bohat hi easy hai.Me neeche iss ka download link provide kar raha hoo app install kar ke use kar sakte hein.Iss ke liye mujhay step by step samjhane ki koi zarorat nahi hai lekin phir bhi koi masla ho to comment kar ke pooch sakte hein.








    Umeed hai aap friends ko ye post bohat achi lagi ho gi comment kar ke apna feedback zaror dein taa keh me aap ke liye aur achi achi posts likhta raho aur hamari posts ko facebook twitter pe zaror share kare.

    6 comments:

    1. Bhai mera QMobile a910 ki screen off matlb Jo light display Hoty hai who her waqt on hovy rehty hai chaiy light off wala button BH dabaio laken nahi mobile reset BH kiya laken kuch nahi hova

      ReplyDelete
      Replies
      1. aap screen ki baat kar rhe ho keh hur waqt on rehti hai chahe lock wala button bhi press kare ya phir kisi aur light ki.Agar screen hur waqt on rehti hai aur reset karne se bhi theek nahi hui to apke phone ke software mein nahi balkeh hardware mein masla hai

        Delete
      2. 2nd baat ye keh phone ko safe mode mein on kar ke dekho agar waha se bhi na ho to phir 100% hardware problem hai

        safe mode mein on karne ke liye pehle battery nikalo phir 5 seconds baad dobara dalo phir mobile on karo aur jub qmobile ka logo ya jo bhi bootanimation aap ne laga rakhi hai wo aaye to volume down ko press kiye rakho apka phone safe mode mein on ho jaye ga

        Delete
    2. is me hamen kia sirf un wifi ky hi password milen gy jo hum ny kabhi password mill ky connect kie hon gy.ya fir sub ky.

      ReplyDelete
      Replies
      1. g bilkul aap title se hi dekh sakte hein keh connected wifi ka password hi pata chale ga.Wese wifi ko hack kese karna hai aage chul kar hum wo sub baate kare ge.

        Delete
    3. Samsung j5 main Password ka pta chaly ga?

      ReplyDelete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media