• Learnwithrazzak

    5 Nov 2016

    Android Mobile Phone Pe Easily Mouse,Keyboard,Usb Chalaye

    Introduction:

    Welcome back friends kese ho sub umeed hai aap sub Allah ke karam se emaan ki behtreen halat mein hoo ge.Kya kabhi apke mind mein ye question aaya keh hum android phone pe mouse ya keyboard chala sakte hein?I hope keh ye sawal hur kisi ke zehan mein aata hai.Aaj hum issi pe baat karne ja rahe hein.






    Hum Konsi Cheeze Phone Pe Chala Sakte Hein:

    Hum apne android phone pe sirf mouse ya keyboard hi nahi balkeh Usb,Gamepad,Card Reader etc jesi cheeze bhi chala sakte hein.Android phone pe aisi hur wo cheez chul sakti hai jo pc ke saath connect hoti ho.Anyway iss mein bhi kuch limits hein jo me neeche bata raha hoo.




    Iski Kya Limits Hein:

    Kuch phones to mouse,keyboard,usb,gamepad etc ko support karte hein lekin kuch low quality phones mein hum aisa nahi kar sakte hein.Un low quality phones mein ye sub cheeze chalane ke liye humein bluetooth ya wifi ki zarorat hoti hai.Aaj hum sirf un phones ki baat kare ge jo mouse and keyboard etc ko support karte hein aur baqi mobile phones ka tutorial me phir kabhi share karo ga.






    Requirements:

    Android phones mein full size ka koi usb port nahi bana hota hai jesa keh pc mein usb ports bani hoti hein jin mein hum mouse,keyboard ya usb ko laga sakte hein.So android mein hum directly koi bhi cheez nahi laga sakte hein.Iss kaam ke liye humein zarorat ho gi aik otg cable ki.Ab otg cable kya hai uski details neeche hein.





    OTG Cable Kya Hai:

    Otg cables bohat types ki hoti hein jo mukhtlif jagha mukhtlif kaam karti hein.Otg cable aik standard hai jo aik device ko dosri device ke saath baat karne ka moqa deti hai.Simple words mein otg cable ki madad se hum na mumkin kaam ko mumkin bana sakte hein lekin meri iss baat kehne ka ye matlb nahi keh aap aisa maan le keh hur aisa wo kaam jo na mumkin hai otg cable ki madad se hum usko mumkin bana sakte hein.Anyway agar abhi tuk bhi aap ko samjh nahi aayi keh otg cable kya hai to uski picture bhi mein neeche provide kar raha hoo.




    Mobile Phone Pe Mouse,Keyboard,Usb Kese Chalaye:

    1.Sub se pehle shop se aik otg cable buy kare aur wo uper wali picture jesi cable ho

    2.Cable buy karne ke baad cable ka choota hissa jo mobile mein lugta hai usko mobile mein laga le

    3.Ab bare hisse mein keyboard,mouse ya usb jo bhi aap chalana chahte hein wo enter kare

    4.Ab mobile phone ki screen pe agar koi cheez install ho to samjh le apka mobile supported hai aur kuch hi dair mein matloba cheez jo lagai hai wo chul jaye gi

    5.Agar mobile phone mein kuch bhi show na ho to apka mobile phone supported nahi hai aur ye method apke liye bekar hai




    Umeed hai ye tutorial sub ko bohat pasand aya ho ga next hum baat kare ge keh aik mobile phone ko doosre mobile phone se charge kese kar sakte hein.Hamari post ko apne friends ke saath zaror share karte rahe aur agar kisi type ka koi masla ho to comment kar ke pooche.

    51 comments:

    1. Very Nice Sir.:-bd

      ReplyDelete
      Replies
      1. sir mere pass QMobile x5 hai mene os sy tv delete kya tha ab main jab os tv app ko dobara install karta ho to wo install nahi horaha app not install ka error araha hai please iska solution bata dy mehrobani hogi.

        Delete
      2. aap ye bataye keh kya apka phone rooted hai

        Delete
    2. yas rooted hai.

      ReplyDelete
      Replies
      1. aap root explorer ke naam se aik application download kro phir usss ko open kr ke data folder ko open kro aur waha kafi folders aaye ge waha se app ne uss tv wala folder find kr ke delete kar dena hai phir dobara app install krna easily install ho jaye gi and ye bhi batao keh kya wo application mobile mein built in thi ya uper se install ki thi aur baad mein delete ki ya uninstall

        Delete
    3. Gee application
      mobile mein built thi jo maine es file explorer se delete kya tha.

      ReplyDelete
      Replies
      1. samjh gaya aap ne wo application system folder mein ja ke app folder me se delete kar di lekin wo poori tarah se delete nahi hui uss ka koi data folder apke phone ki system files me abhi tuk mojood hai jis ki waja se wohi app dobara install nahi ho rahi agar aap uss application ka data folder find kr ke delete kro ge to app install ho gi lekin aap ke liye wo folder find karna bohat mushkil hai aap aisa kro keh aap ke paas jo tv app hai uss ko clone banano yani uss jesi aik aur application create kro.jub clone application bun jaye to wo install karna wo install ho jaye gi.Applications ko clone banane ke liye me ne aik post likhi hai jis ka link ye hai

        Android Phone Mein Aik Jesi Jitni Marzi Applications Install Kare Very Easily(Fb Etc)

        Delete
    4. Keyboard etc to chal jayga magar kya hum apnay phone par windows nahi chala saktay........

      Dear maynay Suns tha Kay much phones aesay hayn jin ko jab on krayn to phone agay option mangta hay kayh ,, ap computer use karna chahtay hayn ya mobile phone,,,


      Agar koi is trah ka feature dhondh lo to maza aa jay

      Thanks

      ReplyDelete
      Replies
      1. g bhai windows chala sakte hein lekin windows minimum armv7 mobile waale processor pe chale gi jis ka tutorial bohat jald share kro ga

        Delete
    5. wo app install nahi ho raha plz koi our app bata dy.

      ReplyDelete
    6. armv7 ka kya matlab hay plz thodi detail dayn

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai old phones mein armv6 processor laga hota tha jo keh bohat zayada old phones the jese ke samsung s1 aur iss ke baad phones mein armv7 processor aane laga jese keh s2 s3 s4 etc mein hai.

        Delete
    7. dear mayn is method kay liye wait karon ga but ap bi thoda conferm kardayn kayh taqreeban ketnay din lagayn gayn thread create karnay mayn


      thankx

      ReplyDelete
    8. and dear ye tv app meray mobile par work karay gi

      meray mobile mayn antina bi hay but is mayn koi tv app nahi hay

      my phone ""Samsung glaxy s2 korean

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai mere khiyal mein s2 pe tv app work nai kre gi wese aap check kr ke dekh lo

        Delete
    9. ik sir main check karta ho.

      ReplyDelete
    10. sir ye app install nahi ho raha our ye tu net per chalne wale app hai plz aap muje asi app dy jo Mobile ka apna tv chala saky.

      ReplyDelete
      Replies
      1. Dear brother mobile ki built in tv application milna bohat mushkil hai agar phone samsung hota to easily mil jati kya apke pas wo built in application ka apk para huwa hai agar haa to upload kr ke download link mujhay do me uss ko modify kr ke dobara upload kro ga aur download link de do ga

        Delete
    11. ok main koshish karta ho.

      ReplyDelete
    12. ye ly bai app ka link.
      https://www.datafilehost.com/d/a192a67f

      ReplyDelete
      Replies
      1. ok me bohat juld modify kr ke download link apko doo ga

        Delete
    13. Ok sir apke reply ka wait karo gha.

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai me ne abhi ye file check ki ye file to courrpted hai mod karne ke liye zip format kia tub bhi open nahi hui

        Delete
    14. tu sir aap muje bataye ke main ab kya karo apne kaha ke app upload karo maine wo kr deya ab muje bata dy kya problem hai plz explain.

      ReplyDelete
    15. Ok sir i am waiting.

      ReplyDelete
      Replies
      1. ye lo bhai application ko me ne clone kar diya hai check kro

        Download Now

        Delete
    16. sir maine ye download keya liken jab install karta ho tu parse error ka message deta hai ye keya problem hai.

      ReplyDelete
      Replies
      1. me ne iss app ka clone banaya bhai lekin phir bhi apke paas install nahi hui ab iss ka aik hi solution hai keh apko recovery mode mein ja kr data partion ko format krna hai aur system partion ko bhi format karna hai ye tub hi ho ga jub phone mein custom recovery flashed ho gi

        Delete
    17. Ok sir thanks for your reply app ye bataye ke mere mobile main custom recovery flashed kase hoga.

      ReplyDelete
    18. Ye tu without pc nahi hoga our mere pass pc nahi hai aap muje asa method ya app bata dhy jo main mobile se asani se kr sako.thanks

      ReplyDelete
      Replies
      1. so sad brother without pc ke apka phone brick off ho sakta hai risk hai iss mein wese mtv player ko install krne ke liye aisa kro keh root explorer se data folder ke andar all folders ko delete kar do aur system ke andar data folder ho ga uss mein bhi all files and folders ko delete kar do aur restart kr ke application install kro

        iss se aisa ho sakta hai keh baqi apps unfortunately has stopped ka error de

        Delete
    19. koi our solution nahi hai sir.

      ReplyDelete
    20. OK sir thank you so much agar koi solution mile tu batana zaror.

      ReplyDelete
      Replies
      1. g zaror q nahi wese aap mtv player ko as system app install karo shayed baat bun jaye

        Android Apps Ko Sytem App Bnaye Jo Kabhi Delete Na ho

        Delete
    21. yahe tu nahi go raha na buht baar try keya.

      ReplyDelete
    22. very nice brother kya ye bhi ap ne likha hai

      Thread

      ReplyDelete
    23. Sir
      Mere mobile micromax Q336 me nahi chal raha kase chalega bataye

      ReplyDelete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media