• Learnwithrazzak

    19 Oct 2016

    Windows7/8/10/Linux Ke Lye Bootable Usb Kese Bnaye Universal Installer

    Introduction:

    Usb pe windows ya linux ko burn karne ke lye bohat saare third party softwares internet pe mojood hein.Kuch softwares aise bhi hote hein jin ko use karne mein risk hai aur wo risk ye hai keh jub usb pe windows write ki ja rahi ho aur achanak light chali jaye ya usb ko pc se disconnect kar diya jaye to 8 gb ki usb 2gb mein convert ho jati hai jo keh aik bohat bara masla hai.








    Kuch softwares sirf windows7 hi support karte hein aur kuch sirf windows8 support karte hein aur kuch to aise hote hein jo usb pe window ko burn to kar dete hein lekin baad mein hum usb se window ko boot nahi kar sakte.





    Kyo na aik aisa software ho jo all types ki windows ko usb pe burn kar sake aur wo bhi bghair kisi error ke.G haa aaj me aisa hi aik software aap logo ke saath share karne ja raha hoo jo windows ke ilawa linux etc ko bhi usb pe burn kar sakta hai.Iss mein windows xp ki support nahi rakhi gai hai baqi ye hur window and linux ko support karta hai.







    Requirements:

    Bootable usb bnane ke lye jin cheezo ki zarorat ho gi wo ye hein:

    1.Universal Usb Installer software jo aap neeche download pe click kar ke download kar sakte hein.




    2.Windows ya linux jo kuch bhi aap usb pe burn karna chahte hein uss ki iso file.

    3.Kum se kum 8gb ki aik usb.





    Procedure To Make Bootable Usb:

    Ok Allah ka naam le kar start karte hein aap bus mujhay follow kare ye bohat easy hai.

    1.Universal usb installer pe double click kar ke iss ko open kare

    2.Open karne ke baad ye screen show ho gi.




    3.Ab neeche screenshot ko dekh ke steps ko follow kare.



    1.Yaha jo windows burn karni hai wo select kre me windows7 burn kar raha hoo iss lye me ne windows7 installer ko select kia hai. Agar aap linux etc ko burn karna chahte hein to linux select kare jese kali linux ke liye bootable usb banana chahte hein to windows 7 ki jagha kali linux select kare.
    2.Iss jagha browse pe click kar ke apni windows ya linux ki iso image file select kare.
    3.Yaha pe apni usb select kare.


    4.Agar aap usb ko format kar ke uss mein windows burn karna chahte hein to yaha tick laga dein otherwise aise hi rehne de.
    5.Finally create ko press kar dein phir aap se kuch option and warnings ka kahe ga aap ne ok karte jana hai.

    4.Ok karne ke baad usb pe windows ya linux burn hona shuru ho jaye gi jis mein zayada se zayada 15 minutes lug sakte hein.

    5.Jub burn ho jaye gi to done ka message show ho jaye ga.


    6.Ab aap pc restart kar ke F12,F10 ya F9 ka button press kar ke usb ka boot select kar ke check kar sakte hein.




    Final Words:
    I hope keh aap logo ko ye post bohat pasand aayi ho gi. Agar aap ka koi sawal hai to aap neeche comment kar ke pooch sakte hein. Me poori koshish karo ga keh aap ke hur sawal ka jawab doo. Ab issi ke sath mujhy de ijazat Allah Hafiz.

    No comments:

    Post a Comment

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media