• Learnwithrazzak

    18 Oct 2016

    Odin Kya Hai Aur Odin Se Samsung Phones Mein Custom Recovery Flash Karna

    Introduction:

    Kahi bhi samsung mobile phones ko flash karne ki baat aati hai to waha Odin ko zaror use kia jata hai.Samsung android phones ko baqi phones se sub se zayada use kia jata hai.Iss se pehle hum baat kar chuke hein keh Stock rom,stock recovery,custom rom,custom recovery kya hai aur custom recovery and custom rom kese flash karte hein.Pehle custom recovery flash ka method jo me ne bataya tha wo hur samsung phone pe work nahi karta hai.






    Aaj hum baat kare ge keh odin kya hai iss ke features kon kon se hein aur odin se mobile phone mein custom recovery ko kese flash kia ja sakta hai.Odin se custom recovery flash karna aik unofficial method tha lekin baad mein iss ko official qarar de diya gaya jo samsung ke all mobile phones ke lye istmaal kia jata hai.





    Odin Kya Hai Aur Iss Ke Sath Kya Kia Ja Sakta Hai:

    Samsung mobile phones ko flash karne ke lye computer mein jo software use kia jata hai usse odin kehte hein.Kuch years pehle ye internet pe leak hua tha.Odin ko sirf samsung android phones ke lye use kia ja sakta hai.Iss ki madad se hum mobile mein custom recovery,stock recovery,stock rom and custom rom flash kar sakte hein.Jese keh maan lein apke samsung phone ka software kharab ho chuka hai to hum iss ki help se mobile mein stock rom yani orignal software flash kar ke mobile phone ko theek kar sakte hein.









    Important Note Before Using:

    Odin aik bohat powerful tool hai jis ko bohat carefully use karna hai.Agar custom recovery ya kuch bhi flash karne ke doran odin fail ka message de deta hai to mobile phone brick off bhi ho sakta hai.Iss ki sub se bari waja hai keh flash file jo hum istmaal karte hein uss ka theek na hona.Ghabrane ki koi zarorat nahi hai agar mobile brick off ho bhi jata hai to hum again stock rom flash kar ke theek kar sakte hein.




    Basic Functions Of Odin:

    Yaha pe me kuch odin ke basic options aur un ke functions bata raha hoo jin ka ilum hona hamare lye bohat zarori hai.Me screenshot mein jo options highlight kar raha hoo un ki details neeche hai.




    1.Repartions pe tick lagane ka matlb hai keh flashing ke baad apka data format ho jaye ga
    2.Auto reboot pe tick ka matlb hai flashing ke baad mobile automatic restart ho jaye ga
    3.F reset time bhi same auto reboot ki tarah hi hai
    4.Iss option ko untick hi rehne de
    5.Ye phone ka bootloader update karta hai isse bhi untick hi rehne dena chahye
    6.Yaha kuch phones ke lye pit file select ki jati hai jo keh kuch kb ki hoti hai lekin mostly phones ke lye pit file istmaal nahi hoti
    7.Custom recovery wgera flash karne ke lye md5 format ki aik file ko download kar ke bootloader mein slect kia jata hai
    8.Agar koi rom flash karna ho to pda ke button pe md5 file select ki jati hai
    9.Kisi kisi device ke lye md5 format ki aik file hoti hai jo phone mein select ki jati hai lekin aksar aisa nahi hota
    10.Yaha kuch country code select kye jaate hein lekin hum iss option ko use nahi kre ge





    Odin Se Custom Recovery Kese Flash Kare:

    Odin se custom recovery flash karne ke different mobiles ke lye different methods hein me yaha pe just aik example de raha hoo taa keh apko iss ki saari samjh lug jaye.

    1.Sub se pehle google se apne phone ke lye custom recovery download kare(Ya comment mein apna mobile model btaye me link de do ga)

    2.Iss ke baad mobile ko download mood mein on kare

    3.Ab odin open kar ke uss mein bootloader ya pda button ko press kare

    4.Press karne ke baad yaha wo file select kare jo download ki thi


    5.Iske baad mobile ko data cable se pc ke sath connect kre

    6.Jub mobile pc se connect ho ga to odin ki left side mein yellow colour ka nishan aa jaye ga

    7.Odin mein f reset time aur auto reboot pe tick kar ke start ko press kre

    8.Ab flashing start ho jaye gi aur jub complete ho gi to odin mein pass likha hua nazar aye ga





    Note:

    Ye method sirf example ke lye tha apke mobile ka method iss se thora different ho sakta hai iss lye behtar yehi ho ga ke aap apne mobile ka model btaye aur me flash karne ka method bata do ga.




    Umeed hai apko iss post se kuch na kuch sekhne ko zaror mila ho ga.Ab 15 seconds ka time de ke facebook twitter pe post zaror share kare:

    38 comments:

    1. dear mujhay jo apnay treeka bataya tha same usi trah say menay apnay mobile(glaxy S2 hd lte) ko odin kay through recovery flash karli hay but ik problem hay mera mobile costum recovery mayn nahi ja raha.....

      mayn phone kay charon butuns(vol up,vol down,home and power) ko press karta hon to agay say "samsung" ka logo sirf 2 seconds ke liye ata hay aur phir gayb ho jata hay aur mobile off hojata hay phir mobile ki battery nikal kr insert kro to mobile on hota hay.......PLEASE AB IS KA KOI SULOTION BATAO PLEASE


      AND

      ik sawal aur,apnay jo mujh ko meray mobile ki recovery file di thi jo kayh 6 mb ki wo to .tar fatmate ki thi and abhi apnay is thread mayn bataya hay kayh odin mayn "bootloader" mayn md5 farmate ki file flash hoti......kya kahin is wajah say to ye masla pesh nahi arah?

      ReplyDelete
      Replies
      1. neeche diya hua software download karo aur install kro phir iss se aap mobile ko recovery mood me ya download mood on kar sako ge software ko open kr ke reboot into recovery pe click kar dena


        Download Now


        And dono format ho sakte hein tar bhi and md5 bhi kisi kisi file ka format tar.md5 hota hai that does not matter

        Delete
    2. bhai jaan ab mujhay pata chala kay ye akhir ho kya raha hay darasal mera mobile to abi unrooted hay jabkay menay to do din ap kay hi thread(universal method of root) ko follow karkay apna mobile root kar liya tha but abi menay root checker say check kiya to pata chala kayh mera mobile unrooted hay and jab bi mayn apnay mobile par koi browser ya facebook app open karta hon to mobile ki screen par bilkul nechay jahan home button hota hay wahan par likha ata hay "this device was rooted". ye notification kai bar mujhay recieved ho chuka hay.........

      ab mujhay ye samajh nahi arahi kayh agar mera mobile rooted nahi tha to ye recovery kesay flash ho gyi wo bi bina koi error diye .....

      bhai jaan mujhay tareeban do haftay ho gye hayn kayh mujhay sirf apnay mobile mayn new software karna hay jis kayliye sabsay pehlay phone ko root karna padta hay and phir recovery flash karni hoti hay and phir new software hota hay but mera to abi tak pehla step hi pora nahi horaha hay demag kharab kar diya hay is nay to mera uffff kya kron kich samajh nahi ata......please dear ab ye kesi problem hay kayh menay apnay mobile root bi kiya tha par wo ab do din bad unroot ho gya hay ye kis trah ki problem hay?

      ReplyDelete
      Replies
      1. haha bhai aap ka dimag to aik din mein hi kharab ho gaya apko pata nahi mujhay itna kuch seekhne mein kitna waqt laga aur kitni mehnat karna pari jub me ne pehli dafa mobile ka software karna tha to mujhay 7 din sir khapana para aur mujhay sikhane wala bhi koi nahi tha aap thande dimag se kaam karte raho aur jub aap ne pehli baar custom rom flash kar lia to phir kisi bhi phone ke lye koi preshani nahi ho gi.


        2nd baat ye keh only samsung aise phones hein jin ki custom recovery rooting ke bghair flash ho jati hai lekin hur samsung mbile ka aisa nahi hota jo mobiles zayada popular hoo un ke sath hi aisa hota hai aur rooting process ke doran aisi problems aati rehti hein preshan hone ki koi zarorat nahi hai.


        Ab aap framaroot,cfauto root,universal android root,iroot,z4root,towelroot,baidu root,easy rooting toolkit and root master ye apps try kro in se apka phone root zaror ho jaye ga


        Note:Agar aik application se root ho jaye to dosri ko try mut karna


        aik baat aur apko tension lene ki koi zarorat nahi hai aap custom rom flash karne mein zaror kamyab hoo ge bus mujhay follow karte raho

        Delete
    3. ok bro mayn subha ko saari apps try kron ga and ap ka buhat buhat shukriya jo ap mujhay guide kar rahay hayn........

      THANK YOU SO MUCH

      ReplyDelete
    4. Bhai jaan meray mobile ka software udd gya hay... Mayn jab mobile on karta hon to samsung ka logo sirf 2 second keliye ata phir gyeb hojata hay aur mobile off hojata hay....

      Please ab meray mobile ka stock rom day do and method bi zaroor batana.. ... 😥😥😰😰😰😰😰😰😰

      ReplyDelete
      Replies
      1. ok koi baat nahi me apko stock rom de raha hoo uss ko odin 1.85 se flash kro

        Download stock rom

        jub download ho jaye to extract kro file ka password hai koxda.com

        extract karne ke baad odin 1.85 open kro aur pda pe click kr ke PDA_TeamleaderV1.3.tar wali file select kro ab mobile ko download mood mein on kr ke pc se connect kro aur odin mein start click krdo stock rom flash hona shuru ho jaye ga


        yaad rahe pc mein sumsung usb drivers installed hoo

        Delete
    5. Please dear an apnay mobile ko ksay thek kron? Mera to ab on hi nahi horaha hay please help me...®®®®®

      ReplyDelete
      Replies
      1. preshan hone ki koi zarorat nahi uper jo procedure bataya hai follow kro dhiyan se

        Delete
    6. Odin 1.85 ka kya MATLAB hay agar ye Odin ka version hay to plz mujhay us ka link day do mujhay nahi mil raja hay.....

      Thanks ®®®®®®®®®®®

      ReplyDelete
    7. Thanks dear meray mobile ka stock rom flash ho gya hay lekin ik problem hay jo ap nay mujhay stock rom diya tha wo 2.2 vershion ka hay jabkay meray mobile ka to 4.1 tha agar ..... And ab mobile rooted hay but recovery flashed nahi hay pehlay jo apnay tareeqa bataya tha ab phir mayn wahi treeqay say recovery flash kron ya phir ab koi aur treeqa bataym gayn because pichli bar is recovery ki waja say hi to mera mobile ka software khrab howa tha.............

      And yar agar mujhay meray mobile ka original rom(4.1.2) mil jye to kya hi bat jay kiypn phir jab kabhi bhi meray mobile ka software kharan ho jye to mayn apnay ko dobara 4.1.2 walay mobile may change.karlon.....

      Thank You So Much ®®®®®®®®®®®®

      ReplyDelete
      Replies
      1. ok ye lein 4.1 version ka link iss ko odin mein hi flash kar lo bootloader pe click kar ke file select krna and start kar dena same issi tarah jis tarah pichla rom flash kia jub 4.1 flash ho jaye to mujhay batana tub tuk me koi stable treqa find karta hoo custom recovery flash karne ka

        Download rom here

        Aur hamari site ko apne dosto ke saath share karna na bhoole shukria

        Delete
    8. G zaroor shard karayn gayn you are great

      ReplyDelete
    9. Is file ko download to kar liya hay and ab is ko extract karkay load kron zip file mayn hi odin par load kardon and please zara jaldy treeqa dhondh dayn recovery ka apki badi mehrbani hogi thanks

      ReplyDelete
      Replies
      1. extract kr ke load karna hai bhai aur me ne method find kar liya hai jub aap rom flash kr lo tub mujhay batana

        Delete
    10. Year mera mobile theek nahi ho raha hay phir wesay hi hogya hay jesay pehlay howa tha mera mobile on hi nahi horaha hay Jo apnay do Roms diye hayn so bi flash nahi ho rahay hayn Odin bar bar fail ka result day raha hay aur nichay left konay par likha ata hay kayh your all threads completed agar dosari bar start par click kron to ye likha at a hay kayh "your all threads completed " and pehli bar start par click kron to likha ata hay kayh "insert pit file" many neechay screen shot day raja hon plz Zara gore say dekh batana kayh ab kya Karna paday ga...


      [img]http://www.mobopk.com/images/screenshot2016102211.jpg[/img]

      ReplyDelete
      Replies
      1. http://www.mobopk.com/?v=screenshot2016102211.jpg

        Delete
      2. me ne picture dekh li hai jub apke mobile mein 2.2 wala rom flash ho gaya tha to uss ke baad aap ne aisa kya kia jis se mobile dobara brick off ho gaya and ye bhi batao keh kya iss waqt apka mobile phone recovery mood mein on ho raha hai agar haa to uski koi picture do odin ki jo picture aap ne di hai wo me ne dekh li hai

        Delete
    11. Yahan par pic kesay upload kartay hayn ouch samajh nai arahi hay hay......

      Ye link open krayn for photo

      http://www.mobopk.com/images/screenshot2016102211.jpg

      ReplyDelete
      Replies
      1. g me ne picture dekh li hai aap se jo poocha hai wo batao

        Delete
    12. Us Kay bad menay phir say wahi recovery wala method flash kiya tha menay socha shayad pehlay unrooted honay ki waja say recovery flash nahi hoi ho.....

      And dobara recovery flash karnay say bi wahi nateeja mila Jo pehlay mila tha(software cracked) us Kay bad ab many dobara wahi 2.2 wala ROM ya 4.1 wala ROM flash karta hon to Jo apko pic send ki so sab errors atay hayn..........

      ReplyDelete
      Replies
      1. hmmmm ok aap 4.1 and 2.2 wale rom ko again kisi aur folder mein extract karo aur phir odin se flash kro wese aisa hota nahi keh aik baar rom easily flash ho jaye aur again fail ho

        Delete
    13. And meray mobile many recovery show nahi ho rahi hay..... Recovery mod men jata hon to Samsung ka logo ata hay surf 2 second ke liye phir gayb hojata hay......

      ReplyDelete
    14. Dear bohat bar try kiya but kuch nahi ho raha hay

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai 2.2 rom wali file dobara download kar ke flash kro ho sakta hai apka pc files ko block kr rha ho ya koi virus ho kyo keh wo rom pehle theek flash haa tha

        Delete
    15. Dear menay apna mobile shop say flash karwa liya hay..... 350rs lagay thay and ab please fully trusted method bata do recovery flashed karnay ka......an meray mobile ka android version 4.0(ice creem sandwich) hay.......

      Thankx ®®®®®®®®®®

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai mobile theek ho jana tha aap aise hi preshan ho ge and iss baar ye recovery flash karo odin se and yaad rakho masla kisi bhi recovery mein ho sakta hai ye me ne android devolper ki official site se nikali hai

        Download Now

        Delete
    16. Bhai jaan wo method bata dayn please jo ap keh rahay thay kayh "maynay recovery ka trusted method dhondh liya hay"
      Please dear mujhay meray phone(Samsung glaxy S2 hd lte SHV-E120L) ka costum recovery ka fully trusted method bata dayn...........®®®®®®®®®®®

      ReplyDelete
    17. Replies
      1. g bhai ye lo apke pgone ki custom recovery file

        Download Now

        Aap ne just odin ko open kr ke pda button pe select kr ke waha ye file select kar ke start kar dena hai odin mein aur koi changing nahi karni

        Delete
    18. Bahi mere mobile ki stock recovery hi nhi aati. Vo sab Jo volume - and power method seems reset phone hota tha. Sayad usko stock recovery bolts h .Jo phone me hi aati h so plz .mera mobile an reset bhi nhi hota koi bhi method se. Computer se kese connect kare ki vo sab Sol ho jaye.plZ call se solution bta sakte ho . I have PC . my number 7015824324

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai apne mobile ka model btao konsa hai aur apka mobile orignal hai ya korean?

        Delete
    19. Agar ROM flash karni h to download option hona jaruri h . or vo to aata hi nhi

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai apne mobile ka model btao konsa hai aur apka mobile orignal hai ya korean?

        Delete
    20. Bhai photo delete to nhi hoge phle bale

      ReplyDelete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media