• Learnwithrazzak

    16 Oct 2016

    Facebook Verified Account Kese Bnaye Aur Disabled Account Kese Open Kare

    Introduction:

    Facebook pe tricks and tips waale groups mein jis ko dekho facebook verified account bnane ka poochte rehte hein.Kuch log to aise bhi hein jo facebook verified accounts sale karte hein.In logo ne iss kaam ko business bana rakha hai.Ye aik account 50 rupees mein ya 100 rupees mein sell karte hein jo log bari khushi se buy karte hein.Facebook verified accounts sale karne waalo ne bohat se accounts bana ke apne paas save rakhe hote hein phir jub kisi ko buy karna ho uss ko email password diya jata hai aur raqam mobile balance ki soorat mein pay kar di jati hai.






    Facebook Verified Account Kya Hai Aur Iss Ka Kya Faida Hai:

    Haqeqat mein fb verified account wo hein jin ke sath blue tick ka icon bana hua hota hai kyo keh wo na to kabhi hack ho sakte hein aur na hi block ho sakte hein.Aise accounts facebook pe kuch special logo ke hi hein jo United State mein rehte hein.Ye wo log hein jo facebook ko chala rahe hein iss lye un ke account pe blue tick ka nishan laga hota hai.



    Aik simple facebook account hota hai jo hur koi create kar sakta hai lekin jub koi uss pe report karta hai to wo bohat juld block ho jata hai.Facebook aise accounts ko fake accounts manti hai aur aise account ke hack hone ka khatra bhi bohat zayada hota hai.



    Asian countries jese keh Pakistan,India,Bangladesh etc mein verfied account wo hai jis pe hum apna koi government id upload kare aur agar facebook uss ko accept kar le to hamara account kafi hud tuk safe ho jata hai.Ye account itni jaldi block nahi hote mera facebook account bhi issi tarah se hi banaya gaya hai jo mein  pichle 4 saal se use kar raha hoo aur in 4 saalo mein ye sirf 1 baar block hua hai jis ko me ne easily recover kar lia tha.





    Hum Kesa Facebook Account Banaye Ge:

    Iss post mein me ussi account ko bnane ka method share karne ja raha hoo jis method se me ne apna khud ka account banaya hai aur issi method se sub apna facebook account secure karte hein.Iss post ko follow karne ke baad kisi bhi user ko facebook account buy karne ki zarorat nahi pare gi.




    Requirements:

    Facebook verified account banane ke lye jin cheezo ki zarorat hai wo ye hein:

    1.Aik simple new facebook account

    2.Aik government id proof jo keh apka identity card,school card,credit card etc ho sakta hai neeche me aik link de raha hoo jis mein aap log check kar sakte hein ke facebook kon kon se proof accept karti hai



                                   What types of ID does Facebook accept?

    3.Facebook account disable karne ke lye aik code jo issi post mein mile ga

    4.A good result camera jo apke mobile phone mein bhi ho sakta hai

    5.Some basic knowledge




    Facebook Verified Account Kese Banaye:

    1.Sub se pehle aik new facebook account bnaye jis mein apna real name likhe jo apki government id pe hai(post ke end pe me ne aik note diya hai wo zaror parhe because uss ke bghair apko problems hoo gi)


    2.Account ki date of birth bhi wohi likhe jo government id pe hai

    3.Profile Picture mein apni koi bhi photo laga dein yaad rahe photo apni honi chahye

    4.Jub sub kuch set ho jaye to ab hum ne iss account ko aik baar disable yani block karna hai jis ka method me neeche bata raha hoo





    Apna Facebook Account Verify Karne Ke Lye Block Kese Kare:

    1.Jis account ko block karna hai uss ko open kre aur facebook pe kisi bhi person ko find kare

    2.Jub koi person find kar lein to uss ko message send karna ho ga

    3.Message mein hum ne aik code send karna hai jo ye hai





    4.Code send karne ke baad aik baar apne account ko logut kar ke dobara login kare jis se account block ho jaye ga 




    Facebook Verified Account Kese Banaye2:

    Ab hum step no4 se article ko resume karte hein

    5.Jub account block ho jaye to government proof upload karne ka kahe ga

    6.Ab apni government id ki camera ki madad se aik picture capture kare jis mein naam,photo and date of birth saaf nazar aa raha hoo

    7.Picture lene ke baad jaha facebook account government proof mang raha hai waha iss image ko upload kar de


    8.Iss ke baad humein 24 hours wait karna pare ga agar facebook ye notification send karta hai jo me screenshot mein de raha hoo to account verified ho jaye ga



    9.Agar iss ke ilawa koi notification ho to uss ki image comment mein de me solution batao ga





    Note:

    1.Iss tutorial ka miss use na kare aisa na ho keh aap 1 ki bajaye 5 ya 10 ids bnao kyo keh ye facebook ke rules ke khilaf hai

    2.Logo ke zayada accounts bnane ki waja se pakistan and india mein aaj kul real government id hi reject ho rhe hein agar apke saath bhi aisa ho to bar bar government id upload karte rahe

    3.Agar account verified karne ke baad kabhi bhi block ho to dobara proof upload kar ke reactivate kre

    4.Iss method se aap apna mojooda account bhi verify kar sakte hein lekin uss mein risk ye hai keh uss ko aik baar block karna hai aur ho sakta hai baad mein government id accept na ho aur account zaya ho jaye.






    Ye post apne friends ke saath zaror share kare aur agar verified account bnane mein koi masla aa raha ho to comment kar ke details se apni problem bataye shukria.

    26 comments:

    1. Replies
      1. Bhai hamara aik account disebale ha muje tarika bataye

        Delete
      2. bhai same method hai disable account ko open karne ka

        Delete
      3. My brother's account has been temporarily locked and he successfully answers the security question and changes his password, yet every time he logs back in with his new password, his account is still locked. How does he go about unlocking his account? Any help would be much appreciated! Thanks.

        Delete
    2. Thanks for sharing Bro yar mein apna real account verify karna chahta hun masla ye hai ke mere CNIC card par mera naam Muhammad Gulzar hai aur mein ne Facebook account Malik Gulzar ke name se bana hai baqi date of brith same hai es ke bare mein batao kuch

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai aap pehle facebook pe apna name change kar lo phir verify kro no problem

        Delete
    3. bro....mere pass government proof hai lekin other name she
      mera fb I'd ghost name she hai use Kaise recover Kate
      plzz vah mera personal a/c hai

      ReplyDelete
      Replies
      1. Sorry brother wo account recover nahi ho ga iss liye to kehte hein keh hur account pe apna real name hona chahye ab ghost name ka to koi bhi id card nahi hai poore world mein

        Delete
    4. bhai agar fake proof bana na hoto .

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai fake proof banane ka trick me share nahi kr sakta bcz iss ke liye aap logo ko photoshop ka basic knowledge hona zarori hai lekin yaha buhat kum log hein jin ke paas pc hein aur wese bhi fake proof bohat kum accept hote hein.

        Delete
    5. BRO MERA ACCOUNT DISABEL HO GAYA HAI SO MUJHE SAB ATTA HAI BUT AIK CHEAZ NAI FB WALO KO REQST KAISY KYU (MEANS) JAISY K HUN KEHTY HAI (HELO SIR) SO IS SY AAGY MUJHE ENGHLISH NAI ATI 😞

      ReplyDelete
      Replies
      1. bhai apne words mein likh do itna bara masla nahi hai

        Delete
    6. message not sending [Action Blocked]
      how this possible ? update the method.

      ReplyDelete
    7. bhai mera facebook ki id Nawab amir khan ke name se hai
      aur mera aadhar card me sirf mohd amir hai
      to kiya bhai mera account verified ho jayega bhai

      ReplyDelete
    8. 1.- Bhai meri id diseble ho chuki h ab mere aadhar me onliy first name h or Date of birth me b onliy 1998 hai kya ye accept hojayega..
      2.- kya aadhar (identy) k aage or piche dono ki pic. Click krke bhejni pdegi ya onliye samne ki pic. Bhejni pdegi
      i m in so stress.. Bhai
      pliz bhai jaldi replay krna

      ReplyDelete
      Replies
      1. sirf front side ki bhejo aur upload kar do 70% chances hein keh theek ho jaye gi.

        Delete
    9. Bhai kisi fb page per hum post kaise kare without admin

      ReplyDelete
    10. Enter your comment...bhi Mera account disable hy but wo jungle name I'd thi open Kar do

      ReplyDelete
    11. Hi. You did a great job I liked your website and your posts. Wish you all good luck.
      PPC Services Company IndiaPPC Services in Delhi

      ReplyDelete
    12. Bro mene account banaya or friend search krne ke bad msg bhi kiya fir logout kiya uske bad log in pr account block ni hua

      ReplyDelete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media