Starting Words:
Introduction:
Iss tutorial mein me aik bohat hi easy tareqe se poore android ka backup aur baad mein uss ko theek karne ka method batao ga.Poore android ka backup bnane ka matlb hai keh apke phone mein jitni apps installed hein aur jo unka data hai uss saare data ka backup create ho ga.
- Kisi Bhi Android Application Ko Android System App Bnaye Jo Kabhi Delete Na Ho
- Change Your Android Phone Bootanimation(Boot Logo) Simple Method
Hum android phone ki mojoda halat ki aik poori image bnaye ge jiss ko aap kisi bhi waqt restore kar sake ge.Ye image mobile ke memory card mein save ho gi jis ko aap apne computer mein ya kisi bhi jagha mehfooz kar sake ge.
Benifits:
Backup bnane ke kuch fayde ye hein:
1.Backup create karne se apke messages aur call logs etc bhi save hoo ge
2.Backup se mobile ki internal storage ki all files and folders ka backup bne ga agar kabhi ghalti se data format ho jaye to backup se dobara uss ko recover kia ja sakta hai
3.Sub se bara faida ye hai keh agar kabhi mobile ka software kharab ho jata hai to backup se mobile apni pichli halat mein wapis aa jaye ga
4.Maan le apke paas galaxy s4 phone hai aur aap ne uss ka backup bnaya hua hai to aap ussi backup ko kisi doosre s4 mobile pe bhi use kar sakte hein
Requirements:
1.Rooted android phone root karne ke methods already hare kiye ja chuke hein
- How To Root Android Mobile Simple Method For All Androids Hindi/Urdu
- Universal Method Of Android Rooting For All Kinds Of Mobiles
2.Custom recovery installed honi chahye jis ke lye pehle hi 2 posts likh chuka hoo
- Android Mobile FLashing Part2 And How To Flash Custom Recovery
- din Kya Hai Aur Odin Se Samsung Phones Mein Custom Recovery Flash Karna
3.Aik memory card jis mein 1gb tuk free space ho
Stock Rom Ka Backup Kese Banaye:
1.Sub se pehle phone ko recovery mood mein boot karein jo volume up,home and power button se kar sakte hein
2.Recovery mood mein jaane ke baad backup and restore ko click kare
5.Jub backup bun jaye to phone restart kre aur memory card open kre jis mein clockworkmod ke naam ka aik folder ho ga jis mein phone ka backup save hai
Backup Ko Restore Kese Kare:
Backup to bun gaya ab agar mobile phone mein kisi type ka koi masla aye to iss backup ko kese use karna hai uska method ye hai:
1.Phone recovery mood mein on kare
2.Ab backup and restore ko click kare
3.Iske baad restore from external card ko press kare aur jaha clockworkmod wala folder hai uss ko select kar lein
4.Ab restore hona start ho jaye ga aur jub complete ho jaye to mobile ko reboot kare
5.Congratulations apka phone apni pehle wali condition mein wapis aa chuka hai
Agar iss method mein kisi type ka koi doubt ho to comment kar ke pooche me apka doubt clear kar doo ga aur post ko facebook pe zaror share kare.
Bhai mn jb rom manager sy recovery mod mn geya phir jb back up par click kiya tu No Command likha a geya qmobile a910 hai
ReplyDeletebhai aap stock recovery istmaal kar rahe ho apko pehle custom recovery flash karna ho gi tub hi aap backup le sake ge
DeleteRead:
How To Flash Android Mobiles Part2 In Hindi/Urdu
For Samsung
Odin Kya Hai Aur Odin Se Samsung Phones Mein Custom Recovery Flash Karna
Bhai mn ny app ko fb par pic send kar de hai app dhky aur phir bataiy khan Asfand k naam sy
ReplyDeleteis topic mein aik galti ki hai users ko yeh nahi bataya ke backup orignal recovery se nahi banta custom recovery se banta ha so first install custom recovery in your phone
ReplyDeletethank you very much for suggest me lekin bhai me already aik post mein bata chuka hoo
DeleteNice bhai
ReplyDeleteAur bhai mere pas lg g2 vs980 phone hai us main WiFi Bluetooth open nhi horhe bhai iska hal bta den
kya ap ne reset kr ke check kia
DeleteHuawei honor 3c ka backup ka option e nhn ata recovery mood m on krne se
ReplyDelete