Introduction:
Assalam.o.Alaikum Hy visitors umeed karta hoo aap sub friends bilkul theek hoo ge aur hamari site ke tutorials read kar rhe hoo ge.Kabhi Kabhi hamara bohat important data hamari kisi disc mein para howa hota hai aur agar wo disc ghar mein kisi bache ke haath lug jaye to bache bilkul disc ko kharab kar dete hein aur disc pe poori tarah se scratch lug jaate hein.Phir jub uss disc ko pc mein dala jaye aur data copy karna ho to ya to aisa hota hai keh wo disc chalti hi nahi aur agar chul jaye to uss ka data copy karne pe error show hota hai.
Aaj me apke lye 3 aise softwares laya hoo jin ke istmaal se aap kisi kharab ya scratched disc ka data easily apni hard drive mein copy kar sakte hein.in sub softawres ko use karna bohat hi aasan hai aap ne just karna ye hai keh software open karna hai apne rom ko select karna hai aur copy select kar ke hard drive mein kisi bhi jagha pe data ko paste kar dena hai.
Uper waale paragraph mein shayed aap logo ko meri baat samjhne mein mushkil hui ho lekin jub aap log ye software download kar ke use kare ge to sub kuch aap ko samjh mein aa jaye ga.Aik baat aur wo ye keh in sub softwares ko download karne ke lye apko koi fees pay nahi karna pare gi ye bilkul free hein aur inn mein se aap kisi bhi software ko use kar sakte hein.
CD Recovery Toolbox:
Scratched disc ya cd se data copy karne ke lye ye software sub se behtreen aur istmaal karne mein bohat aasan hai.Iss ko download karne ke lye aap neeche download button pe click kar sakte hein

Cd Check:
Ye software bhi scratched cd se data copy karne ke lye bohat acha hai.Iss ki help se aap kharab disc se aik aik folder ko bhi copy kar sakte hein aur ye software bhi bilkul free hai.Download karne ke lye neeche link ko click kar sakte hein.
Dead Disk Docter:
Kharab disk se data copy karne ke lye ye 3rd software bohat zayada acha to nahi hai lekin copy zaror kar sakta hai.Iss mein hum ko kharab cd se aik aik folder copy karna parta hai aur neeche dye huwe link se download kar le
Umeed karta hoo apko ye post aur 3 softwares bohat pasand aaye hoo ge.Hamari site ko apne friends ke saath share karte rahein aur agar kisi type ki koi problem ho to zaror comment kre.
No comments:
Post a Comment
Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.