• Learnwithrazzak

    6 Oct 2016

    Android Phone Mein Aik Jesi Jitni Marzi Applications Install Kare (Fb,Skype Etc)

    Introduction:


    Internet pe humein kabhi kabhi aik hi type ki application ko 2 baar ya 5 baar install karna parta hai.Aisa karne ki bohat saari wajohaat ho sakti hein lekin sub se bari waja hai facebook,whatsapp ya in jesi applications ke 2 account ya in se zayada accounts ko aik hi waqt me login karna.






    Social media pe aksar groups mein aap logo ne wo photo to zaror dekhi ho gi keh aik mobile me bohat saari fb lite apps installed hoti hein aur saath likha hota hai keh ye trick kis ko chahye lekin iss ka method koi bhi nahi btata hai.2 din pehle aik friend ne mujhay request ki thi keh ye trick post kro so me ye method aaj aap logo ke saath share kr rha hoo.







    Agar aap log bhi kisi post ki request karna chahte hein to Posts Request Area waale pasge pe request kar sakte hein.Aap log jo post bhi request kro ge hum bohat juld wo post write kare ge.Ok ab time waste kiye bghair hum asli topic ki taraf  aate hein.







    Requirements:

    1.App cloner application jo play store se by karna pare gi lekin me free mein ap logo ke de raha hoo



                                           DOWNLOAD

    2.Aik android phone jis mein applications ko clone karna hai

    3.A simple brain for make clone apps




    Android Phone Mein Applications Ko Clone Kese Kare:

    1.Sub se pehle neeche dye huwe link se app cloner application download kare

                                 DOWNLOAD NOW

    2.Download karne ke baad apne phone mein install kar le

    3.Open Karne ke baad apko 2 tabs show hoo gi aik installed apps aur doosri cloned apps simple installed apps pe click kre



    4.Ab me skype ko clone kar raha hoo iss ke lye ap screenshot follow kre








    1.Yaha new skype ka name de jese skype1
    2.Iss ko aise hi rehne de
    3.Yaha pe aap apni skype application ka icon change kar sakte hein
    4.Iss jagha ko mark karne se icon flip ho ga wese mere khayal mein icon flip karna theek nahi
    5.Yaha icon colour change kar sakte hein
    6.Iss jagha icon ko remove kia ja sakta hai
    7.End pe saari setting karne ke baad tick waale icon ko press karna hai


    5.Ab apki application clone hona start ho jaye gi




    6.Jub application clone ho jaye to iss ko install kar lein aur check kre



    7.Ab uper step3 ko again read kre aur iss baar cloned apps ko click kare

    8.Yaha pe apko wo application show ho gi jo clone ki thi ab iss ko again clone kre lekin iss baar iska naam skype2 ya facebook2 rakh dein

    9.Issi tarah aap jitni baar chahe aik hi application ko jitni baar marzi clone kar sakte hein






    Umeed karta hoo ye tutorial sub ko bohat pasand aaya ho ga apne friends ke saath aur facebook and twitter pe zaror share kare aur agar koi problem ho to comment kar ke pooch le.

    No comments:

    Post a Comment

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media