Introduction:
Android Battery Timing Kum Hone Ki Kya Waja Hai:
Jub hum apne mobile mein koi application ya game install kar ke play karte hein aur play karne ke baad uss ko exit kar dete hein to hum samjhte hein keh hum ne uss application ko close kar diya hai lekin haqeqat mein aisa nahi hota hai.Aik bar jo application hamare phone mein install ho jaati hai wo hamesha ke lye background mein running rehti hai jis ki waja se phone ki battery timing aur speed/performance slow ho jati hai.Android phone ki battery timing kum hone ki sub se bari waja background mein running applications hein.
Android Built In Feature To Stop Background Running Apps:
Background mein running applications ko stop karne ke lye android ka aik built in feature hai jis ki madad se background applications ko stop kia ja sakta hai.Aisa karne ke lye aap Setting mein ja ke Applications wali tab mein jaye waha pe jis application ko stop karne hai uss ko click kare aur force stop ko ok kar dein.Aisa karne se wo application background mein run hona stop kar de gi.
Problems Of Android Built In Feature:
Android phone ke built in feature ki madad se background running apps ko stop to kia ja sakta hai lekin iss tarah aik aik application ko stop karne se hamara bohat saara time zaya ho jaye ga aur jub hum mobile restart kare ge to wo applications dobara se background mein run ho jaye gi aur dobara se humein unko stop karna pare ga.
Hum Iss Post Mein Apko Kya Bataye Ge:
Jese keh uper mene bataya keh hur app ko alug alug force stop karna mushkil hai aur time wasting hai to aaj me iss post mein issi problem ka solution le kar hazir hua hoo.Me sikhao ga keh kese aik hi baar apni marzi ki saari background running applications ko stop kia jaye aur iss tarah stop kia jaye keh mobile ko restart karne ke baad wo aaps automatic stop ho jaye aur sirf wo uss waqt hi start hoo jub hum chahe.
Requirements:
Ye karne ke lye humein kon kon si chezo ki zarorat ho gi unki list ye hai.
1.Greenify application for android jis ka download link apko issi post mein mile ga
2.Aik rooted android phone. Phone ko root kese karna hai uss ke lye aap ye posts read kar sakte hein
- How To Root Android Mobile Simple Method For All Androids Hindi/Urdu
- Universal Method Of Android Rooting For All Kinds Of Mobiles
3.Xposed Installer application jis ka download link apko issi post mein mile ga
4.Minimum Android Version 4.1 hona chahye agar iss se kum ho to apko greenify app ka koi old version use karna pare ga
5.Some Basic Knowledge(Optional)
Download Links For All Apps:
Neeche di gai links se aap applications download kar sakte hein
Greenify Application:
Agar aap internet se kisi aur jagha se ye application download karein ge to uss mein extra features nahi hoo ge aur un extra feautures ke lye apko iss ka donation package buy karna pare ga lekin me apko aisa download link provide karo ga jo already buy kia gaya hai aur uss mein all features available hein.Agar wo extra features available na hoo to aap system apps jese keh google play store,youtube,gmail,google play services etc jesi apps ko stop nahi kar sakte.Iss ke ilawa mobile restart hone ke baad automatic apps stop nahi hoo gi.So meri di gai link se iss ko download kare.
Xposed Installer Application:
Greenify application ke better work karne ke lye hum ko xposed installer application bhi download karna pare gi jo aap unki official website se download kar sakte hein uska download link bhi me provide kar raha hoo.
Tutorial Of Greenify And Xposed Installer For Hibernate Apps:
Ab aate hein main part ki taraf ke in applications ko download kar ke use kese karna hai
1.Sub se pehle greenify aur xposed installer dono apps ko phone mein install kar lein
2.Ab xposed installer ko open kare aur framework mein install update ko click kare
2.Jub Install update success ho jaye to modules tab mein jaye aur greenify app ko tick mark kar dein
3.Ab aik bar apna mobile phone restart kar dena hai
4.Restart karne ke baad greenify ko open kare aur + waale icon ko click karein
5.Ab wo apps show hoo gi jo apke phone mein installed hein un mein se jin ko aap ne stop karna hai un ko select kar ke tick waale icon ko press kar dena hai
6.Ab hibernation shortcut create kar lein taa keh jub bhi aap uss pe click kare selected running apps automatic stop ho jaye
7.System apps ko hibernate karne ke lye experimental features mein ja ke hibernate system apps ko tick mark kar dein
8.Iss ke ilawa bhi experimental features mein bohat se options hein jo use karne ke baad apko samjh mein aa jaye ge
So friends kesi lagi ye post.Me ne poori details ke saath samjha diya hai agar ab bhi greenify, xposed installer ya kisi step se bhi issue aa raha ho to comment kar ke zaror poocha kare.
Greenify application ke better work karne ke lye hum ko xposed installer application bhi download karna pare gi jo aap unki official website se download kar sakte hein uska download link bhi me provide kar raha hoo.
Tutorial Of Greenify And Xposed Installer For Hibernate Apps:
Ab aate hein main part ki taraf ke in applications ko download kar ke use kese karna hai
1.Sub se pehle greenify aur xposed installer dono apps ko phone mein install kar lein
2.Ab xposed installer ko open kare aur framework mein install update ko click kare
2.Jub Install update success ho jaye to modules tab mein jaye aur greenify app ko tick mark kar dein
4.Restart karne ke baad greenify ko open kare aur + waale icon ko click karein
6.Ab hibernation shortcut create kar lein taa keh jub bhi aap uss pe click kare selected running apps automatic stop ho jaye
8.Iss ke ilawa bhi experimental features mein bohat se options hein jo use karne ke baad apko samjh mein aa jaye ge
So friends kesi lagi ye post.Me ne poori details ke saath samjha diya hai agar ab bhi greenify, xposed installer ya kisi step se bhi issue aa raha ho to comment kar ke zaror poocha kare.
dear ye experimental feature kahan par hay menay apni system apps ko stop karna hay
ReplyDeleteLove what you're doing here guys, keep it up!..
ReplyDeleteassistenza apple roma