Blog Ka Menu bar Kya Hota Hai:
Kisi bhi blog ke header mein yani uper ki janib jo categories ya pages hote hein wo blog ka menu bar hota hai jese keh mai apne blog ke menu bar ka screenshot attach kar raha hoo
Ab tuk apko 100% pata chul gaya ho ga ke menu bar kya hota hai.Ab sawal ye paida hota hai keh hamare blog mein ya to menu bar hota hi nahi aur agar hota bhi hai to uss mein hum apni marzi ke page ya categories add nahi kar paate hein.Ye buhat hi easy kaam hai aap sub ne bus mere dye ge steps ko follow karna hai
Agar aap ke blog ka menu bar nahi hai to pehle apne blog ke lye koi achi si template use krein jis se apke blog mein menu bar show hone lage ga.Template ko change karne ke lye meri Change Blog Template wali post read kre aur jub menu bar show ho jaye to iss ko edit karne ke lye neeche dya gaya tutorial read kre
Menu Bar Ko Edit Kese Kia Jata Hai:
1.Sub se pehle blogger mein ja ke template mein ja ke edit html ko click kre
2.Ab kisi bhi khali area mein cntrl f press kre jis se aik search box show ho ga
3.Ye main step hai theek se follow krein
Iss search waale box mein ap ne wo word likhna hai jo ap apne menu bar mein se edit krna chahte hein For example apki blog ke menu bar mein games likha hua hai to Downloads to ap seach box mein downloads likh ke enter kre ge to apko downloads likha hua nazar aye ga ap download ki jagha apni marzi ka page ya category jo aap chahte hein wo word likhe yani downloads ki jagha aap Android Apps category add karna chahte hein to Downloads ko clear kr ke Android Apps likh dein aur ussi line mein apko # likha hua nazar aye ga uss # ko clear kar ke apni android apps wali category ki link add kre.Screenshot ko follow kre
4.Issi tarah jo word aap marzi apne menu bar se edit kar sakte hein.Pehle search kre phir word replace kre phir # ki jagha category ya page link paste kre
5.Agar aap menu bar mein koi new category ya page add karna chahte hein to neeche dye ge code ko use kar sakte hein
Mera label posts side bar me jo label bni ha sirf usi me show ho rhi ha menu waly me nh why??
ReplyDeletebhai pehle apko koi acha sa template select karna ho ga blog ke lye uske bad uss template ke menu bar ko edit karna hai jo keh mein iss post mein bata chuka hoo
Delete