
Kya aap ne iss se pehle custom domain ka naam suna hai surely ap ne zaror suna ho ga aur agar ap aik new blogger hein to apko abhi tuk custom domain ke baare mein poori information nahi ho gi.Chalo koi baat nahi mai aaj apko iss ki all information detail ke sath bta deta hoo keh custom domain kya hai iska kya faida hai
Custom Domain Kya Hai:
Jub hum aik new blog bnate hein to uska url yani link kuch iss tarah hota hai yourblog.blogspot.com Ab iss url se ye saaf pata chal raha hai keh ye blog blogspot(blogger) pe bnaya gaya hai.Ab ap mere blog ko dekhe http://www.learnwithrazzak.com ye bhi blogspot pe hi bnaya gaya hai lekin iska url blogspot wala nahi hai because me ne iss pe custom domain lagaya hua hai to issi url ko change karna custom domain hota hai.Mai ne bilkul simple words mein ap sub ko samjhaya hai taa keh apko iss ko samjhne mein koi preshani na ho
Custom Domain Ka Kya Faida Hota Hai Aur Blog Ke Lye Kyo Zarori Hai:
Blog pe custom domain ke buhat saare faide hote hein jin mein se kuch mai ap ko bata raha hoo
1.Apka blog website ki tarah nazar aata hai
2.Custom domain se ap google adsense ko 6 month se pehle apni blog pe approve karwa sakte hein
3.Agar custom domain select na kia ho to apke blog ka url buhat lamba hota hai jo users ko yaad rakhne mein problem hoti hai
4.Apki blog ka rank improve hota hai
5.Agr kisi site pe aap apni blog ka link share nahi kar saktr to custom domain se aap link hur jagha share kar sakte hein
6.In ke ilawa bhi iske buhat saare faide hein jo apko slowly slowly khud ba khud pata chul jaye ge
Free Custom Domain Kese Lete Hein:
Wese to hum custom domain ko buy bhi kar sakte hein jis se hum ko .com domain milta hai lekin agar free mein domain lena ho to .tk domain best rehta hai jese abhi meri site hai www.itonlinefree4u.tk
Me ne free domain lia hai iss lye end pe .tk hai aur agar mai domain buy karta to end pe .com hota
Chalo start karte hein keh blog ke lye custom domain kese lena hai
1.Sub se pehle freenom.com ko open kre
2.Iske bad jo url aap apne blog ke lye use karna chahte hein wo type kr ke check availability pe click kre jese mai ne apne blog ke lye itonlinefree4u likh ke check availability pe click kia tha
3.Ab yaha se apna domain select kre jo ap use karna chahte hein aur get now pe click kar dein mere khayal mein .tk wala thek hai
4.Ab Checkout ko press kre
5.Checkout pe click karte hi ap se poocha jaye ga keh aap ne kitne time ke lye domain lena hai waha pe 12 months ko select kar ke continue kar dein
6.Ab agar apka freenom.com pe pehle se account hai to sign kar lein aur agar nahi to apna email daal kar verify email adress pe click karte hi apko freenom pe account bnane ka kaha jaye ga ap account bna ke login kar lein
Blog Pe Domain Ko Kese Set Karte Hein:
1.Freenom.com mein apna account login kar ke My domains ko click kare
2.Ab apki domain show ho gi uss ke saamne manange domain ko click karna hai
5.Ab aik box show ho ga uss mein wo url daale jo hum ne freenom.com mein select kia tha jese mai ne www.yourblogname.tk select kia tha
1.Name ko khali rehne dena hai type mein A select karna hai ttl mein 300 likhna hai aur target mein 216.239.32.21
2.baqi saare records bhi issi tarah hein bus 2nd record ke target mein 216.239.34.21 3rd ka target 216.239.36.21 aur 4th ka 216.239.38.21
12.Ab 5 minutes wait kar ke blog error waale page mein again save ko click kar dein jese hi save kre ge apki domain add ho chuki ho gi
Agar apko kisi step se koi problem ho to comment kr ke pooch le.
but ye only for 1 year ha uske bad kia krna hoga ?
ReplyDeleteuske baad iss domain ko renew karna pare ga agle year ke lye
Deletebhai 1 year ke bad hum uss domain ko renew kar le ge matlb next year ke lye phir se wohi domain submit kr sakte hein
ReplyDeleteThanks
ReplyDeletewelcome
Deletebhai aslam o alaikum bhai mujhe 8 no k bd wala jo bhi he wo smjh nh aaya jis ki wajah se mera domain nh bna plz explain kr den
ReplyDeletebhai step8 mein hum ne freenom mein aik record add kia hai blogger se dekh ke ab aik aur record add karna hai blogger se dekh ke aur baqi ke 4 records hum ne apne paas se se add karne hein jo keh step10 mein bata chuka hoo step9 mein blogger page jaha pe domain lagani hai waha error show ho raha ho ga waha se dekh ke step9 wala record add karna hai
Delete