
Friends ap sub ne dekha ho ga keh aksar websites ya blogs pe social media buttons lage hote hein aur jub hum un pe click karte hein to uss se website ke admin ka facebook page ya facebook profile twitter profile ya youtbe channel wgera open hota hai.Agar abhi tuk apko nahi pata ke social media buttons kya hote hein to ap meri website pe right side mein uper kuch buttons dekh rahe hein facebook,twitter,google plus and youtbe ke wohi social media buttons hein.
Agar aap un mein se facebook ke button pe click kro ge to meri facebook profile open ho gi twitter pe twiiter ki google plus pe google plus ki aur youtube pe click karne se mera youtube channel open ho ga.Better Understanding ke lye mai neeche image bhi attach kar raha hoo apne social media buttons ki.
Blog Pe Kese Social Media Buttons Add Karein:
1. Sub se pehle to layout ko click karein
2. Sidebar right mein Add a Gadget ko press kre
3. Is ke bad html java script ko ok karna hai
4. Ab Title aap apni marzi ka word likh dein jese keh mai ne Connect With Us likha hua hai aap meri site ke social media buttons ke uper dekh sakte hein
5. Neeche waale box mein ye code paste karna hai
6. Ab iss code mein aap ne meri facebook id ki jagha apni facebook id meri twitter id ki jagha apni twitter id meri google plus ki profile ki jagha apni profile aur mere youtube channel ki link ki jagha apne channel ki link add karni hai
7. Agar aap ki ye sari ids nahi bani hein to bana lein because ye buhat important hoti hein facebook and twitter to sub ki bani hoti hai finally all steps ke bad save kar dein aur apna blog check karein uss mein social media buttons add ho chuke hoo ge
CLICK HERE TO WATCH VIDEO TUTUORIAL
Umeed hai aap sub logo ko ye tutorial buhat pasand aya ho ga agar ab bhi kahi se problem ho to comment mein pooch sakte hein aur facebook pe post zaror share karein shukria.
No comments:
Post a Comment
Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.