• Learnwithrazzak

    19 Mar 2017

    Surface Web, Deep Web Aur Dark Web Kya Hein (Interesting Information)

    Introduction:

    Hello friends kese ho aap log I hope keh aap sub bilkul thek hoo ge. Kya aap ne kabhi ye socha keh hum jo internet istamaal karte hein wo kitne percentage hota hai aur baqi ka internet kaha surf hota hai. Dosto aaj hum issi ke baare mein baat kare ge aur jaane ge keh surface web, deep web aur dark web kya hein. Poore internet ko 3 parts mein divide kia gaya hai jo keh surface web, deep web aur dark web hein. To chalye jaante hein keh in sub parts mein kya kya hota hai.





    What is Surface Web:

    Friends surface web hamare internet ko wo hissa hai jis ko hum sub log use karte hein. Internet ka ye part visible hai aur dunya mein koi bhi use bghair kisi permission ke iss ko use kar sakta hai. Surface web mein wo internet aata hai jis ki saari information hume google se mil jati hai. For example agar hum google pe facebook likh ke search karte hein to hume facebook ki website show ho jati hai aur ye saara ka saara surface web hi hai. Dosto surface web hamare poore internet ka only 5% internet hai. Yani iss ka matlb ye keh poori dunya mein only 5% hi internet use kia ja raha hai jo keh hur insan ke liye hai aur koi bhi iss ko use kar sakta hai. Ab baat ye aati hai keh baqi ka 95% internet kaha jata hai to chalye issi ke baare mein baat karte hein.





    What is Deep Web:

    Deep internet hamare internet ka wo part hai jo hur insan ke liye nahi hai. Ye part sirf limited logo ke liye hi hai. Deep web mein wo internet aata hai jo hum kisi search engine jese keh google, bing, ask ya yahoo etc se search nahi kar sakte. For example meri www.learnwithrazzak.com website me ne agar google mein index na ki ho to aap log agar google mein jitni bhi search kar lo to aap ko meri website show nhi ho gi jub tuk keh me apni website ka url ya link aap logo se share na karo. Deep web internet ko use karne ke liye aap ko uss deep web ka aik specific url ya link pata hona zarori hai jis ko aap surf karna chahte hein. 



    Deep web mein hamari government ki secret websites, banks ki websites, kisi organization ya company ki information hoti hein jo sirf specific logo ke liye hi zarori hoti hein aur kisi doosre insan ko in ka nahi pata hona chahye. Issi liye deep web wali websites ko google etc mein add nahi kia jata hai taa keh government ki secret information kisi ko pata na chul sake.


    Deep web ko hum easily kisi bhi browser ke sath use kar sakte hein. Agar aap kisi company ya organization mein job karte hein aur aap ko un ki website ka pata hai jo keh deep web hai to aap iss ko use kar sakte hein aur ye bilkul legal hai. Lekin agar aap wo website kisi unknown person ke sath share karte hein to ye illegal hai aur aisa kabhi bhi na kare.




    What is Dark Web:

    Dosto yaha tuk to thek hai keh deep web wo internet hai jo sirf specific logo ke liye hai aur wo hi iss ko use kar sakte hein chahe wo kisi company ke employers hein ya kisi bank mein kaam karne waale log. Ab ye dark web kya hai to chalye iss ke baare mein baat karte hein. Dosto dark web internet ki wo kali dunya hai jah sub illegal kaam hote hein. Ye completely illegal hai. Internet ka ye part bohat hi kum log use karte hein. Yaha pe sub ke sub illegal kaam hote hein jese keh kisi ko bol ke kisi doosre insan ko qatal karwa dena. Yaha pe weapons and drugs etc bhi sale kiye jaate hein. 



    Dosto agar baat aye dark web ko use karne ki to koi bhi simple user iss ko use nahi kar sakta. Iss ko use karne ke liye website ke url ke sath sath tor browser  ka hona bohat zarori hai. Tor browser ke bghair dark web ko istmaal nahi kia ja sakta hai. Dosto tor browser pe me already aik post likh chuka hoo jis ko aap meri website se read kar sakte hein.




    Dosto me aap ko hurgiz recommend nahi karo ga keh aap log kisi dark web ka use karo. Ye completely illegal hai aur agar koi insan dark web ko surf kar leta hai to uss ke sath bohat saari problems ho sakti hein. Ho sakta hai  uss ka computer hack kar ke uss ki location find kar li jaye aur uss insan ko kisi na kisi tarah nuqsan pohnchaye jaye. Issi liye kabhi bhi dark web ko use na kare. Me ne ye post only for educational purpose ke liye likhi hai taa keh aap logo ke ilum mein izafa ho.





    Final Words:

    Agar aap ko ye post pasand aaya to neche share waale button pe click kar ke hamara post facebook twitter pe zaror share kare. Agar aap ka koi question hai to aap comment kar ke pooch sakte hein. Ab issi ke sath mujhy ijazat dijye Khuda Hafiz.

    12 comments:

    1. bro....post to achha hi tha
      but i think Aap ne marina web ko miss kar diya
      thora bahut mariana web ke baare me bta dete bro...... :)

      ReplyDelete
      Replies
      1. mariness web ke baare mein phir kabhi baat kare ge

        Delete
    2. Mariana web ko milake 4 parts ho jayega kya internet ka?

      ReplyDelete
      Replies
      1. инι мαяιαиα ωєв тσ ∂єєρ ωєв мє нι αα נααтα нαι
        вυт мαι ѕυяє инι нυ
        ѕнαуα∂ 4 ραят внι нσ ѕαктα нαι :)

        Delete
    3. Nice article, here is a video I found on youtube explaining how to access the deep web with links in under 2 mins: https://www.youtube.com/watch?v=4ioWJMXj9BM but take care when entering the deep web

      ReplyDelete
    4. A very interesting and informative hub about something that until recently I didn't know existed. Thank you for sharing your knowledge and expertise with us :D

      Voting up and hitting relevant buttons on my way out

      ReplyDelete

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media