• Learnwithrazzak

    15 Dec 2016

    Run Youtube Without Google Play Store And Why People Dislike Play Store

    Introduction:

    Welcome back friends sorry for the late post.Hum ko aksar android applications install karne ke liye aur un ko use karne ke liye google play store and google play services ki zarorat hoti hai jin mein se youtube bhi aik aisi hi application hai.Aaj hum baat kare ge keh kese youtube android app ko without google play store ya google play services run kia ja sakta hai.Me aap logo se youtube ka koi aisa moded version share nahi karne ja raha hoo jo internet pe bohat easily mil jata hai jese keh og youtube etc.



    Kuch log aise hote hein jo google play store ko bilkul bhi pasand nahi karte jin mein se aik me bhi hoo.Wese to google play store android applications ka bohat bara source hai aur yaha pe hum ko hur application trusted milti hai.Google play store pe jub bhi koi app upload hoti hai to google sub se pehle uss app ko check  karta hai keh iss app mein koi virus to nahi jo users ka data steal kar sakta ho.Agar uss android app mein kisi bhi type ka koi virus ho to uss android application ko play store pe launch nahi kia jata aur agar app mein kisi type ka koi virus mojood nahi hai to usse play store pe launch kar diya jata hai.







    Why People Dislike Google Play Store:

    Ab aap log ye soch rahe hoo ge keh aise konse bewqoof log hein jo play store ko like nahi karte aur me play store ko like q nahi karta.Darasal iss ke peeche kafi reasons ho sakti hein.Me manta hoo google play store android applications ko download karne ka aik bohat bara source hai lekin iss application ko chalne ke liye aur doosri apps ki bhi zarorat hoti hai jese google play services.Ab apko to pata hi ho ga ye apps size mein kitni bari and high hoti hein.Agar kisi ke paas aik low quality android phone hai aur wo google play store and google play services ko delete kar deta hai to uss ki device se bohat saara space free ho jaye ga.



    Ye android phone ke slow hone ki aik bohat bari waja hai because ye app chalne ke liye ram bohat zayada use hoti hai aur ram jitni zayada use ho gi utna zayada phone slow ho ga.Ab zahir hai agar kisi device ki ram 1gb se kum hai to uss user ka phone slow ho ga ho ga aur majboran uss ko ye delete karna pare gi.



    Iss ke ilawa internet data ko google play store and google play services bohat hi zayada use karti hein.Maan lijye aap ne kuch rupees mein internet ka aik bundle lagaya jis mein apko 300mb milte hein.Aap ne ye internet bundle iss liye lagaya hai taa keh aap skype,messenger,line imo etc pe baat kar sake.Ab aap kuch hi ghanty in apps pe internet ko use karte hein aur internet bundle khatam ho jata hai.Iss ke baad hum kya karte hein keh internet provider yani internet dene wali company ko bura bhala kehna shuru kar dete hein.


    Iss ke peeche internet provider ka koi qasoor nahi hai hamara data to background mein chalne wali apps jese google play store aur google play services jesi apps use kar rahi thi jis ki waja se internet bundle bohat jaldi khatam ho gaya.Ab ye question to mind mein zaror aata hai keh iss ka koi na koi solution to zaror hona chahye.G haa iss ka solution bilkul hai jo mein apni Android Phone Ki Battery Timing Aur Performance Kese Increase Kare wali post mein bata chuka hoo.



    Aik aur baat wo ye keh kuch apps hoti to bohat kaam ki hein lekin wo hum ko google play store pe nahi milti.Iss ki reason ye ho sakti hai keh uss application ka developer nahi chahta keh wo app google play store pe mojood ho.Iss ke ilawa ye reason bhi ho sakta hai keh wo app google ki terms and policies ko follow na karti ho.Khair aisi kafi reasons ho sakti hein.





    Why Google Play Store Necessary For Us:

    Jaha google play store ko use na karne ke bohat saare faide hein waha is ko use na karna bhi hamare liye bohat problems create karta hai.Jese keh google play store ke bghair agar kisi jagha se application download ki jati hai to uss ko hum trusted nahi keh sakte.Ho sakta hai keh uss mein koi virus ho jis se hamara android phone hack ho jaye.Aisa nahi hai keh jo bhi app internet se kisi jagha se download ki jaye uss mein virus ho ga hi ho ga.


    Ye hamare liye iss liye bhi bohat zarori hai keh kuch apps aisi hoti hein jo google play store ke bghair nahi chalti hein.Aisa zayada tur games mein and kuch high quality apps mein hi hota hai.So agar google play store phone se missing ho ga to hum aise features miss kar sakte hein.




    What Should Be Your Choice:

    Me ne play store ke fayde aur nqsanat dono se aap sub ko inform kar diya hai ab choice aap ki hai keh aap iss ko apne phone mein rakhna chahte hein ke nahi.Agar google play store ko remove karna chahte hein to meri Ye Post read kar sakte hein.Wese to iss post mein me ne bataya hai keh kese kisi bhi app ko system app banaya ja sakta hai lekin iss post ko poori tarah parhne aur samjhne ke baad aap iss qabil ho sake ge android system apps ko delete kar sake.





    How To Run Youtube Without Google Play Store:

    Ab hum baat kare ge youtube application ko google play store ke without kese run kare ge.Darasal iss ke liye pehle humein built in youtube ko remove karna ho ga aur moded youtube ko install karna ho.To chalye pehle seekhte hein built in youtube ko kese remove karna hai.


    How To Remove Built In Youtube:

    1.Iss ke liye apka android phone Rooted Hona bohat zarori hai

    2.Ab System App Remover application ko download kare


    3.Install karne ke baad iss software ko open kar lein

    4.Ab apke saamne kuch aisi screen show ho gi jis mein apko tumam system apps nazar aye gi




    5.Yaha pe jo bhi app uninstall karni hai us ko select kar ke uninstall pe press kare hum yaha youtube ko kar rahe hein to youtube ko select kre




    Orignal youtube ko remove karne ke baad youtube ka moded version install karna ho ga jo google play store ke without work kare ga.Iss ke liye neeche diye ge steps ko follow kare.


    How To Install Moded Youtube:

    Youtube moded version ko install karna bohat easy hai.Jub aap orignal youtbe ko uper diye ge method ke mutabiq remove kar lein to android phone ki setting mein ja ke security mein jaye aur unkown resorces ko tick kar dein jesa keh screenshot mein hai.




    Iss ke baad youtube ka moded version download kar ke install kar lein jese aap hur doosri app install karte hein.Youtube moded version ka download link mein neeche de raha hoo.



    Download Now



    Warning:

    Agar aap google play store aur youtube ko delete kar rahe hein to iss ka matlb hai keh aap apne phone ke sath modifications kar rahe hein aur agar aisa karne ke baad apko problems ka saamna karna para to meri iss mein kisi qisam ki koi zimadari nahi ye aap apne risk pe kare ge.Aisa karne se pehle poori post ko aik bar dhiyan se zaror read kar lein jaha me ne bataya hai keh iss ke kya faide aur nuqsan ho sakte hein.




    Final Words:

    Umeed hai sub ko ye post bohat pasand aayi ho gi.Agar abhi youtube without google play store ke about kisi qisam ka koi doubt ho to aap comment box mein comment kar ke pooch sakte hein.Hamari site ko apne friends ke sath zaror share kare taa keh wo bhi aap ki tarah kuch na kuch seekh sake.Issi ke sath ab mujhay dijye ijazat Khuda Hafiz.

    No comments:

    Post a Comment

    Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.

    About Owner

    Founder & Author: Abdul Razzaq is a Pakistani blogger.He make this blog for helping people online.He shares articles about Earn Money Online,Mobile FLashing,Android Tricks,Android Apps,Anti Hacking,Free Internet,Pc Softwares and others articles.Please follow him to support.

    Subscribe Us Via Email

    Sign Up for Email Updates

    Follow Us On Social Media