Blogging karna itna easy kaam nahi jitna hum log samjhte hein.Kafi logo ka khayal hai keh blog ko thora bohat design kar ke uss pe posts karne ka naam hi blogging hai lekin haqiqat mein aisa nahi hota hai.Blogging ke doran hume aisi problems ka saamna karna parta hai jin ko solve karna hamare lye bohat mushkil ho jaata hai.
Pichle dino mein me ne aik article share kia tha jis mein sub ko bataya gaya tha keh blog mein older posts ki jagha numberic page kese add kye jaye agar aap logo ne abhi tuk wo article nahi parha to neeche mein link de raha hoo jis ko read kar ke aap log wo article read kar sakte hein because uss ke bghair aap ko iss ki bhi samjh nahi aye gi.
Iss tutorial ko read karne ke baad mere kuch friends ne request ki thi keh numberic page sirf home page pe hi show hota hai lekin jub hum blog mein kisi category ko click karte hein to numberic page ki bajaye waha older posts hi show hota hai.Ab me ne kafi mehnat kar ke iss problem ko fix kia hai keh kese category ya label waale page mein bhi numberic page ko show kia jaye.
Labels/Categories Mein Numberic Page Add Karna:
Hum ko blogger template ki default setting ko change karna hai jis ke lye hum ko uss mein taqreban 3 codes ko replace karna hai.
1.Pehle blogger pe ja ke template mein jaye aur edit html ko click karein
2.Iss ke bad diya gay code copy kar lein
3.Uper wala code copy karne ke bad wapis blogger edit html wali window mein aa ke cntrl f press kre
4.Cntrl f press karne se aik search box open ho ga uss mein step2 wala code paste kar dein aur enter press karein
5.Jub code mil jaye to iss code ko template mein se remove kar ke iss ki jagha neeche wala code paste kar dein
6.Ab dobara se step2 wala code search karein aur uss ki jagha step5 wala code paste karein
7.Issi tarah template mein jitne bhi step2 waale codes hoo un ko step5 waale codes ke sath replace kar dena hai
8.Jub sub codes replace ho jaye to save template ko click kar dein aur apne blog pe ja ke kisi bhi category ko open kare apko older posts ki jagha numberic page show ho ga
Note:
Step no.5 mein jo code diya gay hai uss mein word 5 ka matlb hai keh aik page pe aap kitni posts dikhana chahte ho.Iss 5 ki jagha aap apni marzi ka word likh ke aik page mein jitni posts show karna chahe kar sakte hein.
Post ko apne friends ke saath zaror share kare aur agar abhi tuk kisi step se problem ho to comment kar ke zaror pooch lein.

No comments:
Post a Comment
Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.