Kafi bloggers blog mein ghalat jagha par ads lagate hein aur iss ki waja se unki earning nahi hoti ya bohat hi kum hoti hai because un ki blog ke visitors ads ko dekhe ge hi nahi to un pe click kese kare ge aur click nahi karein ge to earning bhi nahi ho gi.Aaj ki post mein hum details se baat karein ge keh posts ke beech mein aur posts ke darmyan mein ads kese lagaye.
Blog Post Ke Beech Ads Kaha Hote Hein:
Blog post ke beech mein aur blog post ke darmyan mein ad lagane mein bohat faraq hai sub se pehle hum baat karte hein blog post ke beech mein ad ki jo aap neeche dye ge screenshot se dekh sakte hein.Home page pe show hone wali hur 2 ya 3 posts ke baad show hone waale ads ko posts ke beech mein ads lagana kehte hein.
Blog Post Ke Darmyan Mein Ads Kaha Hote Hein:
Jub hum adsense ka ad code blog ki kisi aik post mein lagate hein to ad post ki left side mein show hota hai jo keh beautiful nahi lagta hai.Agar ye ad post ke darmyan ho to blog post ki khoobsorti mein izafa hota hai.Neeche jo mai screenshot de raha hoo yaha mai ne aik ad ko side mein lagaya hua hai aur 2 ads ko darmyan mein.
Mai yaqeen se keh sakta hoo keh uper waale 2 screenshot dekh kar apko iss baat ki samjh lug gayi ho gi keh posts ke beech mein ads kaha hote hein aur post ke darmyan mein ads kaha hote hein.Ab hum baat karein ge keh in ko use kese karna hai.
Posts Ke Beech Ads Kese Lagaye:
1.Blogger pe ja ke layout pe click karein
2.Ab jaha pe blog posts likha hua hai uske saamne edit pe click karein
3.Ab screenshot ko dekh ke setting karein
1.Show ads between posts ko tick karein
2.Yaha posts select karein keh hur kitni posts ke baad ad dikhana hai
3.Yaha ad format select karein wese responsive theek hai ye automatic size adjust kar leta hai
4.Apne ad ka colour select karein jo aap show karna chahte hein
4.Finally neeche aa ke save kar dein aur apne blog ko open kar ke aap ads ko check kar sakte hein
Blog Post Ke Darmyan Ads Kese Lagye:
1.Sub se pehle adsense ka ad code copy karein
2.Ab jis post mein ad lagana hai uske Html section mein ja kar jis jagha ad lagana hai waha adsense ka ad code paste karein
3.Ab hum ne iss ad code se pehle aur baad mein center tag add karna hai jo aap neeche screenshot dekh ke kar sakte hein
4.Finally post ko publish kar dein aur aap dekh sakein ge keh ad post ki left side mein nahi balkeh post ke darmyan mein lug chuka hai.
Umeed hai sub ko ye post bohat pasand aayi ho gi aur agar abhi tuk kisi user ko kisi step se koi problem hai to comment kar sakta hai.
No comments:
Post a Comment
Comment Ka Reply Bohat Jaldi Kia Jaye Ga Shukria.