Iss se pehle aik post mein Google Sitemap ke baare mein baat ho chuki hai keh google sitemap kya hai,iss ko bnane ka kya benifit hai aur website/blog ke lye google sitemap kese banaya jata hai.Uss ke lye neeche di gai post ko read karein
Also Read: Sitemap Kya Hai Aur Blog Ke lye Sitemap Kese Bnaye
Iss post mein hum baat karein ge keh sitemap ko google search console mein kese submit karna hai.Iss ka ye faida ho ga keh hum jo bhi post apni site pe publish karein ge wo automatically google mein buhat jald show hone lage gi.
Sub ke mind mein ye question zaror aa raha ho ga keh mai ne post title mein google search console type kia hai to ye google search console kya hai.Google search console google ki hi aik free service hai jo hamari blog ya website ke data ko control karti hai iss ke baare mein poori information k lye neche di gai post read kre
Also Read: Google Search Console Kya Hai Aur Blog Ko Google Search Console Mein Kese Add Karein
Ab tuk sub ne google sitemap to bana hi lia hoga ab iss tutorial mein hum ne sitemap ko google search console mein submit karna hai jis ke lye aap neeche steps ko follow kar sakte hein
Google Sitemap Ko Blog Mein Add Karna:
1.Google Search Console ko open kare aur apne gmail account se login karein
2.Agar sub ne pehle apni site ko google search console mein add kia hua hai to thek nai to Blog Ko Google Search Console Mein Kese Submit Karein wali post read kar lein aur pehle apni site ko google search console mein add kar lein
3.Site Add karne ke bad apni site pe click kare
Also Read: Sitemap Kya Hai Aur Blog/Website Ke Lye Sitemap Kese Bnaye
6.Step 4 mein hum ne Add sitemap pe click kia tha so is ke bad apki site show ho gi aur uss ke aage aik box bana hua ho ga jis mein aap ne sitemap.xml type karna hai
7.Finally Submit pe click kar dein jis se 2 minutes ke andar andar apki blog ka sitemap google search console mein add ho jaye ga
To kesa laga ye tutorial hope ke sub ko pasand aya ho ga post ko fb twitter pe zror share karein aur agar kisi bhi tutorial mein koi bhi problem ho to post pe comment kar ke pooch lia karein.
Ok bro ye link dekhain
ReplyDeletehttp://imgur.com/a/e70IK
samjh gaya bhai mai iss ke baare mein new post kro ga pehle wali post ke dono codes template mein se delete krdo aaj hi iss ke baare mein new post publish kro ga thanks for informing
Deleteye lo bhai new post ka link iss mein 7 styles hein
Delete